-
Re: Nazam Shayari Collection
Milan ki aarzoo krna
Safar ki justajoo krna
Jo tum mayoos ho jaao
Toh mujh se guftagoo krna
Yeh aksar ho bhi jata hay
Kay koi kho bhi jata hay
Muqaddar ko satao gay
Toh phir yeh so bhi jata hay
Agar tum hosla rakho
Wafa ka silsala rakho
Jo tum se pyar kar bethey
Toh us sey rabta rakho
Main yeh daaway sey kehta hoon
Kabhi nakaam na ho gay
Muhabbat ko samjh jaao
Kabhi badnaam na ho gay
-
Re: Nazam Shayari Collection
Mujhe arzoo e sehar rahi
Yuhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar saka na simat saka
Yuhi raat bhar bari dair tak
Tha bohat azab aur akale hum
Shab e gham bhi meri tweel ter
Rahi zindagi bhi sraab aur
Rahi ankh tar bari dair tak
Yahain her taraf hai ajab samah
Sabhi khud pasand sabhi khud numa
Dil e beqarar ko na mil saka
Kohi chara gar bari dair tak
Mujhe zindagi hai aziz tar
Issi waste mere hamsafar
Mujhe qatra qatra pila zahar
Jo kare asar bari dair tak….
-
Re: Nazam Shayari Collection
Mera tumse aesa rishta hai
Khawb ka jo tabeer se hai,
Sheeshe ka jo tasveer se hai,
Sachayi ka jo zameer se hai,
Qaidi ka jo zanjeer se hai,
Samundar ka jo mahi-geer se hai,
Ranjhey ka jo heer se hai,
Mera tumse aesa rishta hai,
Chaand ka jo raat se hai,
Saawan ka jo barsat se hai,
Dil ka jo barsaat se hai,
Dil ka jo jazbaat se hai,
Mausam ka jo soghaat se hai,
Jeet ka jo maat se hai,
Takdeer ka jo halaat se hai,
Mera tumse aesa rishta hai
Pyar ka jo iqraar se hai,
Dukh ka jo izhaar se hai,
Sharaab ka jo khumaar se hai,
Nafrat ka jo pyaar se hai,
Jeet ka jo haar se hai,
Til ka jo rukhsaar se hai,
Mera tumse aesa rishta hai
Kaantey ka jo phool se hai,
Insaan ka jo bhool se hai,
Raah ka jo dhool se hai,
Dua ka jo kubool se hai,
Ilm ka jo husool se hai,
Kitaab ka jo Rasool se hai,
Mera tumse aesa rishta hai
Bahaar ka jo chaman se hai,
Nigaah ka jo hussan se hai,
Pardesi ka jo watan se hai,
Justuju ka jo lagan se hai,
Choli ka jo daaman se hai,
Yadon ka jo saawan se hai,
Mera tumse aesa rishta hai
Dard ka jo ehsaas se hai,
Sehraa ka jo pyaas se hai,
Ghareeb ka jo aas se hai,
Dard ka jo paas se hai,
Jism ka jo libaas se hai,
Gham ka jo Waqaas se hai,
Mera tumse aesa rishta hai,
Mera tumse aesa rishta hai…
-
Re: Nazam Shayari Collection
Wohi Galiyan, Wohi kuchay Wohi Sardi Ka Mausam He
Usi Andaaz Se Apna Nizaam E Zeest Barham He
Ye Husn E Itifaq Aisa K Bheegi Chandni B He
Wohi He Bheer Sochon Ki Wohi Tanhaiyan Phr Se
Musafir Ajnabi Aur Dasht Ki Pinhaiyan Phr Se
WO Jis K Hone Se Zindagi Nagma Saraai He
Usay Kehna !!!
Usay Kehna K Bheegi January Phir Laut Aai He.
-
Re: Nazam Shayari Collection
Agar kabhi koi lamha
Aisa zakhm de jaye
K koi bhi marham us
Zakhm ko na bher paye
Tum udas mat hona
Mehv-e-yaas mat hona
Zindgi k sub mausam
Aik se nahi hote
Saray log ay humdum
Aik se nahi hote
Zindgi ki rahon main
Hadsey bhi atey hain
Hadson se barh ker kuch
Waaqay bhi atay hain
Waqt k hi marhum se
Zakhm bher bhi jatay hain
Din buray hon ya achay
Bus guzer hi jatay hain
Waqt ko guzerna hai
Zakhm ko bhi bherna hai
Dard k charhay derya
Ko abhi uterna hai
Tum udas mat hona
Mehv-e-yaas mat hona
-
Re: Nazam Shayari Collection
Agar wo pyaar kar laiti
Maira daaman pakaR laiti
To jeevan main faqat us say
Mohabbat farz ho jaati
Mohabbat qarz ho jaati
Magar
Acha kiya us nay
Mujhay samjha kay chal nikli
Mujhay thukra kay chal nikli
Bohat nadaan si hay wo
Abhi anjaan si hay wo
Kahan ma’loom hay us ko
Mohabat zindagi main bus
Faqat ik baar milti hay
Agar thukra kay chal niklain
To umrain beet jaati hain
Mohabbat ki tamanna main
Magar
Har ik rastay pay
Sirf ruswaaii milti hay
Faqat tanhaaii milti hay
-
Re: Nazam Shayari Collection
Mere marne se kisi ko
zeyada fark nahi padega’
.
DOST….
.
bus tanhai royegi ke mera
humsafar chala gaya….
…
-
Re: Nazam Shayari Collection
Aaj Ek dost ne kaha tu shadi kis se karega ?
Maine kaha main shadi shuda hon ..
Kehne laga kon hai tera jeevan sathi ?
Maine kaha yadein hain kisi ki ..
Kehne laga kis ne parhaya tha nikah?
Maine kaha mustaqbil k khawabon ne ..
Wo bola kaisi guzar rhi hai zindagi ?
Main bolne hi wala tha k ankhon se aansu chalak pare ..
Wo bola use chor q nahi deta ?
Maine kaha haq-mehar meinapni zindagi likhi hui hai…..
-
Re: Nazam Shayari Collection
Aao Ke December Ko Rukhsat Karen
Kuch Khushiyon Ko Sambhal Kar,
Kuch Aansuon Ko Taal Kar,
Jo Lamhe Guzre Chahton me,
Jo Pall Beete Rafakaton Me,
Kabhi Wqt K Sath Chalte Chalte,
Jo Thak K Ruke Raston Me,
Kabhi Khushiyon Ki Umeed Mili,
Kabhi Bichre Huon Ki Deed Mili,
Kabhi Be’panah MuskuRa Diye,
Kabhi Hanste Hanste Ro Diye,
In Sare Lamhon Ko Mukhtasir Kren,
Aao k DECEMBER Ko Ruksat Kren…
-
Re: Nazam Shayari Collection
Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai
Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka
Jo Mujhay Qarar Na Day Saka
Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar
Mujhay Apna Pyar Na Day Saka
Wohi Shakhs Meri Talassh Hai
Wohi Dard Mera Hayaat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai…
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules