-
Re: Nazam Shayari Collection
Main Bhool Jaoon Tumhay Ab Yahi Munasib Hai
Mager Bholana Bhi Chahon To Kis Tarah Bholoon
Ke Tum Tu Phir Bhi Haqeeqat Ho Koi Khuwab Nahi
Yahan To Dil Ka Yah Aalam Hai Kya Kahoon
Bhola Saka Na Yah Wo Silsala Jo Tha He Nahi
Wo Ak Khayal Jo Aawaz Tak Gia He Nahi
Wo Aik Baat Jo Main Kah Na Saka Tum Say
Wo Aik Rabt Jo Ham Main Kabhi Raha He Nahi
Mujhay Hai Yaad Wo Sab Jo Kabhi Howa Hi Nahi
Ager Yah Haal Hai Dil Ka Tu Koee Samjhaye
Tumhe Bhulana Bhi Chahoon Tu Kis Tarah Bholoon
Ke Tum Tu Phir Bhi Haqeeqat Ho Koi Khawb Nahi
-
Re: Nazam Shayari Collection
Dard Jeet Jata Hai..
Log Milty Julty Hain..
Sath Sath Chalty Hain..
Sath Sath Chalne Main..
Ranjishein Bi Hoti Hain..
Ranjishon Main Bi Lekin..
Chahatein Bi Hoti Hain..
Chahaton Ki Bi Har Pal..
Ik Ajab Kahani Hai..
Hot Hansty Rehty Hain..
Ankhein Bheeg Jati Hain..
Bheegi Si Nigahon Main..
Khuwab Jalty Bujty Hain..
Dard Ke Is Safar Main Kuch..
Aisy Mor Bi Aty Hain..
Khuwab Toot Jaty Hain..
Sath Choot Jaty Hain..
Kircheian Uthaney Main..
Waqt Beet Jata Hai..
Dard Jeet Jata Hai..
-
Re: Nazam Shayari Collection
Wasi,
Wo roke or ik raat ka israr kare,
“Qasam khuda ki main kisi or ka ho nhi saktaâ€,
Ye wada-e-wafa wo bar bar kre
-
Re: Nazam Shayari Collection
Raat Uss ne Poocha tha:
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki !
Main ne Kehna Chaha Tha:
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzir ho
Dasht ho , Sumnadar ho
June ho , December ho
Dharkanoo’n ka Har Naghma
Manzaroo’n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai
Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
-
Re: Nazam Shayari Collection
Agar ye
jan’na chaho,
Koi kaisay
Bikharta hai?
Bikhar kr kaisay
Jeeta hay?
Chaman main tum chalay jana,
Khizan k
Sard Mausam main,
Wahan Patton
ko dekho tum…
Ya phir 1
Aainaa lay lo,
Usay Pathar pe
Day maro,
Agar mushkil
ho ye Bhi to,
1 Phool lay lena,
Hawa k
Dosh pe rakhna,
To phir tum
jan jao gay,
Koi KAISAY
BIKHRTA hay.
Agar ye bhi na
ho tum se,
To mere pas
aa jana,
Mera Deedar
ker lena,
Khabar ye ho
hi jae gi,
KOI KAISAY
BIKHRTA HAY
-
Re: Nazam Shayari Collection
Libas Tan Se Utaar Dena,
Kisi Ko Banhon Ke Haar Dena,
Phir Uske Jazbon Ko Maar Dena,
!! Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!
Gunah Karne Ka Soch Lena,
Haseen Pariyan Daboch Lena,
Phir Uski Aankhein Hi Noch Lena,
!! Ager Mohabat Yehi hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!
Kisi Ko Lafzon Ke Jaal Dena,
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,
Phir Uski Izzat Uchaal Dena,
!! Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!
Andhair Nagri Mein Chalty Jana,
Haseen Kaliyan Masalty Jana,
Aur Apni Fitrat Pe Muskurana,
Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai
-
Re: Nazam Shayari Collection
Ek shakhs ko deakha tha
Taron ki tarha Hamney
Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney
Ek shaks ko samjha tha
Phoolon ki tarhaa Hamney
Wo shaks qayamat tha
Kya uski karein Batain
Din us ky liye Paida
Aur uski he thi Ratain
Kab milta kisi se tha
Ham se thi mulaqatain
Rang uska Shahaabi tha
Zulfon mein thi Mehkarein
Aankhain thi ke jaadu tha
Palkain thi k talwarain
Dushman bi agar dekhein
so jaan se dil Harain
Kuch tum se wo milta tha
Baton mein shahaabat thi
Han tum sa hi lagtaa tha
Shokhi mein sharaarat main
Lagta bhi tumhe sa tha
Dastur-e-mohabbat main
Wo shaks hamain aik din
Apnon ki tarhaa Bhoolla
Taron ki tarha doobba
Phoolon ki tarha tootta
Phir haath na aaya woh
Hamney bohat dhoondha
Tum kis liye chonkey hom
Kab zikar tumhar hai
Kab tum se takaaza hai
Kab tum se shikaayat hai
Ikk taaza Hikayat hai
Sun lo tou inayat hai
Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney.
-
Re: Nazam Shayari Collection
Mein dharti maili maili si,
Tu ujla ujla prem gagan
Tu chanchal shor hawaon ka,
Mein kankar koi paaon ka,
Tu saat surron ka roop koi,
Mein tapti jalti dhoop koi,
Tu khushbu nirmal kalyon ki,
Mein dhool udaas galyon ki,
Tu subha ka ++++++ koi,
Mein bojhal dhalti sham koi,
Tu jungle ka mor koi,
Mein sehraon ka shor koi,
Tu chand nagar ki hoor koi,
Mein aas me betha dour koi,
Mein dharti maili maili c,
Tu ujla ujla prem gagan,
-
Re: Nazam Shayari Collection
Akhir keh hi dala us ne ik din,
Iss kadar tootay ho,
tou bikhar kyon nahin jate,
Tanha tanha rehte ho,
tou sanwar kyon nahin jate,
Kab tak jiyo ge yeh dard bhari zindagi tum,
Kisi roz khamoshi se mar kyon nahin jate ?
-
Re: Nazam Shayari Collection
Hota hey her Baar yeh Akser
Teri Yaad k gehrey Badal
Garaj Chamak sey Aari Aari
Bin Barsey Yun Guzar Jaatey hain
Jesey PHOOL ko Ulfat na ho
Apney hi Rang aur Khushboo sey
Jesey Chand ko Ulfat na ho
Madham Roshan Chandni sey
Jesey GEET ko ULFAT na ho
Taal w Sur w Raagni sey
Jab Jab Esa hojata hey
Mausam Mausam Ban jaata hoon
Dil ki Uljhan Barh jaati hey
Hijr K Qissey Wisl ki Batain
Madham Chanda Kajal Ratain
Sham-e-gham ki Aankh macholi
Phir sey Taari Hojaati hey
Aur Jaaney Q
Her Baar hi Akser
AANKHAIN BADAL HOJATI HAIN
Barish Jal Thal hojati hey
Merey Dil k Sehraon mani
haryaali Si Hojaati hey
Yaadain Taaza Hojati hain
Jaaney Q Her Baar hi Akser
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules