-
Re: Nazam Shayari Collection
Main saari dunya se hi bura hoon,
Baja’aa mujhe inkhiraaf kab hai,
Magar tumhari kasam hai mujhko,
Meri mohabbat mein shak nahin hai,
Meri mohabbat to be’hataa hai,
Meri mohabbat to devtaa hai,
Meri mohabbat se rukhh na morro,
Meri mohabbat ka dil na torro,
Meri mohabbat ka maan rakh lo..
-
Re: Nazam Shayari Collection
Woh aksar mujh se kehti thi,
Wafa hai zaat aurat ki,
Magar jo mard hote hain,
Bohat be’dard hote hain,
Kisi bhanwre ki surat,
Gul ki khushbu loot jate hain,
Suno, tum ko kasam meri,
Riwayat torr dena tum,
Na tanha chorr ke jana,
Na yeh dil torr ke jana,
Magar phir yu’n hua ik din,
Mujhe anjaan raste per,
Akela chorr kar usne,
Mera dil torr kar usne,
Mohabbat chorr di usne,
Wafaa hai zaat aurat ki,
Riwayat torr di us ne..
-
Re: Nazam Shayari Collection
Jab se yeh peghaam mila hai,
Jaana’n! tum aaney wali ho,
Mausam ne sarey ghar ki tarteeb badal kar rakh daali hai,
Chokhat per ik chaand bhi aa kar beth geya hai,
Keyi sitaare lounge mein kab se pare huye hain,
Kehte hain ke,
Is raste se tum guzro gi,
Nanhe mune gulabon ka kehna hai,
Jitne din tum pass raho ge,
Ghar ke har konay mein aakar woh mehkain ge,
Phoolon ne mil kar sab konay baant liye hain,
Jugnu kab se chat pe, ghar ke,
Har goshay mein chamak rahe hain,
Suraj aur barish bhi kal se saaye’baan per tikkay huye hain,
Dheemey dheemey chehek rahe hain,
Shaam to kab se kayi tarah ke mausam le ker,
Is kamrey mein ruki hui hai, Jis kamrey mein tum thehro ge,
Tum aao ge to yeh shaam hazaron mausam,
Sundar sundar sajji huyi ankhon ko de ker
Kho jayegi,
Phir na kabhi wapis aaye gi,
Is se pehle ke yeh shaam bhi,
Sarey mausam leker mujhko khaali karke kho jaye,
Tum aajao naa’n,
Aabhi jao….
-
Re: Nazam Shayari Collection
Aadhi raat ke sanatey mein,
Kis ne phone kiya hai mujh ko ?
Jane kis ka phone aya hai,
Phone utha kar yu’n lagta hai,
Us jaanib koi gum’sum, gum’sum, ukhrra ukhrra
dheerey dheerey kaamp raha hai,
Mehki huyi ik khamoshi hai
ghupp khamoshi hai,
lekin is khamoshi mein bhi goonj rahe hain,
Thandi saansain, barish, aansu,
Khamoshi se thak kar us ne saans liya to,
Choorri khanki,
Uff yeh khann khann….
Ik lamhe mein sarey badan mein phail gayi hai,
Tere ilaawa koi nahin hai,
Lekin itne barso’n baad….
-
Re: Nazam Shayari Collection
Kabhi college ka album dekh ker,
Nam hone lag jati hain kya palkain tumhari,
Ya kabhi bachon se hanste khelte,
Yak’lakht ruk jate ho tum bhi,
Kabhi shaakhon se patey tootne ki rut mein,
Bikhre bikhre rehte ho,
Yu’nhi bas be’khayali mein,
kisi bhooli huyi meri kisi adaa se,
Tum milate ho adaayen doosron ki,
Mere qad meri surat se,
Koi milta sa chehra dekh kar,
Tum muskura kar jheemp jate ho,
Jo tum aesa nahin karte,
To bolo kyon nahin karte!!
-
Re: Nazam Shayari Collection
Ye Mizaj-E-Yaar Ko Kaya Hua?
Usay Mujh Se Payar Hai Aaj Kal,
Meri Justugu Meri Guftgu,
Mera Intizar hai Aaj Kal,
Woh Teray Khatoot Nikalna, Kabhi Dekhna Kabhi Choomna,
Yehi Mashghla, Yehi Silsila, Yehi Karobar hai Aaj Kal,
Issay Qatal Ker, Usay Qatal Ker,
Tujhe Saat Khoon Muaf Hain,
Teri Saltanat,
Tera Davdava,
Tera Iqtidar hai Aaj Kal,
“Meer†Kal tak to tu Rind Tha,
Meray Yaar Tujh Ko Yeh Kaya Huwa?
Bara Mazhabi,
Bara Parsa,
Bara Deen’dar hai Aaj Kal..
-
Re: Nazam Shayari Collection
Mujhy Na Sans Aati Hai,
Na Mera Dam Nikalta Hai..
Magar,
Yeh Beech Ka Aalam
Bohat Takleef Deta Hai..!!
Mujhy Ander Nigalta Hai
Na Sahil Per Patakhta Hai
Bikharna Yun Sumandar Ka
Bohat Takleef Deta Hai..!!
Jo Tum Bolo Bikhar Jaein
Jo Tum Chaho Sanwar Jaein
Magar Yun Totna Jurna
Bohat Takleeef Deta Hai…!!
-
Re: Nazam Shayari Collection
Woh Jab Bhi Mujh Se Milti Thi…!
Har Bar Masomiyat Se Mujh Se Pucha Karti Thi…!
Ke Tum Mere Hi Ho Na…???
Aur Main Har Bar Us Ke Chehre Ko,
Apne Haathon Se Chu Kar Qasam Khaya Karta Tha…!
Par Kash…!
Maine Bhi Ek Bar Us Se Pucha Liya Hota…
Ke
Tum Meri Hi Ho Na…..?
-
Re: Nazam Shayari Collection
Haan,
Main ghareeb ka beta hon…
Zindagi ko sitam main kehta hon.
Majbooriyon me bhi khush rehta hon.
Chand boondon se pait bhar leta hon.
Kyun ke
Main ghareeb ka beta hon…
Thandi mein thithoor leta hon,
Barsaat mein bheeg leta hon,
Garmi paaon jalaati hai …….
Toh
Pathron pe main so leta hon.
Kyun ke
Main ghareeb ka beta hon…
Kabhi sabzi, to kabhi kuch na milay,
Namak, roti pe main jee leta hon,
Zakham chahay jaisa bhi ho,
Thori haldi main laga leta hon,
Kyun ke
Main ghareeb ka beta hon…
Ek kameez, ek patloon,
Roz bina sabun, main dhota hon,
Bari dukaano ki ronak dekh,
Aksar khush main ho leta hon,
Kyun ke
Main ghareeb ka beta hon…
Gham bhi bohot hai.. Dard bhi hai..
Dil mein sab dabaa leta hon,
Kabhi akelay, to kabhi sab k samnay,
Aankhon se angootha bhigo leta hon,
Kyun ke
Main ghareeb ka beta hon..!!
-
Re: Nazam Shayari Collection
Tum ne kaha tha,
Pehli barish ke parte hi,
Laut aao ge..!!
Hum aur tum mil kar bheegain ge,
Dekho jana..!!
Kitni phua’rain beet chuki hain,
Saawan phir se laut ke aaya hai,
Barson pehle kiya tha tum ne,
Mujh se ehad,
Nibhaa jao na,
Janaan! Laut ke aajao naa,
Ab to laut ke aajao naa..!!
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules