-
Re: Nazam Shayari Collection
Nanhi larki,
Sahil ke itne nazdeek,
Rait se apna ghar na bana,
Koi sarkash mauj idhar ayi, to
Tere ghar ki bunyadein tak beh jayen gi,
Aur phir un ki yaad mein tu,
Saari umar udaas rahe gi..
-
Re: Nazam Shayari Collection
Sard ratoon ki bhegi tanhai….
Barasti boond ke chhoote hi sulagta sa badan,
Beeti yadoon,beete lamhon main sulagta hoa dil,
youn guzre saal ke sare dukh aur saree gham,
Akela aik December seh leta hai…….!!!
-
Re: Nazam Shayari Collection
Tere ankhun ma tu, chahat nazar ati hy, mager,
tmhary labun pe, ajab c pur israr muskurahat,
rhti hy,
bhala btao ,
ay jan e tammnna, mohbbat mai,
pur israriyat kesi ? ? ?
…
-
Re: Nazam Shayari Collection
Kabhi ulfat bhara lehja kabi utra huwa chehra
Samajh mai kuch nahi aata bta mera gunah kya hai?
Meri uljhan mita to dey mujhe itna bta to dey,
Mai mujrim hun ya mehram hun,
Saza kya hai?
Jaza kya hai?
Meri sansein to chalti hain teri yaadon se ay dost,
Nahi fursat jo ye sochun fana kya hai baqa kya hai?
Mera ye dil meri dharkan meri sansein ye jaa’n ghafil
Ye sub kuck naam tere hy bta pichay bacha kya hai?
-
Re: Nazam Shayari Collection
Wo kehti hai batao,besabab kyu Roth jate ho,
mei kehtna ho zara mujko manao acha lagta ha!
wo kehti ha mera dil AkhiR ku tm se nai bharta,
mei kehta hu., muhabat ki ko! Had hi nai hoti,
wo kehti ha batao mei tmhe ku.. Itna bah gain ho,,
mei kehta ho….. Hadsay to ho he jate ha!
wo kehti hai…. Achanak mei tme you he rola do to ???
Mei kehta ho…k tm bi beeg jao gai….!!
…
-
Re: Nazam Shayari Collection
Suno!
Main Bhool Jaon to_
Agar Main Rooth Jaon to_
Kabi Wapis Na Aaon to_
Bhula Pao gay Sab Kuch kia_
Younhi Hanste Raho gay Kia_
Younhi Sajte Raho gay Kia_
Yehi Batein Hein Bas Us Ki
Yehi Yadein Hein Bas Us Ki
Muje Maloom Hai ltna_
Muje Wo Piyar Krta tha_
Muje Khonay Se Drta tha
-
Re: Nazam Shayari Collection
Har saal ki trah
baraf-bari ka mosam
iss saal bhi aay tha
faraq sirf itna tha
ke pichle bars hum dono sath the
magar aaj…….
aaj bhi me tanha nai hon..
guzre hue kal ki sare yadain mere sath hian
magar “yadainâ€
“tere aaghosh ki garmi ka naimul-badal to nahiâ€
…
-
Re: Nazam Shayari Collection
Raabta badhane ka Hunar Hume aata hai
Dil pe Chot khane ka Hunar Hume aata hai..
Or Kai dafa.. Marte marte bache hain Doston ke vaadon par…
Dosti nibhane ka Hunar Hume aata hai….
-
Re: Nazam Shayari Collection
Ik larki,
Pagli si deewani si,
Masoom si anjaani si,
Apne ghar ki munder per bethi,
In galiyon aur chaurahon ko,
In koochon aur bazaron ko,
Dekhti hai,
Jahan isne apna bachpan guzara tha,
Iski ankhon mein tha tha, intizaar…
Kisi ka!
Magar isey kon samjhaye,
Ke bachpan ke vaade to,
Kachi daur ki tarah hote hain,
Aur…
Bhala jane wale,
Kab laut kar aate hain!
-
Re: Nazam Shayari Collection
Na Koi Maseeh Na Chaara Gar
Na Kisi Khayaal Ki Justajuu
Na Khalish Kisi K Visaal Ki
Na Thakan Rah E Maah O Saal Ki
Na Dimaagh E Ranj E Rukh E Butaan
Na Talaash E Lashkar E Nasihaan
Wahi Aik Haal Hay Zabt Ka
Wahi Aik Chaal Hay Dehar Ki
Wahi Aik Rang Hay Shauq Ka
Wahi Aik Rasm Hay Shehar Ki
Na Nazar Main Khauf Hay Raat Ka
Na Fizaa Main Din Ka Harras Hay
Paye Arz E Haal E Sukhan Waraan
Wahi Hum Sukhan Hay Rafeeq E Jaan
Wahi Hum Sukhan Jisay Dil Kahain
Wo To Yoon Bhi Kab Ka Udaas Hay.
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules