-
Re: Nazam Shayari Collection
Hoon To Khafa Us SE
Par Jaane Phir Bhi Kyun
Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Achha Lagta Hai
Haqeeqat Se Hoon Dhoor
Ye Mujh Ko Hai Pata
Per Jaan Ke Anjaan Rehna Acha Lagta Hai..
-
Re: Nazam Shayari Collection
Wo ik masoom si chahat
Wo ik benaam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa
Mjhy mehsoos hota hai
Wo mere pas hai ub bhe
Wo jab jab yad ata hay
Nigahoun me samata hai
Zuban khamosh hoti hai
Magar ye ankh roti hai
Mein khud se puch lete hun
Usay kya pyar hai mjh se
Jawaban soch leti hun
Usay bhe pyar hai “SHAYADâ€
Isi “SHAYAD†se wabsta hai
Ub to her khushi meri
Yahi ek lafz “SHAYADâ€
Ban gya hai zindagi meri.
-
Re: Nazam Shayari Collection
Jis Ko Tum Chaaho Wo Mohabbat
!! Jo Tumhein Chaahe Us Ka Kya? ? ?
!! Jis K Liye Tum Roye Wo Mohabbat
!! Jo Tumare Liye Roye Uska KYA? ?
!! Jis K Liye Tum Tadpe Wo Mohabbat
!! J0 Tumhare Liye Tadpa Uska Kya? ? ?
!! Jis Ko Tumne Chaaha Wo Tumko Mile
!! Aur Jis Ko Tum Na Mile Uska Kya…
-
Re: Nazam Shayari Collection
Hatheli samny rkhna,
K sub ansoo girein us may,
Jo ruk jaega honton pr,Samjh jana k wo hon main,
Kabi jo chand ko dekho,
To tum yu muskra dena,
Jo chal jaye hawa thandi,
To ankhein bund kr lena,
Jo jhonka tez ho sub se,
Samjh jana k wo hon main,
Jo zyada yad aaon main,
To tum ro lena g bhar k,
Agar hichki koi aye,
Samjh jana k wo hon main,
Agar tum bholna chaho,
Muje shayed bhula do tum,
Magr jub sans lena samjh jana k wo hon main!!!
-
Re: Nazam Shayari Collection
Ess kainaat e Muhabat main,
Misl e shams o qamer k hain,
ik rabta musalsal hai,ik fasla musalsal hai,
MAi khud ko b bech doon to tujhe paa nai sakta,,
Mai AAM sa hemesha,TU KHASS sa musalsal hai… ?
-
Re: Nazam Shayari Collection
mujhe tujhse ishq nahin nahin
magar ae hasina-e-naaznin
tu ho mujhse door agar kabhi
tujhe dhhondti ho nazar kabhi
to jigar me uthta hai dard sa
mera rang rehta hai zard sa
magar ae hasina-e-naaznin
mujhe tujhse …….
mujhe tujhse ishq nahin nahin
magar ae hasina-e-naaznin
tu kahin ho majma-e-aam me
kisi khel me kisi kaam me
to main chhup ke door hi door se
tujhe dekhta hoon ghuroor se
magar ae hasina-e-naaznin. …..
Mujhe tujhse ishq nahin nahin
magar ae hasina-e-naaznin
tu kahe ye mujhse agar kabhi
hamen laa do laal-o-gauhar kabhi
to main door door ki soch loon
main falak se taare bhi noch loon
woh suboot-e-shauq- e-kamaal doon
tere paon me unhe daal doon
magar ae hasina-e-naaznin
mujhe tujhse ishq nahin nahin
-
Re: Nazam Shayari Collection
Merii sariii zindagi muhabtun ki talash mn guzrii..
is rah per..
hath lahuluhan our wajOOd reza reza hua
ye dukh main hans k seh leta..
agar
sachiii muhabten apnii azmatun k mukam pe milten
ye dukh nae k muhabten na milen…
gham ye h
“RISHTUN NE APNA MAAN KHo DIAâ€
-
Re: Nazam Shayari Collection
ye hum tasleem karte hain
hamen fursat nahen milti
magar………
o meri soch ke mehwar!
kabhi ye bhi zara socho!!!
ke…….
tumhen hum yaad karte hain
to khud ko bhool jate hain……
-
Re: Nazam Shayari Collection
Mohabbat phir mohabat hai?
Kabhi dil se nhi jaati,
Hazaron rang hain is k,
Ajab hi dhang hain is k,
Kabhi sehra, kabhi darya,
Kabhi jugnu, kabhi aansu,
Hazaron roop rakhti hai,
Badan jhulsa k jo rakh day,
Kabhi wo dhoop rakhti hai,
Kabhi ban ker ye ek jugnu,
Shab-e-gham k andheron mein,
Dilon ko aas deti hai,
Kabih manzil kinaarey per,
Piyasa maar deti hai,
Azziyat hi azziyat hai,
Magar ye bhi haqiqat hai,
Mohabat phir mohabat hai,
Kabhi dil se nhi jaati?.
-
23-05-2013, 08:08 PM
#100
Re: Nazam Shayari Collection
Aao Jan’ch letey hen
Dard ke Traazoo per
Kis ka Gham kahan tak hai
Shidate’n kahan tak hen
Kuch Aziz logo’n se pochna to parta hai
Aj-kal Mohabat ki Qeemate’n kahan tak hen
Ek sham aa jao, Khul ke Hal-e-Dil keh len
Kon jane sanso’n ki, Mohalaaten kahan tak hen…!!
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules