-
23-05-2013, 08:10 PM
#121
Re: Nazam Shayari Collection
Bas Itni Si Guzarish he,
Na Sagar se Moti chahta hu, Na Samandar se Pani chahta hu,
Na Suraj se Roshni chahta hu, Na Rat se Andhera chahta hu,
Na Phulo se Khushbu chahta hu, Na Bhavro se Git chahta hu,
Na Badal se barsat chahta hu, Na Asman se Sitare chahta hu,
Bas ek hi Sapna he Mera, Bas ek hi Khvahis he Meri,
Bas itni si Guajarish he Meri ke me Sirf Tuje chahta hu,
Bas itni si chahat he ki Tere Dil me Meri Sanso ko Panah chahta hu,
Tere Dil me Meri Dhadkan chahta hu, Meri har Ruh me Tera Asar chahta hu,
Teri Ankho me Mera Pyar chahta hu, Mere Dil me Teri Tasvir chahta hu,
Bas itni si Guzarish he Tere Dil Mere liye thoda sa Pyar chahta hu…
-
23-05-2013, 08:10 PM
#122
Re: Nazam Shayari Collection
Manzilen bhi us ki thi,
Rasta bhi us ka tha,
Mein ik akeli thi,
Qafila bhi uska tha,
Sath chalny ki soch bhi uski thi,
Or phir
Rasta badalnay ka faisla bhi uska tha,
Aj mein akely houn,
Dil shoor karta hy,
Kia log bhi usky thy,
Kia khuda bhi uska tha?
-
23-05-2013, 08:10 PM
#123
Re: Nazam Shayari Collection
Aainey jesi ye teri aankhen,
Aaina hain ya hain teri aankhen,
Gor se dekh raha hoon inko,
Kyun hain ghabrayin si teri aankhen,
Sharm ka bhojh le na dube inhe,
Mujhse sharmaiyn hain teri aankhen,
Katra katra sharab lagtin hain,
Maqad e surahi si teri aankhen,
Hosh ka kyon ab khayal karey,
Ajab khumari si teri aankhen.
-
23-05-2013, 08:10 PM
#124
Re: Nazam Shayari Collection
Wo tumhare khaton ke purze,
Meri darazon ki ronakay hain,
Tumhare khat ka har ek purza,
Sambhal rakhkha hai tum samajhkar,
Khabar kya tum aakar ke mujhse,
Punch betho hisaab pichla,
Mai sahama sahama rah jao un hi,
Wafaen karke jafa parast sa,
Wo tumhare khaton ke purze,
Meri darazon ki ronaken hai,
Har ek khat mai meri tareefen,
Kabhi sanam kabhi jaan likhna,
Kabhi wo likhna roothi baaten,
Kabhi khushi mai milan ki baaten,
Wo khat tumhare, tumhare jaise,
Rakhkhe hain ab tak sambhalkar ke,
Wo tumhare khaton ke purze,
Meri darazon ki ronaky hain,
-
23-05-2013, 08:10 PM
#125
Re: Nazam Shayari Collection
Baad e saba guzar gayi,
Ab phir hain ranjisheyn,
Do pal ki thin khushi gayin,
Ab phir hain ranjisheyn,
Ulfat ki roshni mai jo,
Ishq or wafaen pyar li,
Gardish ka dor aate hi,
Gham se nazar utaar li,
Ab hai udaas dil mera,
Ki Ab hain ranjisheyn,
Sar pe junoon e ishq tha,
Kisi maharbaan ke pyar ka,
Lekar khijaayen sab gayin,
Mosam rang e bahaar ka,
Ab hai udaas dil mera,
Ki ab hain ranjisheyn,
Baad e saba guzar gayi,
Ab phir hain ranjisheyn.
-
23-05-2013, 08:10 PM
#126
Re: Nazam Shayari Collection
dil se gham nikaal de
shairii meiN dhal de.
tauba-tauba! kashmkash!
maan le ya taal de.
dillagi bhi kar kabhi
machhliyoN ko jaal de.
hum faqeer muntzir
apne gham uchhaal de.
aaiine ko rakh pare
ik balaa to taal de.
uljhaneN aziz haiN
de koi sawaal de.
aaNkh phir chhalak paRi
la, mujhe roomaal de.
…
-
23-05-2013, 08:11 PM
#127
Re: Nazam Shayari Collection
Akhri baar milo
Aisa k jalty huay dil rakh ho jaen
Koi or takaza na karain
Chak e wada na silly
Zakhm e tamanna na silly
Sans hamwar rahay
Shamma ki lotk na hilay
Batain bs itni k lamhy unhain aa kr gin jaen
Ankh uthaye koi umeed
Tu ankhain cheen jaen
Ic bar us mulakat ka koi waham nh
Jis sa ik or mulakat ki surat niklay
Ab hai jan o janu na shikayat ka waqt
Ab na tajdeede wafa hy
Na hikayat ka waqt
Lut gae shehr e hawadis ma matahe ulfat
Ab jo kehna ho tu kaisy koi noha kaheiya
Aj tk tm sa rag o jan kk kae rishtay thy
Kal sa jo ho ga usy kon sa rishta kaheiya
Matami hain dam e rukhsat dar o dewar milo
Phr na hum hon gy
Na iqrar na inkar milo
AKHRI BAR MILO
AKHRI BAR MILO
-
23-05-2013, 08:11 PM
#128
Re: Nazam Shayari Collection
kashti kagaz or kitab , tere naam k panno ki,
mai kashti banaya karta tha, jab fir ankhon ki nadiya mai mai ,
usko bahaya karta tha,tum jane kaha par chali gayien thi,
ye hum sab socha karte the,
kashti kagaz or kitaab..
…
-
23-05-2013, 08:11 PM
#129
Re: Nazam Shayari Collection
Saaray waadon ko bhula skti hun,
LAKIN REHNAY DO…..
Main tumhe chor k ja sakti hun,
LAKIN REHNAY DO….
Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
LAKIN REHNAY DO….
Tum ne jo baat ki hai dil ko dukhaney wali,
us pr mai Ansoo b baha sakti hun,
LAKIN REHNAY DO…
Sharam aaye gi tumhein warna
tumharay waaday mai tumhe yaad dila sakti hun….
LAKIN REHNAY DO ….
-
23-05-2013, 08:11 PM
#130
Re: Nazam Shayari Collection
Baha k Aansoon mere woh
kehte hain “Faraz†Tumhari aankhoon mein paani
kitna haseen lagta hai:::::
…
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules