muhabbat jagti soi hui si ikk haqiqat hai
kabhi lamhon main haray hai
kabhi janmon ki sathi hai
kabhi khushian lutati hai
kabhi nohay sunati hai
na iss ko haar k pao
ye khud he maat hoti hai
kisi ki jeet hoti hai
kisi ki meet hoti hai
kabhi palkon pe ik bekal sa ansu chorr deti hai
kabhi angint jugnu se ankhon se jorr deti hai
kai majnu,kai punu,kai ranjhe
thi jin ki chot gehri si
or sabhi dard thay sanjhay
ye phir b anmol hai
nigahon se uter ker jo dil se hota hai
wo anchua,andekha sa qol hai
kabhi munh zor darya hai
kabhi kamzor sakat hai
han!
muhabbat jagti,soi hui si ikk haqiqat hai...