Agar ye jan jao tum
Koi kaise bikhrta hai koi kaise ujarta hai
To mere paas ana tum
Meri banjar hoti aankhon me jalte khawab ko takna
Aur un ka marsia sunna
Agar aise mumkin nhi
To meri zindagi ki dairy ko khol k parhna
K us k har warq pe aansoon se maat likhi hai
Jo tum se keh nhi payi wohi har baat likhi hai
Tumhari chahton k naam apni zaat likhi hai
Agar ye dairy parh k b tum anjaan rehte ho
To is ka hai yehi
Matlab meri sab ultajein hawaon me meulaq hain
Abhi kuch waqt baqi hai badal jao pighal jao
Kahein aisa na ho waqt hathon se phisal jaye
Resta hi badal jaye
Abhi b lout ao tum
Abhi teri wafaon pe mera aiqaan zinda hai
Yehi ayqaan to ab tk mere jeevan ka hasil hai
Agar ye kho gya to sab kuch rooth jaye ga
Muqadar roth jaye ga
To phr tum jaan jao ge
K koi kaise ujarta hai koi kaise bikharta hai!