Originally Posted by
lifeislove
Sq bhai pehle mai ap ko sunnat ke mutabiq bataoon...Hazur(SAW) ke shadi 25 years ke umar mai hoi aur hazrat khadija(RA) ke death tab hoi jab hazur(saw) ke umar 52 years thii...jab tak Hazrat khadija(RA) zinda rahee Hazur(SAW) ne dosri shadi nahi kee...Hazur(SAW) ne koi shadi betoon ke khoaish mai nahi kee..Hazur(SAW) ke baki shadiyan kiyon hain in ke bare mai sab ko pata hai.....
Rahe Aulad ki bat mere abu ke sotele bhai ne aulad ke liye 3 shadiyan keen hai aj tak un ke aulad nahi hoiii...tu shadi karne ka ye jawaz mere nazar mai UN-acceptable...
Ab ajaeein agr biwi se nahi bantee tu tab bhi Allah ne nibha karne ka mazwara diya hai aur akhri dam tak rishta nibhane ka kaha hai...
Jo insan 1 aurat par iktifa nahi karsakta wo 4 par bhi nahi karsaktaa...
Hum log sirf Islam ko wahan latee hain jahan humhare pasand ke baat ho waise subah se sham tak humhara har amal islam ke khilaf hota hai...even humahre takriban har shadi islam ke 100% khilaf hoti hai..
Dosri shadi karne ka islam mai allow karne ka hargiz ye matlab nahi ke ye favorite option hoo...jab ap shadi karte ho tu aik aurat apna sab kuch chor kar apne parents etc ap ke pass atti hai wo ap par 100% dependent hoti hai wo apna har faisla ap ke marzi se karti..agr wo ap se kisi bat par larti hai tu ap ush ke wo requirment pori kardoo...mgr akhri waqt tak nibha karna chaye...
jish tarah ap ke liye ye sahna impossible hai ke ap ke biwi kisi aur ke sath hoo ishi tarah ush larki ke liye ye sahna bhi impossible hai ke ap kisi aur ke sath hoo...
Ap ajaoo 2 shadiyon mai barbari ke bunyad par Quran mai Allah hazur SAW ko kah rahe hain ke ap barbari karne ke koshish kareein mgr ap barabari nahi karsakte ish sirf aik taraf ke na hojaieen ap apne se koshis kareein baki Allah gafoor-or raheem hai maf karne wala hai...