Ab Main Safar Pey Kia Niklon
Ab Main Safar Pey Kia Niklon
Jis Qadar Bhi Rastay Thay
Mere Ghar Ko Aatay Thay
Aur Mera Ghar Kia Hai
Sirf Aik Sehra Hai
Jis K Khushak Daman Per
Aanso,on K Dhabay Hain
Jis Ne Apne Aanchal Ko
Andhiyoon Se Bandha Hai
Rait Ki Rafaqat Main
Arsa-e-Tawaja Bhi
Aatashein Bagola Hai
Aasman Ki Ankhon Main
Ashk Aa Bhi Jaaye Tu
Barishoon Ki Qismat Main
Toot Kr Barsnay Ka
Saniha Nahi Hota
Jis Jagah Pey sehra Ho
Naqsh-e-Paa Tu Hotay Hain
Rasta Nahi Hota