ajab ik khouf rehta hai
Keh kahin zindgi phir say ik baar
apna bhayanak roop lay kar
mere aangan ko soona karnay na aa jaey
ajab ik khouf rehta hai
daaman-e- dil Kay phir say ujar jaanay ka
sayah raaton main dhal jaanay ka
ajab ik khouf rehta hai
baanjh ruton main badal jaanay ka
zamanay ki be-raham
saazishon ki bhent charh jaanay ka
ajab ik khouf rehta hai
mohabaton Kay be-imaan honay ka
ajab ik khouf rehta hai
k meri zindgi...meri khushiyan
us aik shakhs say mashroot hain
kahin woh bhi
majbooriyon k bhanwar mein na aajey
mujhay dar-badar kar day
mohabton ka kashkol pakra day
ajab ik khouf rehta hai
ajab ik khouf rehta hai