Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hay.
Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k aur Qhreeb Ho Jata Hai!.
Ik bar MASJID-E-NAWABI (peace b upon him) main khana taqseem ho raha tha.ik musafir nay khana leney k bad khana deney waley say kaha k
"Ik aur bandey ka khana day do kiu k masjid main ik musafir sukhi roti ko pani main bhigo k kha raha hai."
Khana deney waley nay kaha k
"Is khaney ka ehtamam unhi ki taraf say hai aur wo HAZRAT ALI RAZI ALLAH TALA ANHA hain."
Subhan ALLAH
———–
“2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
SABAR
Emaan Ki Bunyaad
SAKHAWAT
Insaan Ki Zeenat
SACHAYE
Haq ki zubaan
NARMI
Kaamyabi ki kunji
MOUT
Ik be Khabar Saathi Hai.
“Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de”
Aik Shakhs Ne Hazrat ALI R.A Sey Poocha,
Q: Qharib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qhareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Our Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna
jazak Allah..