kisi ka aib talash karne wale ki misaal us makhi ki c hai jo sara khubsorat jism chhor kar sirf zamkham per hee bethti hai...!!!
HAZRAT ALI(R.A)
kisi ka aib talash karne wale ki misaal us makhi ki c hai jo sara khubsorat jism chhor kar sirf zamkham per hee bethti hai...!!!
HAZRAT ALI(R.A)
Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:
“Dost aur bhai main kya farq hai?”
Aap ne farmaya:
“Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha:
“Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?”
To aap ne farmaya:
“Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’
Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye”.
JazakALLAH....
Hazrat ALI ne jo kaha, Haq kaha sach kaha..
4 Chezen Jannat Ki Taraf Bulati hain,
1.Apni Musibat Ko Chupana
2.Waldain K Sath Neki
3.Chupa Kar Sadqa Dena Kasrat Say
4. LA ILAHA ILLALLAH Kehna
"Her Cheez KA Sadqa Hota Hai
Aqal ka Sadqa Yeh hai
K
Kisi Jahil ki Baat Sun Ker
Bardasht Kiya Jaye"
Hazrat ALI (Radi allaho anho)