Qalb e Aashiq Hain Ab Para Para,
Alwada Alwada Mahe Ramazan.
Kulfate Hijro Kulfat Ne mara
Alwada Alwada Mahe Ramazan
Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha,
Aur Zoak-e-Ibadat Badha Tha,
Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba,
Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan.
Bazme Iftar Sajti Thi Kaisi
Khoob Sehri ki rounaq bhi Hoti
Ho gaya sub sama suna suna
Alwada Alwada Mahe Ramazan
Kuch na Husne Amal Kar saka Hoon
Nazr chand Ashk Mein kar raha hoon
Bas Yehi hai mera kul asasa
Alwada Alwada Mahe Ramazan
Tum Pe Lakhon Salam Mahe Ramazan
Tum Pe Lakhon Salam Mahe Ghufran
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara
Alwada Alwada Mahe Ramazan
Wasta Tujh Ko Pyare Nabiﺼﻟﻰﷲﻋﻟﻴﻪ ﻮﺴﻟﻣ Ka
Hashr Mein Hum ko na bhool Jana
Roze Mehshar Hu ko baqsh wana
Alwada Alwada Mahe Ramazan
Jub Guzar Jayenge Mah Giyara,
Teri Aamad Ka Phir Shore Hoga,
Kiya Bharosa meri zindagi ka,
Alwada Alwada Mah-e-Ramazan.
Sal-e- A'inda Shahe Haram Tum (ﺼﻟﻰﷲﻋﻟﻴﻪ
(ﺴﻟﻣ
Karna Hum Sb Par Yeh Karam Tum ﺼﻟﻰﷲﻋﻟﻴﻪ ﻮﺴﻟﻣ
Phir Madine Mein Ramazan Dikhana
Alwada Alwada Mahe Ramazan
Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain,
Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain,
Kaun Dega Inhe Ab Dilasa,
Alwada Alwada Mahe Ramazan.
Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain,
Aah Issiya He Main Din Katain Hain,
Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara,
Alwada Alwada Mah-e-Ramazan.
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMAZAN,
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMAZAN.