Page 3 of 8 FirstFirst 12345 ... LastLast
Results 21 to 30 of 77

Thread: Eid Day :)

  1. #21
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,943
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    Default Re: Eid Day :)

    Walikum Assalam!

    Subah ammi hi uthati hain mujhe k utho abu ane wale namaz parh k fir mai utht'ti hon tu abu ajate hain eid mil ke kuch metha kha k naha dho k hum logon ko jana hota hai apni dadi ki taraf mere chacha wagera wahan hi joint family mai rehte hain.. jab chote thee tu pehle din Dadi ki taraf dawat hoti thi aur 2nd day Nana/mamo ki taraf third day hum Dadi wagera ko invite karte thee .. aab wade hogaye hain Nana rahe nahi tu unki tarf jana choot chuka hai ... beharhaal dadi se milke baji ki dawat hoti hai .. fir 2nd day wo humari karti hai aur bus Eid guzar b jati hai waise third day kabhi mai apne frnds k pas b chali jati hon
    u
    Is bar tu kafi tough schedule hai mera.. meri mumani ki abhi death hoi thi tu kaal sub se pehle mamo ki tarf jana hai then dadi ki tarf aur akhir mai baji ne dawat pe invite kia hai apni tarf ufff ratko aa ke bed pe hi sakon karongi ... 2nd day phir aik meri khala ki death hoi unki tarf chakar lagega .. aur third day shayad baji ko bula lein khane pe ya fir bahir kahin jaein ghomne phirne

    edian tu mai add karna hi bhol gai haan g sub se pehle tu ami abu se milti hai eidi fir baji aur behnoi ko luta jata hai .. chote cousins hain jo unko deni b parti hai mamo k bache ya chacha k bache unko eidi deti hon .. lakin fir leti b mai apne se barho se hon .. dadi se b kehti hon dein

  2. #22
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,943
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    Default Re: Eid Day :)

    ahaan interesting ... aho u ki tu waqehi chand ratko eid hoti hai
    Quote Originally Posted by sweet.kiran View Post
    Sab se pehle mai he likhti hun


    hmmm to jinab jesa k ap sab ko pata hai mai beautician hun to chand rat ko subha azano tak jagna parta hai yun keh lo k meri eid chand rat ko hoti hai..mai eid se zada acha dress chand rat ko pehanne k liye banwati hun kahir chand rat ko der tak jagti hun to as liye eid ka din der tak soti hun,,haan agar koi costumer subha subha ajae teyar hone ya makup karane to pher uthna b parta hai ,,,,,,

    kahir mai eid wale din qiston mai soti hun subha mama utha deti hain mitha khelane k liye,kha pi k mai pher so jati hun pher meri choti sis utahti hai dobara jab wo teyar hojati hai to mujse gale milna hota hai,, wese eid milna to bhana hai use mijse bharii bharkam eidi leni hoti hai,,,kahir us se farig hone k bad pher so jati hun

    and pher mai sham mai uthti hun
    meri khala ami har eid pe ratt k dinar pe apni felmy k sath hamare ghar ati hain,,to pher un k khane pine k liye cooking start karti hun,,,pher un k ane se pehle mai thora sa teyar hoti hun khala ami jab ati hai to unki bhahooo sahibaa muj garib pe zul karne ko teyari kar k ati hain wo ate he muje polor mai le jati hain pher wo mehndi lagwati hai hathon peron mai muffta khorr bhabi pher rat mai meri frends ajati hain to gahr mai bohat ronak hoti hain ,, mai aksar apni doston ko cherti hun k kabi muje b moka dia karo ghar se nikalne ka sari mere ghar ajati hun bachi ki jan lo gi kia


    kahirr over alll bohat bohat bohat maza ata hai,,


    or han aek bat to batai he nai meri kuch choti choti se seheliyan hai hmmm 5 sal se 10 sal ki age k drmiyan,,unhe polor wali baji bohat achi lagti hai to bhaiii wo bachiyan b mujse eid milne ati hain,,,

  3. #23
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,943
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    Default Photobucket

    Quote Originally Posted by Rabi View Post
    walikum salam ji...m u nay to adhy say zyada din soty jagty main hi guzar diya hay
    main subh afajer time uth ker namaz pher ker phir kitchen main daikh laiti hun kuch dhonay dhulany wala ho to wo ker kay phir safai ker laiti hun phir kitchen main again or jo kuch bana hota hay wo kerti rhati hun itny abu or bhai namaz pher ker aty hain unsay eid milti hun phir kitchen main ya kaamo main magan main or ammi sis aten hain eid milny unsay aa ker eid milti hun hir kitchen mean kay lunch tak kitchen main rheti hun kay sub bus already ready ker lun kay baad main kam kaam kerna pery.. or eid waly din humkay gher chacha ki family or khala ki family atien hain un kay liye hi sub ready kerna hota ay phir lunch time time milta hay to naha dho ker kapry change kerti hun or bus phir itny main sub aa jaty hain to sub saath bhaity hain sub ko sever kerna perta hay bari bari kabhi koi guest s or bhi aa jaty abu kay guests bhi aa jaty to bus kitchen and hall room lawn in teen jago per rheti main or raat ko thak haar ker net use kerti hun ya phir so jati hun... bus sub hoty to accha lagta hay lakin bus end man thakan bohat ho jati hay na next day main phir nahi kerna hota kuch to wo farigh sa din guzerta ya ager hala dawat ker dain to waha mazy say chaly jaty phir koi kaam nahi hota na
    ufff tauba cook ki nokri karli hai matlab u ne eid wale din

    yeh haal tu bari eid pe hota hai u tu kitchen se hi nahi farig hoti

  4. #24
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,943
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    Default Photobucket

    Quote Originally Posted by ~~Ahmad~~ View Post
    عید کے بعد ہی بتا سکیں گے ۔۔۔ ابھی کچھ کہنا قبل از وقت ہوگا ۔۔۔
    اور جناب روزے کیسے جا رہے ہیں نہیں ۔۔۔ کیسے چلے گئے یہ پوچھیں ۔۔۔
    jitni guzri hain un se milti julti masrofiat hi das dein

  5. #25
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,943
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    Default Eid Day :)

    Quote Originally Posted by shazia rana View Post
    eid k din bhai or ammi se eidi milti hay is bar abbu b pak men honge tu is bar un se b tu jo b eidi milti hai koi na koi "aik min dena abi deta hun"keh k le leta hai or men wapas lena bhool jati hun tu phir mere bhanjian bhanje jb dukaan se late hen tu jb mujhe kuch dete hen tu kehte hen khala kabhi khud b pese kharch lia karo (sorry men kya ghar ki baten le k beth gai ) beharhaal bohat maza ata hai q k dono bajian bachon samait ai hoti hen
    hahaha hmm sahi

  6. #26
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,943
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    Default Eid Day :)

    Quote Originally Posted by Hidden words View Post
    walikum asalam
    hum log nana k ghar jatay hain 1st day,sath he mamu ka ghar hay to idher se udher hotay rehtay hain
    bt is bar hum ne socha hay hum apnay ghar he 1st day guarein gay
    2nd nd 3rd day may be kahin ghumnay jayein
    acha good

    kahan ghomne ja rhe ho

  7. #27
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,943
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    Default Photobucket

    Quote Originally Posted by Nida_Ali_Nido View Post
    Hum logo k to relative hen hi nahi lhr men to din boht boring ho jata hy subah uth,ti namaz parhti fir agr ami jag rahi hon to un se kam k poch leti..fir nastha wagira ker k tv on ker k baith jati k programs achy aty us din boht wo dekhti ami ko tang kerti eidi wagira leti un se
    fir lunch men help kerwati isi tarah din guzar jata tha but!!!..........................

    Is bar kuch different hony wala hy coz abi abhi mamu k fone aya wo log aa rahy is bar eid per milny men by eid k 2nd day pohanchain gy to i guess routine different ho gi" smilieid="179" class="inlineimg" border="0"> wo fir men eid k bad hi update dy sakty k kia kia hum cousins ny
    ahaan matlab u eid pe b weli hoti ho .. aisa karna zara sd pe threads laga dena u waise itne arse se lahore mai ho tu koi jan'ne wale tu honge jo ate jate honge k nahi?

    mamo kidar rehte hain?

  8. #28
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,943
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    Default Eid Day :)

    Quote Originally Posted by rupanzeel View Post
    hum log eid k first day dadi ami k ghar jate sab sab families un k ghar akethi hoti hain pura din hi udhar rehte sab cousins mil k khoob tang karte hain baro ko " smilieid="179" class="inlineimg" border="0">n raat ko taya abu k ghar jana hota nxt day sab hamare ghar ate n raat ko agar kisi se kahin outing pe ya apni nano mamu k ghar jana ho to wahan jate
    is bar thori changing k chances hain k namaz k bad sab ne hamare ghar ana n raat ko taya abu k ghar jana
    but chand raat ko me b bht thak jati sab ko mehndi laga laga k puri raat cousins n bhabhiyon ko lagani parti is bar mene socha k chaand raat ko ghar se gayeb ho jana thori der k liye
    Kash Mujhe b koi mehndi lagane wali cousin mil jae hmm humari b chote hote aisi hi routine thi sare hum akathe htoe thee cousin bara maza ata tha sham ko ya ratko Pindi mai saddar mai phirte thee haww bus bhot acha time tha

  9. #29
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,943
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    Default Eid Day :)

    Quote Originally Posted by sarfraz_qamar View Post

    w sallam

    eid pehlayy rishtaa daroon koo milnayy millanayy aorr phirr uss kayy baadd dostoonn sayy milnayy mainn hii mukk shuukk jatii haii............
    eid ka asall mazaa tabb takk thaa jabb takk bachpan thaaa,chandd raatt koo baarr baarr apnay kapray daikhna,shoess kayy sizes checkk karna,eidi kaa hisabb lagana kehh kitnii m illayy gii,eid walayy dinn aik dosrayy koo apnii eidi batana aorr phirr kaprayy gandayy karnay aorr fazooll cheezzainn khanayy parr gharr wallonn satt dantt parnaa etc
    haha haan sahi kaha par aab ka b tu batao na kiya karte ho eidi kis ko dete

  10. #30
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Islamabad, UK
    Posts
    88,943
    Mentioned
    1077 Post(s)
    Tagged
    10778 Thread(s)
    Rep Power
    21474941

    Default Eid Day :)

    Quote Originally Posted by *Mlf* View Post


    hum to subha uth gae to phr bas kam shuru jae kahin nahi hain sab aate hain
    nashta gents banate hain os din woh bhi sab mil kar doston ke sath bahr hi to
    bas hamen chae hi banani parti hai
    os k baad ready jaldi hi ho jate phr ek k baad ek mehman sara din doston ki families
    ka aana jana lag rehta hai aur kuch to sara din hi idher guzarte hain
    kam kam kam kar k jab neend de aankhen band hone wali hoti hain to mehman b sochte hain
    k chalo ab chale hi jate hain aur hum thak har kar so jate hain
    bas eid ek hi din ki hoti idher
    haan yeh tu sahi kaha bus pehle din hi hoti hai kuch jab banda new kapre pehn'ta hai warna tu koi maza hi nahi hai udar par yeh b tu maze haina u logon k karna kuch nahi parta sara khana wagear gents karte hain par gandd b khoub dalte honge

Page 3 of 8 FirstFirst 12345 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •