Walikum Assalam!

Subah ammi hi uthati hain mujhe k utho abu ane wale namaz parh k fir mai utht'ti hon tu abu ajate hain eid mil ke kuch metha kha k naha dho k hum logon ko jana hota hai apni dadi ki taraf mere chacha wagera wahan hi joint family mai rehte hain.. jab chote thee tu pehle din Dadi ki taraf dawat hoti thi aur 2nd day Nana/mamo ki taraf third day hum Dadi wagera ko invite karte thee .. aab wade hogaye hain Nana rahe nahi tu unki tarf jana choot chuka hai ... beharhaal dadi se milke baji ki dawat hoti hai .. fir 2nd day wo humari karti hai aur bus Eid guzar b jati hai waise third day kabhi mai apne frnds k pas b chali jati hon
u
Is bar tu kafi tough schedule hai mera.. meri mumani ki abhi death hoi thi tu kaal sub se pehle mamo ki tarf jana hai then dadi ki tarf aur akhir mai baji ne dawat pe invite kia hai apni tarf ufff ratko aa ke bed pe hi sakon karongi ... 2nd day phir aik meri khala ki death hoi unki tarf chakar lagega .. aur third day shayad baji ko bula lein khane pe ya fir bahir kahin jaein ghomne phirne

edian tu mai add karna hi bhol gai haan g sub se pehle tu ami abu se milti hai eidi fir baji aur behnoi ko luta jata hai .. chote cousins hain jo unko deni b parti hai mamo k bache ya chacha k bache unko eidi deti hon .. lakin fir leti b mai apne se barho se hon .. dadi se b kehti hon dein