Page 1 of 8 123 ... LastLast
Results 1 to 10 of 77

Thread: Eid Day :)

  1. #1
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Karachi Pakistan
    Posts
    13,592
    Mentioned
    62 Post(s)
    Tagged
    7109 Thread(s)
    Rep Power
    21474863

    Default Eid Day :)

    Asalam o alekum Sd ki khubsurat larkiyon and aewain aewain larko



    kese ho sare ???roooze kese ja rae hain???



    hmm to Topic se kuch kuch to andaza ho he gea hoga ap sab ko k kia hai thread mai ,mug - Eid Day :)
    to meri qaom k nojawanoooo ap logo ko yahan ye batana hai k APKA EID KA DIN KESA GUZARTA HAI??AP LOG EID WALE DIN KIA KIA KARTE HO???
    YANI K AP KO TAFSEL SE BATANA HAI EID KI ACTIVTIZ


    samaj gae na sd k piyare piyare bachoo,,,

    chal pher Goroo
    hoja shuro

    or agar kisi ne na bataya na tooo pherrr


    Last edited by sweet.kiran; 06-08-2013 at 04:19 PM.

  2. #2
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Karachi Pakistan
    Posts
    13,592
    Mentioned
    62 Post(s)
    Tagged
    7109 Thread(s)
    Rep Power
    21474863

    Default Re: Eid Day :)

    Sab se pehle mai he likhti hun


    hmmm to jinab jesa k ap sab ko pata hai mai beautician hun to chand rat ko subha azano tak jagna parta hai yun keh lo k meri eid chand rat ko hoti hai..mai eid se zada acha dress chand rat ko pehanne k liye banwati hun kahir chand rat ko der tak jagti hun to as liye eid ka din der tak soti hun,,haan agar koi costumer subha subha ajae teyar hone ya makup karane to pher uthna b parta hai ,,,,,,

    kahir mai eid wale din qiston mai soti hun subha mama utha deti hain mitha khelane k liye,kha pi k mai pher so jati hun pher meri choti sis utahti hai dobara jab wo teyar hojati hai to mujse gale milna hota hai,, wese eid milna to bhana hai use mijse bharii bharkam eidi leni hoti hai,,,kahir us se farig hone k bad pher so jati hun

    and pher mai sham mai uthti hun
    meri khala ami har eid pe ratt k dinar pe apni felmy k sath hamare ghar ati hain,,to pher un k khane pine k liye cooking start karti hun,,,pher un k ane se pehle mai thora sa teyar hoti hun khala ami jab ati hai to unki bhahooo sahibaa muj garib pe zul karne ko teyari kar k ati hain wo ate he muje polor mai le jati hain pher wo mehndi lagwati hai hathon peron mai muffta khorr bhabi pher rat mai meri frends ajati hain to gahr mai bohat ronak hoti hain ,, mai aksar apni doston ko cherti hun k kabi muje b moka dia karo ghar se nikalne ka sari mere ghar ajati hun bachi ki jan lo gi kia


    kahirr over alll bohat bohat bohat maza ata hai,,


    or han aek bat to batai he nai meri kuch choti choti se seheliyan hai hmmm 5 sal se 10 sal ki age k drmiyan,,unhe polor wali baji bohat achi lagti hai to bhaiii wo bachiyan b mujse eid milne ati hain,,,

  3. #3
    Join Date
    Jan 2009
    Location
    Zameen pay
    Posts
    12,555
    Mentioned
    11 Post(s)
    Tagged
    6388 Thread(s)
    Rep Power
    21474864

    Default Re: Eid Day :)

    walikum salam ji...m u nay to adhy say zyada din soty jagty main hi guzar diya hay
    main subh afajer time uth ker namaz pher ker phir kitchen main daikh laiti hun kuch dhonay dhulany wala ho to wo ker kay phir safai ker laiti hun phir kitchen main again or jo kuch bana hota hay wo kerti rhati hun itny abu or bhai namaz pher ker aty hain unsay eid milti hun phir kitchen main ya kaamo main magan main or ammi sis aten hain eid milny unsay aa ker eid milti hun hir kitchen mean kay lunch tak kitchen main rheti hun kay sub bus already ready ker lun kay baad main kam kaam kerna pery.. or eid waly din humkay gher chacha ki family or khala ki family atien hain un kay liye hi sub ready kerna hota ay phir lunch time time milta hay to naha dho ker kapry change kerti hun or bus phir itny main sub aa jaty hain to sub saath bhaity hain sub ko sever kerna perta hay bari bari kabhi koi guest s or bhi aa jaty abu kay guests bhi aa jaty to bus kitchen and hall room lawn in teen jago per rheti main or raat ko thak haar ker net use kerti hun ya phir so jati hun... bus sub hoty to accha lagta hay lakin bus end man thakan bohat ho jati hay na next day main phir nahi kerna hota kuch to wo farigh sa din guzerta ya ager hala dawat ker dain to waha mazy say chaly jaty phir koi kaam nahi hota na

  4. #4
    Join Date
    Jul 2013
    Location
    UAE
    Posts
    456
    Mentioned
    3 Post(s)
    Tagged
    297 Thread(s)
    Rep Power
    431657

    Default Re: Eid Day :)

    عید کے بعد ہی بتا سکیں گے ۔۔۔ ابھی کچھ کہنا قبل از وقت ہوگا ۔۔۔
    اور جناب روزے کیسے جا رہے ہیں نہیں ۔۔۔ کیسے چلے گئے یہ پوچھیں ۔۔۔

  5. #5
    Join Date
    May 2013
    Location
    pakistan
    Posts
    5,719
    Mentioned
    128 Post(s)
    Tagged
    7184 Thread(s)
    Rep Power
    644262

    Default Re: Eid Day :)

    eid k din bhai or ammi se eidi milti hay is bar abbu b pak men honge tu is bar un se b tu jo b eidi milti hai koi na koi "aik min dena abi deta hun"keh k le leta hai or men wapas lena bhool jati hun tu phir mere bhanjian bhanje jb dukaan se late hen tu jb mujhe kuch dete hen tu kehte hen khala kabhi khud b pese kharch lia karo (sorry men kya ghar ki baten le k beth gai ) beharhaal bohat maza ata hai q k dono bajian bachon samait ai hoti hen
    badakhuwar2 zps199b7191 - Eid Day :)

  6. #6
    Join Date
    May 2013
    Location
    pakistan
    Posts
    5,719
    Mentioned
    128 Post(s)
    Tagged
    7184 Thread(s)
    Rep Power
    644262

    Default Re: Eid Day :)

    Quote Originally Posted by ~~Ahmad~~ View Post
    عید کے بعد ہی بتا سکیں گے ۔۔۔ ابھی کچھ کہنا قبل از وقت ہوگا ۔۔۔
    اور جناب روزے کیسے جا رہے ہیں نہیں ۔۔۔ کیسے چلے گئے یہ پوچھیں ۔۔۔
    chalen ap yehi bata k hamara maan barrha den
    badakhuwar2 zps199b7191 - Eid Day :)

  7. #7
    Hidden words's Avatar
    Hidden words is offline "-•(-• sтαү мιηε •-)•-"
    Join Date
    Nov 2011
    Location
    Kisi ki Ankhon Aur Dil Mein .......:P
    Posts
    56,916
    Mentioned
    322 Post(s)
    Tagged
    10949 Thread(s)
    Rep Power
    21474906

    Default Re: Eid Day :)

    walikum asalam
    hum log nana k ghar jatay hain 1st day,sath he mamu ka ghar hay to idher se udher hotay rehtay hain
    bt is bar hum ne socha hay hum apnay ghar he 1st day guarein gay
    2nd nd 3rd day may be kahin ghumnay jayein
    suno hworiginal - Eid Day :)
    575280tvjrzkx7ho zps19409030 - Eid Day :)ღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ 575280tvjrzkx7ho zps19409030 - Eid Day :)

  8. #8
    Join Date
    Sep 2011
    Location
    Jadoo Nagri
    Posts
    19,712
    Mentioned
    198 Post(s)
    Tagged
    8340 Thread(s)
    Rep Power
    21474869

    Default Re: Eid Day :)



    hum to subha uth gae to phr bas kam shuru jae kahin nahi hain sab aate hain
    nashta gents banate hain os din woh bhi sab mil kar doston ke sath bahr hi to
    bas hamen chae hi banani parti hai
    os k baad ready jaldi hi ho jate phr ek k baad ek mehman sara din doston ki families
    ka aana jana lag rehta hai aur kuch to sara din hi idher guzarte hain
    kam kam kam kar k jab neend de aankhen band hone wali hoti hain to mehman b sochte hain
    k chalo ab chale hi jate hain aur hum thak har kar so jate hain
    bas eid ek hi din ki hoti idher

  9. #9
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Karachi Pakistan
    Posts
    13,592
    Mentioned
    62 Post(s)
    Tagged
    7109 Thread(s)
    Rep Power
    21474863

    Default Re: Eid Day :)

    Quote Originally Posted by Rabi View Post
    walikum salam ji...m u nay to adhy say zyada din soty jagty main hi guzar diya hay
    main subh afajer time uth ker namaz pher ker phir kitchen main daikh laiti hun kuch dhonay dhulany wala ho to wo ker kay phir safai ker laiti hun phir kitchen main again or jo kuch bana hota hay wo kerti rhati hun itny abu or bhai namaz pher ker aty hain unsay eid milti hun phir kitchen main ya kaamo main magan main or ammi sis aten hain eid milny unsay aa ker eid milti hun hir kitchen mean kay lunch tak kitchen main rheti hun kay sub bus already ready ker lun kay baad main kam kaam kerna pery.. or eid waly din humkay gher chacha ki family or khala ki family atien hain un kay liye hi sub ready kerna hota ay phir lunch time time milta hay to naha dho ker kapry change kerti hun or bus phir itny main sub aa jaty hain to sub saath bhaity hain sub ko sever kerna perta hay bari bari kabhi koi guest s or bhi aa jaty abu kay guests bhi aa jaty to bus kitchen and hall room lawn in teen jago per rheti main or raat ko thak haar ker net use kerti hun ya phir so jati hun... bus sub hoty to accha lagta hay lakin bus end man thakan bohat ho jati hay na next day main phir nahi kerna hota kuch to wo farigh sa din guzerta ya ager hala dawat ker dain to waha mazy say chaly jaty phir koi kaam nahi hota na
    hahhaha yar mai rat ko jagti b to hun na,mehdi laga laga k ungliyan soj jati hain kasam se

    and eid to bas eid hai na,,meri sahi wali eid chand rat ko hoti hai

  10. #10
    Join Date
    Jul 2011
    Location
    Karachi Pakistan
    Posts
    13,592
    Mentioned
    62 Post(s)
    Tagged
    7109 Thread(s)
    Rep Power
    21474863

    Default Re: Eid Day :)

    Quote Originally Posted by *Mlf* View Post


    hum to subha uth gae to phr bas kam shuru jae kahin nahi hain sab aate hain
    nashta gents banate hain os din woh bhi sab mil kar doston ke sath bahr hi to
    bas hamen chae hi banani parti hai
    os k baad ready jaldi hi ho jate phr ek k baad ek mehman sara din doston ki families
    ka aana jana lag rehta hai aur kuch to sara din hi idher guzarte hain
    kam kam kam kar k jab neend de aankhen band hone wali hoti hain to mehman b sochte hain
    k chalo ab chale hi jate hain aur hum thak har kar so jate hain
    bas eid ek hi din ki hoti idher
    ahhahah nice ..hamare han b eid mai lunch papa and mamu banate hain

Page 1 of 8 123 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •