Page 1 of 16 12311 ... LastLast
Results 1 to 10 of 159

Thread: Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

  1. #1
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    candel Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Salam-o-Alaykum

    Ramdan Mainl ham ne aik tajarba kiya Recipie TV mein dkehi socha zara tajarba he kya jaye Aur Alhamdulilah hamaray tajarabay main bhi barkat hai chalein aayein aap ko btati hoon aj phir bnaye

    MazayDar Sanwichies ki Recipie



    Chicken Pastry


    Dawn Or Sona Bread Koi Bhi lein epr meethi na ho ..........................8 Slicez

    Chicekn .........................................Boilied chotay chotay tukray ker lein Half bowl

    Mayyonise.........................................6 se 8 chamch

    Shimla mirch ........................bareek aor choti choti kati hui 1 khanay ka chamch

    Chat masala.....................................half chaye ka chamch

    garam masala .....................................chothayi chaye ka chamch

    Anday................................2 Adad phentay hue
    11092008006 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??


    Bread Crumbs......................................hasb se zarurat

    11092008002 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??


    ^^^ Bread Crumbz


    Talnay k liye oil

    Tarkeeb Bread ko pehle gol kat lein kisi bhi gol cutter ya kisi bhi box k dhakan se

    11092008 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    {pic cell phone se li ham ne aap laugon ki sahulat k liye sath sath pic lete gaye }

    ab aik bowl main chicekn tumam masla jat shimlamirch mayyonise sab dal ekr mix ker lein

    11092008001 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    ab gold slice jo ham ne kate us epr mayyonise jis ka mixer bnaya bread epr lagaytein

    11092008004 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    sab pcz bannay k baad aise hon gay

    11092008005 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    ab isay pehle phentay heu andon mein deep karein then bread crumbs main aur phir fry ker lein shello fry kerna hai deep fry nahi taway per {nonstick} k taway epr ker skatin hain


    11092008007 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??
    fry hone k baad tissu par rakhein

    11092008009 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Roll bnanay hon to kat lein pehle kinaray phir hath ki madad s ezor s epress kerein amaiza rakhein aur anday ka coat ker k fry mazaydar sandwichies tyar hain bnayein khilayein aur tareefein payein


    jais eham ne wasool ki alhamdulilah

  2. #2
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Salam-o-Alaykum

    hum ne chand raat yani Eid ul Fitar walay Day Se qabal Jo Raat Hoti hai ....ko khair se lab e sheeren bnaya alhamdulilah bara mazay ka bana sab ne tareef ki share kerte hain

    yeh hum woh recipie bata rahe hain jo kal banayi

    Lab E Sheeren

    12 se 14 afrad k liye aham aham{sab ki traf bijwnai se so aao

    Dudh.............................. 2 KG

    Cheeni.............................2 MAG {Chaye k cup hote hain na woh}

    Cream................................Milk pack ki le lein ya jo mile ba aasani....................{2 packit}

    Kelay.....................................3 Adad

    Angoor.............................motay aur baray hon to beej nikal ker chota hota ker lein chota ho to drmyan se bus katein

    Corn Flr.......................................dudh ko garha kerne k liye...................2 khane k chamach

    badam pista............................................kat lein bareek garnish k liye aur lab e sherein main dalne k liye

    Pasta Rangeen sawaiyan ba aasani mil jayein gi market se...........................1 packit ubal lein

    Arq e Gulab................................2 chaye k chamch



    Tarkeeb

    Dudh ko chulhe epr rakhein per garam akrne se qabal aik bowl main 4 se 6 khane k chamch dudh nikal ker us main corn flr mix ker lein achi trah k ghul jaye ab dudh garam ho to us maindudh main ghula corn flr dalein aur musalsal chamch halayein tora garha hone epr cheeni dalein aur mazeed garha karein ab arq e gulab dalein . phir chulhe se utar lein thanda ker k aik bowl main jo dudh pakaya tha woh aik bowl main lein aik cup k barabar us main cream dalein aur phant ekr achay se ab us pakaye hue dudh main mix kerein cream hal ho jaye to sawaiyan dal ker mix kerien yaad rakhein dudh thanda ho to cream aur sawaiyan dalni hai

    phir katay hue phal pista badam thora sa dal ekr dish out kerein aur badam pista s egarnish ekr k srv kerein khub thanda ker k yeh dish jitni thandi ho gi utna maza de gi

    01102008005 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??


    01102008007 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    yeh khala ki traf gaya ^^^^^^^^^^^




  3. #3
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    candel Re: Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Salam-o-Alaykum

    Daal Chicken/Daal Gosht ki Recipe

    Daal....................................Aadha Kilo

    {dho ker bhigo dein taqreeban half hour bhigona hai}

    Chicken or gosht................... Aik paow{ya jitna aap chahyein }

    Payaaz......................Darmiyani 2 Adad {Bareek aur lambi kat lein}

    Lehsan Paste...........................aik khane ka chamch

    Adrak Paste ya Adrak Powder...................Aik chaye ka chamch

    Namak.............................Aik Chaye Ka Chamch/Hasb e Zarurat

    Surkh Mirch.............................Half Chaye ka chamch {ya hasb e pasand }

    Haldi .............................................2 Chutki k barabar

    Tamatar......................................2 adad

    Garam Masala................................Aik Chaye Ka Chamch

    Hari Mirch..............................................4 Adad Choti bari hon to 3 le lein

    Hara Dhaniya...................................2 khane k chamch bareek kata hua

    Oil .................................hasb e zarurat

    __________________________________________________

    Tarkeeb:

    Kuker ya pakanay k bartan main oil dlaiye us main pyaz aur lehsan daliye thora sa bhunne k bad is mein namak daliye aur chicken dal dijiye agar taza hai to b aur agar freezer ka hai to pehle bhigo dein botiyan alaida alida ho jayein to pakanay ka amal shuru kijiye khair pyaz lehsna k sath chicken bhi bhunein ta k namak ka zaiqa chicken main bhi rach bus jaye aur agar ap mutton dalna chhatay hain chicken k bajaye to tab ap pakane se kuch der pehle 1 khane ka chamch Papeeta paste laga dein {yeh mutton ko jaldi gala deta hai }khair jab pyaz brown hone lage to is main tumam masala jaat dal ker aanch dheemi ekr dein ab aik chulhe per aik pain main 4 khane k chamch oil dalein us main tamatar kate heu beej samait dalne hain aur jab yeh galna shuru hon aur paste sa ban jaye to aap ne jo hum ne pyaz lehsan aur chicken ya mutton bhuna tha us main tamatar paste dal dein aur achay se mix kerien 5 min bhunein aur ab agar ap kuker main paka rahe hain to 1 n half glass pani dlaiye aur agar dhakan walay bartan main to 2 glass pani <= yeh chicken k liye aur agar mutton paka rahe hain to 2 glass kuker main pani dalein aur agar dhakan walay bartan hai to phir 3 glass pani dlaiye aur dhakan laga dein aur kuker hai to steam laga djiye {umeed hai smajh a agayi ho gi }khair ab aap ne kuker main Chicken bana rahi hain to 8 min baad dhakan khol lein aur agar mutton bana rhai hain to phir 10 to 12 min baad check kerien chicken to jhat pat galta hai mutton main zara time lagta hai khair gosht gal jaye to ab pani jo azafi ho usay sukhne dein aur sath sath bhunte rahein jab masla aur gosht bhun jaye to ap ne ab chicken ko nikal lena hai alag plate main k kahin dla pakte woh ghul na jaye aur agar mutton hai to khair hai masla bhunne ka theek se yahan pata chale kga k masala oil chorne lagta hai Theek ab ap ne masalay main dal dal ker 5 min bhunna hai aur phir aap ne pani hasb e zarurat dal ker steam laganai hai agar pein main paka rahe hain to dhakan laga dein pein main ho to drmiyan main check ekrte rahe aur steam {kuker} main paka rahe hain to 15 min baad steam hata ker dekhein dal gal gayi ho to jitni thik dal kerni hai utna ker lein ab garam masala hari mirchein drmiyan se kat ker dal main dalen aur gosht dal ker 5 min pakayein bad main zara dal thik ho jaye to DOE {pakanay ka chamch} se zara sa ghora sa laga lein k dal mil jaye ab hara dhaniya dlaiye lijiye Dal gosht tyar hai

    {Aik Tip

    Ap jab yeh Dal gosht paka rahe hon to sar ko lapait lein k bal chupe hon khawateen duppatay se apna sar dhanp lein aur shuru waat
    Bismmilah se karein aur her chiz jo bi dalein chahye choti se choti chiz kune na ho ap ne Bismillah aprhni hai parhna bhool b jayein to baad main jab yaad aaye pakate hue to parhein

    Bismilalh Irhman niraheem Awalau wa akhiratu

    yeh perh lein aur jab Dam per lagayein to dil mein kahein K Aye Allah main ne tera nam le ekr pakana shuru kiya tha is main barkat tu ne dalni hai Zaiqa tu ne dena hai Aur sab theek bane}

    Insha Allah Dekhiye ga sab itna mazay ka lage ga aur sab ko itna pasand aaye ga jaise restuarnt ka bana hai




    14102008004 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??
    __________________________________________________

    Boiled Rice.

    Chawal.............................................half KG

    {Pakanay se qabal half hour chawal dho ker bhago ker rakh dein}

    Namak...............................................2 chaye k chamch

    pani........................................................ 6 se 7 glass

    Tarkeeb:

    Chawalay bnanay k liye bartan jis main chawal bannay hon chulhe per rakhein us main pani dlaiye aur namak aur ublne k liye rakhein jab pani ubalne lage to us main bhege hue chawal daliye aur aik daffa chawalay pakanay walay chamch se chawal sahi s ehala lein pani ubalne lage to uper ayi jhag chamch s enikalte jayein jab aik kani reh jaye to in chawalon ka pani nathar lijiye ya kisi bareek surakh wali chandi main undel dein k sara panibeh jaye aur chani main bus chawal reh jaye ab in chawalon ko wapis bartan main dalein aur dam laga dein 5 min liye aur bad main garma garm dishout kijiye daal gosht k sath sarv kerein jab dal gosht ho to sath main lemon salad na ho to kuch maza nahi aata ab lemon salad ki tarkeeb btatay hain

    aur yaad hai na Bismillah chawal bnatay hue b parhni hai zaiyqa aur tareefein chhate hain

    14102008003 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??
    ______________________________________________

    Fresh Lemon Salad

    Pyaz.........................................2 adad dirmiyani

    {bareek aur choti kat lein aur is ko namak laga ker achay s edho lein k is ki smell dur ho jaye}

    tamatar................................................aik adad choti

    {is k bhi beej nikal ker chotay aur chakor tukron main kat lein}

    gajar..........................................bari wali ho to 1 warna 2

    {is k do tukre drmiyan s eker k lamabayi main aur ander se keel (white hisa) nikal lein aur red part k chotay chotay chakor tukre kat lein }

    Band gobhi.................................................Aadha cup bareek kati hui

    Namak......................................................2 chutki

    Garam masala ..................................1 chutki

    Lemon juice..................................................3 khane k chamch

    Tarkeeb

    Sab kate hue ajza ko aik bowl main dalein namak garam masla dalein aur sath he lemon juice dal ker mix kijiye achay se aur dishout ker k daal gosht+ rice k sath salad srv kerein aur yahan bhi yaad hai na chotay se chota kam karte katte waqt b Bissmillah parhni hai

    aur bus sab kaam ho gaye ab bus srv kijiye aur tareefein wasool kijiye

    aur hamein ijazat dijiye

    TC

    Fi aman Allah





    14102008001 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    14102008006 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    14102008 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

  4. #4
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??


    Chicken Fried Rice

    Chawal......................................Aadha Kilo

    {Boil ker lein ( boil ais ekerna hai k 6 se 7 glass pani ho ga aur 2 chaye k chamch namak is main chawal boil ker lein }aik kani Rakh ker aik kani se murad chwal ko mukamal nahi pakana aur dam nahi lagwana sirf boil kerna hai aur itna k thora sa bus kacha pan ho }{jab aik kani reh jaye to chawal se pani nikal lein ya aisi chani main dalein k jis se pani nikal jaye aur chawal chani main reh jaye sahi ]

    Chicken .......................................Aik Paow

    {Pakanay k Bartan main nonstick ho to behter hai us main 2 chutki namak dal ekr chicken thora sa fry ker k hadi samait he pani main dal ker Boil ker lein jab chicken sahi s egal jaye to pani se nikal ker is k Reshay mean tukray ker lein }

    Pyaz........................Aik Choti {bareek kat lein

    Lehsan paste......................1 chaye ka chamch

    Gajar............................................1 cup
    (choti magar chakor main kati hon inhe b ubltay hue pani main 5 min k liye dalein aur nikal lein }

    Matar.............................Aik Cup {Ublay Hue}

    Band Gobhi.................................Aik Cup bareek kati hui}

    Shimla Mirch...............................chothayi cup choti or chakor kati ho}

    Chiness Salt....................aik chaye ka chamch

    Salt..................... Hasb e Zaiqa

    Soya Sauce.....................1 n half khane ka chamch

    Chili sauce........................2 khane k chamch

    Garm masala ya Kali mirch powder..............half chaye ka chamch

    Lemon juice..........................aik chaye ka chamch

    agar lemon juice nahi to sirka sada le lein aik chaye ka chamch

    Anda..................................1 adad

    {omlate bana lein sada namak 2 chutki ,chiness salt 1 chutki aur omlate bana lein}

    Oil...............................Half Cup

    Tarkeeb:

    Nonstick Pein mein ya kisi bhi pakanay k bartan main oil dalein is mein pyaz aur lehsan dalein golden hone lage dono chizein to is main chicken jo boiled hai us k reshay eman choptay chotay tukre dal dein aur bhunein 2 min zyada nahi ab chiness namak aik chaye ka chamch sada namak hasb e zarurat dal dein aur mix kerne k baad is main tumam sabziyan ublay hue matar gajrein band gobhi yeh sab dal ker 5 min bhunein ab is main chili sauce,soya sauce,lemoo ka rus ya sirka dal dein aur bhunein 5 min ab dhakan laga dien k gajar,Shimla mirch aur band gobhi bhi gal jayein to namak check ekr lein agar kam lage to thori aur miqdar chukiyon ki surat aur namak bhi chutkiyon ki surat add kerien kam ho to barha lein zyada ho to chawal k sath mil ker sab set ho jaye ga ab is main garam masala daliye aur 1 min bhunein ab is main omlate jo bnaya tha dalein mix kerne k baad is main aik kani jo chawal ubale thay woh dal dein achay se mix kerne aur dheemi aanch per dum per laga dein

    3 min baad check kerien gal jayein to theek warna 2 min aur rakh lein chawal pak jaye to dishout ker k sab k smanay paish kerien aur tareefein wasul kijiye

    {Aik Tip

    Ap jab yeh chawal paka rahe hon to sar ko lapait lein k bal chupe hon khawateen duppatay se apna sar dhanp lein aur shuru waat
    Bismmilah se karein aur her chiz jo bi dalein chahye choti se choti chiz kune na ho ap ne Bismillah aprhni hai parhna bhool b jayein to baad main jab yaad aaye pakate hue to parhein

    Bismilalh Irhman niraheem Awalau wa akhiratu

    yeh perh lein aur jab Dam per lagayein to dil mein kahein K Aye Allah main ne tera nam le ekr pakana shuru kiya tha is main barkat tu ne dalni hai Zaiqa tu ne dena hai Aur sab theek bane}

    Insha Allah Dekhiye ga sab itna mazay ka lage ga aur sab ko itna apsand aaye ga jaise restuarnt ka bana hai q k yeh main ne 1st time bnaye Is seqabal chicken pastery b 1st time banayi Lab e sheerin b 1st time epr isi tip ko apnaye Rakha to alhamdulilah 1st time bnayi per Tareef bhai k inlaws,realtiv meri friend bhaiya k friend ki traf sab ne tareef ki aur mash Allah itni barkat parhti hai k aap kisi k yahan bhijwa do khud bhi kha lo to bhi chawal rehte hain alhamdulilah is tip ko apnaiye aur khud b koi tajarbna karein aur dad wasul kijiye family se


    abhi ijazat dein TC

    apna bohat sa khiyal rkahiye ga aur hamein duwaon main yaad rakhiye ga

    Fi aman Allah




    12102008005 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

  5. #5
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Mississauga, Canada
    Posts
    35,213
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    0

    Default Re: Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    gr8 sharing

  6. #6
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    As Salam-o-Alaykum thankew

  7. #7
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Matar Qeema

    Qeema ...................................Aadha Kilo

    {Hath ka kuta hua mashin ka nahi}

    Matar............................................aik Cup

    Pyaaz.........................................2 Adad Darmiyane Size ki

    {Bareek aur lambi lambi kat lein }

    Lehsan l Joye ..............................................8 se 10 adad

    {agar aap paste istemal ker rahay hain to aik khane ka chamch}

    Adrak powder or paste...........................................1 chaye ka chamch

    Hari Mirch.......................................3 Adad

    {drmiyan se kat lein} sahulat k liye image stah hai k kaise katni hain}


    16102008020 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Namak..................................................half chaye ka chamch

    Surkh mirch powder..........................................half chaye ka chamch

    Haldi..........................................3 chutki k barabar

    Garam masala powder.............................half chaye ka chamch

    Hara dhaniya.....................................aik khane ka chamch

    {bareek kata hua}

    Tamatar

    {4 khane k chamch oil/ghee main fry ker lein naram par jayein to yeh aik bowl main nikal lein}

    Oil............Aik Piyali {pakanay k liye

    _____________________________________________

    Tarkeeb:

    kuker main ya pakanay k bartan main aap oil dlaiye is main pyaz lehsan dal dijiye agar lehsan aap k pass sabit halat main hai to piyaz k sath dal dijiye aur agar lehsan paste ki surat hai ya powder ki to abhi mat daliye woh jab pyaz zara pink sa ho jaye to daliye

    khair pyaz lehsan fry kijiye jab golden brown hone lage jaisa k pic main hai

    to ab is main namak ,mirch haldi dal dijiye aur bhunein

    ab is main tamatar ka jo mixer bnaya tha woh dal dein 2 min bhunne k baad qeema dal dijiye aur 5 min bhunein

    agar kuker hai to 5 min baad 3 glass pani dal ker steam laga dein aur agar pateeli main paka rahe hain to phir 4 glass pani dal ker dhakan laga dijiye

    15 min baad kuker ka dhakan hata dijiye aur agar pateeli main paka rahe hain to phir 10 min baad check kerte rahein

    Qeema gal jaye to azafi pani sukha lijiye aur qeemay ko itna buniye k masla aur qeema oil chor dei ab is adrak powder ya paste shamil karein aur phir is main sath he hari marchein daliye aur matar aur 5min bhunein

    16102008014 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    kuch aisi shakal ho gi

    us k baad 2 glass phir se pani add kerein aur matar ko galne k liye rakh dein steam lagana chaiye to bus 4 se 5 min lagaiye pani azafi ho to khsuhk ker lein aur bhune 2 min aur bus matar qeema tyar hogaya haray dhaniya dlaiye aur dish out ker k sarv kerein

    16102008028 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    {aur yaad hai na k pakana jab shuru ekrna hai Bismillah Zarur parhni hai aur her chotii se choti chiz bhi dlate waqt Bissmillah zarur parhni hai

    aur agar bhool gaye to kya jab bhi yaad aaye

    BISMILLAH IRAHMANIRAHEEM AWALU WA AKHIRATU

    parh lein }


    _____________________________________________________

    Matar Pulaow

    Matar k danay ...................................................1 Cup

    Chawal........................................ Aadha Kilo

    {pakanay s eaadha ghenta pehle dho ker bhago dijiye}

    Pyaaz.................................................1 khane ka chamch

    {bareek Aur Lambi kati hui}

    Lehsan Paste...............................1 chaye ka chamch

    Tamatar...........................................aik adad Darmiyane size ki

    { chota chota akt lein}

    Lemon Slices..................................................2 leemo k

    16102008015 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Hari Mirch....................... 4 Adad

    {darmiyan main se lambayi ki shakal main Kaat Lein }

    16102008019 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??


    Namak................................................1 and half Chaye ka chamch

    Surkh mirch powder...............................adhi chaye ak chamch

    garam masala.......................................Aadhi Chaye ka chamch

    chinish salt ...................................1 chutki bus

    Zeera ................................1 chaye ka chamch

    Sukha Dhaniya...............................1 chaye ka chamch

    {yeh hara dhaniya nahi hota amsala jaat main aata hai yeh}

    oil pakanay k liye

    ---------------------------------------------------------------

    Tarkeeb:

    Sab se pehle Paknay ka Bartan Jis main Chawal bnanay hon woh chulhe per rakhiye us main 4 khane k chamch oil daliye aur agar aap ghee main paka rahe ho to 2 khane k chamch daliye ab is main

    pyaz aur lehsan paste dal dijiye aur fry kijiye brown ho jaye to dhakan uper rakh ker kinaray s epani dlaiye aur jhat se dhakan barabar ker dijiye k cheente na urein yeh colour nikalne k liye pani add hua hai jab shot pateeli se aana kam ho to dhakan hata ker chamch chaliye ab is main namak garam masal surkh mirch powder sukha dhaniya zeera sab dal ker achay se mix kerein k brown pyaz ka mota sa he sahi apste sa ban jaye ab is {yad rkahein pani sukhne na paye} to is main tamatar,hari marchein aur lemon slices dal ker bhunein jab achay se bhun jaye aur tamatar thoray se naram par jayein aur phir matar dal dein jaisa k image main aur kuch aisi shakal ho gi


    16102008016 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    5 min mazeed bhunein jab kuch is trah se ho jayein jaisa k image main hai

    16102008017 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    to ab aap is main pani add kerein 2 se 3 glass pani aur ab matar ublne k liye dhakan rakh dein pateeli per 15 min baad check kerien matar gal jayein to theek aur agar nahi gale to pani kam mehsoos ho to half glass ya aik glass us hisab s ek matar gal jayein add kerein jab matar gal jayein to is main chawal dal dijiye aur aik daffa bus chamch halaiye ab chawal dlane k baad aik ubal anay per is main chiness salt dal dijiye aur ab aik daffa phir chamch chalyein ab is main se pani thora sa le ekr check kerien namak theek hai agar bohat kam lage to half chamch aur le lein aur agar normal lage jaise salan main hota hai to aur add na kijiye q k pani khushk hone k baad woh namak chawlon main he rachta hai so dhiyan rahe aur aik baad ka khiyal rkahein mara galte waqt ka bhi pani ho ga chawal jis pan main bhege hain us ka bhi pani ho ga ap ko zarurat lage to aik glass pani add kijiye warna rehne dijiye pani kitna chaiye is ka hisab hum yun batlatay hain k jab aap chawal dal ekr aik daffa chamch halayein gay to khafgeer {chawal pakanay ka chamch chawal k uper rkahein aur itna pani ho k kafgeer{chawal pakanay ka chamch} ka nichla gol half hiusa pani main doob jaye to pani kafi hai amzeed ki zarurat nahi umeed hai samjh a agayi ho gi

    ab taiz aanch epr pakana hai chamch bohat kam chaliye ga warna chawal tutne ka khatra hota hai

    ab aap ne jab pani khush ho jaye to dhakan laga ker dheemi aanch per dam per rakhiye aur 5 to 8 min baad check kerein chawal tyar hain 5 s ekam time bhi lag sakta hai depend ekrta hai aap k chulhe ki aanch per so bus ab dish main nikaliye aur matar qeema k sath matar pulaow srv kijiye


    16102008027 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    {aur yaad hai na k pakana jab shuru ekrna hai Bismillah Zarur parhni hai aur her chotii se choti chiz bhi dlate waqt Bissmillah zarur parhni hai

    aur agar bhool gaye to kya jab bhi yaad aaye

    BISMILLAH IRAHMANIRAHEEM AWALU WA AKHIRATU

    parh lein }



    _______________________________________________________

    Lemon Salad

    Fresh Lemon Salad hum aap ko banana to sikha chuke per is main pyaz katne ka tareeka alag ho ga bus yahan aap ne bus payz ko lambi katna hai baqi sab waisa he ho ga aur band gobhi bus thori si kachumar sald main dlani hai baqi alag se rakhni hai aur gajar bhi nahi dlani bus pyaz,tamara kheera aur band gobhi zara si umeed hai smajh aa gayi ho gi

    16102008029 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??
    _____________________________________________________

  8. #8
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Masoor Ki Khati Daal

    {bagair Chilkon ki Orange Colour ki }

    Masoor ki Daal............................................half KG

    {Dho ker bhago dijiye Aap Laugo ki Sahulat k liye sath main image di hai }

    20102008 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Payaaz...................................2 Adad Darmiyani Size ki

    {bareek aur lambi kat lein}

    Lehsan PAste.........................................1 chaye ka chamch

    Adrak Powder or Paste........................half chaye ka chamch

    Namak.....................................1 chaye ka chamch

    Surkh mirch Powder...............................half chaye ka chamch

    Haldi....................................................... ...........3 chutki k barabar

    Tamatar.............................................1 adad

    { 4 khane k chamch main bareek kaat ekr dal ker fry ekrien naram par jayein to paste sa chamch ki madad s ebana lein}

    Hari Mirch.............................4 Adad

    {darmiyan main se kat lein }

    Lemon juice ...................................1 khane ka chamch

    Lemon slice aur Hara Dhaniya garnish k liye

    oil ..........................aik piyali


    Bhagar k liye

    1 choti pyaaz bareek kat lein Bighar k liye

    aur aik chaye ka chamch safaid zeera

    -------------------------------------------------------

    Tarkeeb

    Aik pateeli main oil dlaiye is main pyaz aur lehsan ka apste dal ker achay se fry kijiye jaisa k image main hai

    20102008002 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    ab is k baad is main jab lehsan brown hone lage aur pyaz bhi pinky touch de

    20102008003 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    to aap is main pani half glass dal ker chamch se haliye shakal kuch aisi ho gi

    20102008004 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    josh anay dijiye aur jab pani qadray kam ho to ap is main namak mirch tumam masala jaat dal dijiye aur namatar ka paste b dal ker bhunein 5 min pani mukamal taur per khsuhk ho ker oil chore ga to ap ne pani dal dena hai 1 glass k barabar aur dhakan laga dena hai tai aanch epr 5 min baad ap ne dhakan hata ker azafui pani ko khuch ker k masalay ka apste sa pakanay k chamch se bana lena hai aur jab pani qadray khsuhk ho to hari mirche dal deni hai aur adrak powder achay se bhunne k baad lemon juice dal dijiye aur jab oil chone lage masala to kuch aisi shakal ho gi

    20102008005 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    ab aap ne is main daal jo bheegi hui thi pani smaait dal deni hai aur 2 glass aur pani add ker k pakana hai yad rkahe abhi dhakan nahi lagana pateeli per {yeh dal kuker main nahi bane gi }

    20102008006 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    jab dal achay se gal ker mil jaye aur gargi hone lage to bhagar k liye
    aik chotay fringpan main aap ne oil 3 khane k chamch dalna hai aur pyaz zeera daal ker fry kerein

    20102008007 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    brown ho jaye

    20102008009 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??
    Ro daal main Daal ker Tarka laga lein aur bus aap ki daal tyar hara dhaniya

    ab srvin bowl main aap ne daal dalni hai bareek hari mirch kat ker aur lemon slices k sath garnish ker k srv kerein white rice {boiled} k sath

    20102008012 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Aur Tarefein paiye

    yad rakhiye lemon juice k sath ya lemon salad k sath yeh behaad mazay ki daal sabit hoti hai

    try kerien aur nataij se agah kijiye



    {aur yaad hai na k pakana jab shuru ekrna hai Bismillah Zarur parhni hai aur her chotii se choti chiz bhi dlate waqt Bissmillah zarur parhni hai

    aur agar bhool gaye to kya jab bhi yaad aaye

    BISMILLAH IRAHMANIRAHEEM AWALU WA AKHIRATU

    parh lein }



    Last edited by Bint E Aadam; 04-01-2009 at 03:50 PM.

  9. #9
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Mung Ki Daal

    {bagair Chilkon ki Daal }

    Mung ki Bagair Chulkon ki Daal............................................half KG

    {Dho ker bhago dijiye Aap Laugo ki Sahulat k liye sath main image di hai k kahin aap laug mash ki daal na smajh lein }

    18102008 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Payaaz...................................2 Adad Darmiyani Size ki


    Lehsan .........................................8 se 10 Joye jo aik gathi main hon

    Adrak Powder or Paste........................half chaye ka chamch

    Namak.....................................1 chaye ka chamch

    Surkh mirch Powder...............................half chaye ka chamch

    Haldi....................................................... ...........3 chutki k barabar

    Tamatar.............................................1 adad

    { 4 khane k chamch main bareek kaat ekr dal ker fry ekrien naram par jayein to paste sa chamch ki madad s ebana lein}

    Hari Mirch.............................4 Adad

    {darmiyan main se kat lein }

    16102008019 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??


    oil ..........................Half piyali
    -----------------------------------------------------

    Tarkeeb

    pakanay ka bartan chulhe per rakhein us main oil daliye.pyaz aur lehsan k joye dal ker fry kijiye

    18102008001 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Golden ho jaye to ab aap is mein namak surkh mirch,haldi,tamatar paste dal dijiye jo banaya tah achay se bunein 5 min bad 2 glass pani dal ekr steam laga lijiye 5 min steam lagayein the dhakan khol ker pani khushk kerein aur handi pakanay walay chamch ki madad se masala bhun aur pees lein k khara masla na rahe bhun jaye to aur pani khushk ho jaye to adrak powder ya apste jo ho woh dal dijiye aur hari marche bhi aur theek bhunne ki nishandahi yun hai k misala oil chore ga yahan aap bhegi hui mung ki daal pani samait daliye aur aik daffa chamch hala ker 10 min k liye without dhakan pakayein us k baad 2 glass pani daliye aur again steam laga dein 5 min baad zyada nahi 5 min baad steam khol lein aur ab taiz aanch per pakayein chamch waqfay waqfay se chalati rahein garhi hone per daal chulha band kijiye srvin bowl main daal nikal lijiye aur srv kijiye

    18102008003 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??


    aur haan white rice k sath srv kijiye lemon salad jis ki Recipie pehle bata chuke hain wohi sath rahe ga yaad rkahiye Chawal jab bhi hon kachumer salad plus lemon juice maza de ga

    {aur yaad hai na k pakana jab shuru ekrna hai Bismillah Zarur parhni hai aur her chotii se choti chiz bhi dlate waqt Bissmillah zarur parhni hai

    aur agar bhool gaye to kya jab bhi yaad aaye

    BISMILLAH IRAHMANIRAHEEM AWALU WA AKHIRATU

    parh lein }

  10. #10
    Join Date
    Jul 2008
    Location
    Sialkot Pakistan
    Age
    38
    Posts
    2,056
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Mix Veg

    Payaaz...................................2 Adad Darmiyani Size ki


    Lehsan Joye........................................10 se 12 Adad {aik gathi Main Jitne hon }

    Adrak Powder or Paste........................half chaye ka chamch

    Gajar............................. Aik Pao

    { uperi skin utar ker saaf ker k chotay tukron main kat lein}

    Matar ................................ Aadha Kilo

    Aalu..............................................Aik Pao

    {is ki bhi uper se chiklay utar ker kat lein aap ki sahulat k liye stah main image de rahe hain k maloom ho jaye cutting kaisi kernin hai sabziyo ki sab sabziyo ko dho ker bhago dijiye }


    21102008 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    Namak.....................................1 chaye ka chamch

    Surkh mirch Powder...............................half chaye ka chamch

    Haldi....................................................... ...........3 chutki k barabar

    Tamatar.............................................1 adad

    { 4 khane k chamch main bareek kaat ekr dal ker fry ekrien naram par jayein to paste sa chamch ki madad se bana lein}

    Garam masala powder ..........................................aik chaye ka chamch

    oil ..........................Half Piyali

    --------------------------------------------------------------------

    Tarkeeb

    pakanay ka bartan lijiye us main oil dlaiye aur pyaz lehsan daliye fry hkarein golden ho jaye to is main namak,mirch,haldi dal dijiey aur sath he tomato paste jo bnayi thi ham ne woh achay s emix kerein 5 min bhinein baad main 2 glass pani daal ekr steam laga dein agar kuker main nahi bana rahe to dhakan laga dijiye k lehsan gal jaye...............5 min baad kuker ki steam hata lijiye aur agar ap pateeli main paka rahe hain to 15 min rakhiye.............us k baad azafi pani taiz aanch epr khuch karein pakanay walay chamch se masala peesein k achay s epaste ban jaye us k baad is main garam masala daliye aur sath eh sabziyan tumam daal dijiyeaur achay s emix kerein k sabziyan achays emasalay main mix ho jayein

    21102008003 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    ab aap ne is main pani bilkul nahi dalna aur aam dhakan jo hota hai woh pateeli ya kuker per rakh dijiye k bhanp main sba sabziyan galeion yaad rakhiye ga k aanch behaad dheemi ho

    45 to 50 min main Mix veg tyar hai hara dhaniya Daliye

    21102008005 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    aur srvin bowl main daal ker aam k achar fresh salad and haray dhaniye poodene ki chutny k sath srv kerein is k sath roghni naan ya chapati sahi rahe gin

    21102008004 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??
    ----------------------------------------------------------------

    Hari Chutny k liye

    Dahi........................................hasb e zarurat

    Hara dhaniya .......................................bareek kata hua 4 khane k chamch

    Podeeena.......................................1 guchi

    Namak.......................1 chaye ka chamch

    Hari Mirch...........................................2 Adad

    Sil Batay per hara dhaniya podeena aur hari mirch bareek pees lein us k baad is main namak dal ker again sil batay epr peesein aur baad main aik bowl main nikal lein

    Aik alag bowl main dhai lein jitni chatni bnanai hoon us k baad is ko phente achay se aur is main hari chutni daal ker mix kerein thori thori daliye kahin zyada na add ho jaye aur bus hari chutni tyar


    21102008006 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??
    __________________________________________________

    Frsh Salad

    Pyaz..............................................1 Adad

    {Gol lacon main kaat ker namak se dho lein}

    Tamara...................................aik adda drmiyani

    {gol kat lein}

    Kheera............................... 1 adad

    {gol kat lein}

    Band gobhi...................................aadhi piyali

    bareek kati hui

    Lemon slices.......................................1 leemo k katlein

    21102008007 - Bint E Aadam's Kitchen => Pak raha Hai Kya??

    _______________________________________________

    Tarkeeb.

    Pyaz ,tamatar, bandgobhi,kheeray kate hue lemon slices sab aik mixing bowl main mix kerein namak dlaiye aur srvin bowl main nikal ker srv kijiye

    {aur yaad hai na k pakana jab shuru ekrna hai Bismillah Zarur parhni hai aur her chotii se choti chiz bhi dlate waqt Bissmillah zarur parhni hai

    aur agar bhool gaye to kya jab bhi yaad aaye

    BISMILLAH IRAHMANIRAHEEM AWALU WA AKHIRATU

    parh lein }

    Ab Ijazat Dein TC

    fi Aman Allah

Page 1 of 16 12311 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •