yaar buhat acha taste ata hai u try ker k dekhna..
hmmmmmmmmmmm
ya ager buhat zada coconut milk nai chahti tu ik he daal lena 1 kg walay main bhi...half main grinde ker lena..half baad main dal dena.....
or baki jesay marzi use ker lo..taste he dena hota hai....
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
yaar buhat acha taste ata hai u try ker k dekhna..
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
Zarda {Sweet yellow Rice}
Chawal.....................................................1 Glass
{Hamaray Yahan Ab Chawal Maheenay K Aik Sath Atay hain So Ham Ne Glass K hisab Se He Liye :-)}
Cheeni...................................................... .........Half Se Kuch Zyada
{Yani Aik Glass K Teen Hisay Cheeni K Hon}
Choti Ilaichi..................................................... ..4 se 5 Adad
Oil.......................................4 Khanay k chamch
Pani...................................4 Se 6 Khane k Chamch
Yellow Food Colour.................................... Half Chaye Ka Chamch
{kam lage to miqdar thori barha lein :-)
=============================================
Sab se Pehle Aik pateelay main pani lein us main aap ne pani dlana hai boil hone lage to aap ne food colour dal ekr hala lena hai
ab is k baad ap ne sirf aik chutki k brabar namak dlana hai aur chamach s ehala ekr ab is main chawal dal dijiye ga
jab chawal ubal jayein aur aik kani kachay rahein to bareek surakhon wlai chani main undel dein k sara pani beh jaye aur chawal chani main reh jayein
ab ap ne aik pateelay main oil dal ekr cheeni dal deni hai
aur sath he ilaichiyan khol ker danay chilkon samait dal ekr mix kerna hai ayd rahein dheemi aanch warna cheeni brown ho jaye gi ab sath he abhi cheni sari na ghuli ho to pani add ekr dein aur musalsal chamach chilayein ab
ap ne jab qadray hal ho jaye cheeni to chawal dalne se qabal aanch taiz ker lein aur chawal dal ekr aram se ikhtyat se chawal mix ker lein
jab achay se chawal fold hon to Dum epr rkah dein halki aanch per us k baad kuch yun shakal ho gi dum k baad
bus dish out ekr lein badam pista ki hawaiyan aap dalna chahyein to last main daliye ya chawal dalne se qabal dal dein aur gari bhi dal sakte hain ap
aur yaad hai na Bismillah Parhni Hai :-)
ok tc
fi aman Allah
Mutoon Pulaow
{Bakray Ka Gosht}..........................................Half KG
Chawal...............................................1 Kilo
```````````````````````````````````````````````````````````` ````````````````
Yakhni K Liye
Aik Pyaz
Aik Lehsan Ki Gahi
yeh dono ashya dho lein chilkon smaiat
Aik Chaye Ka Chamch Sukha Dhaniya
Aik Chaye Ka Chamch Long Aur Kali Mirch Yani Half Chamch Lowng Hon To Half Chaye ka chamch Kali Mirch
2 Bari Ilaichi
half chaye ka chamch namak
4 Se 5 glass pani dal ker aur baqi sab ajza gosht dal ker chulhe epr rakh dein aur kuker main karein to 10 se 15 min baad Yakhni Ready ab aik chani main gosht Aur yakhni nikal lein per yakhni main jo ajza dalein thay lowng kali mirch pyaz woh sab yakhni main na aayein yad rakhiye :-)
-------------------------------------------------------------------------------------------
Pulaow Bnanay K Liye
Pyaz........................................Bareek kati aik Chaye ka chamch
Lehsan paste...................................1 chaye ka chamch
Adrak powder or Pisa hua {paste} .................................aik chaye ka chamch
Khushk Dhaniya.........................................aik chaye ka chamch per yeh dhaniya hathon s emasal ekr dlaiye ga
zeera............................................half chaye ak chamch
Hari mirch......................................2 adad
tamatar........................................Half choti
namak.....................................................1 n half chaye ka chamch
garam misala ...............................................pisa hua half chaye ka chamch
oil..............................................4 Khane k chamch
--------------------------------------------------------------------------
aik pateli main tail garam kerein is main pyaz dal ekr brown kijiye is k baad is main jab pyaz golden brown hon to lehsan adrak apste dal ekr fry kerein sab brown hon dark brown to ab ne pani ka chenta ikhtyat se dena hai k chentein ap epr na parein behetr hai k dhakan rkah ker pani daliye aur jhat uper dhakan ker dein jab shoon shaaan {:-)} ki awazein ana band ho jayein na to dhakan hata ekr chamch chalayein aur ab is main tumama masala jaat aur gosht bhi dal dien yad rahe yakhni abhi nahi dlani achay s e 5 min Bhunein
bhoone k baad ab ap ne dkehna hai k tamatar naram apr gaye to bus ab ap ne yakhni dal ekr achay s emix kerna hai aur ab jab pani ublne lage to ab ap chawal dal dijiye
aur achay s ebnaye yakhni ka bhi hisab rkahna hai kahin naram na par jaye pehle ap yakhni 2 glass dalein gin kam lage to chawal dalne k baad aap ne kafgeer {paganay k chamch ko chawal ki sata per rkahna hai half hisa kafgeer ka pani main dobba to pani ki miqdar theek hai aur mat dlaiye ga :-) yehi tareeka pehle biyan ker chuki hoon khair ab ne ab pani khushk taiz aanch epr kerna hai khushk ho jaye
yahan abhi pani nazar aa raha hai is stage epr aap ne abhi dum nahi lagana
mukamal pani ab khushk hone per jaisa k image main hai to dum lagaiye ga
to bus ab ap ne dum epr rakhna hai 5 ,to,7 min dheemi aanch epr us k baad check kerein chawal gal gaye to dish out kerein
Aur tip wohi Bismillah her chiz dalte lamhay parhein
Tc
Fi aman Allah
Kachay Qeemay Ki Tikiyan
Bareek Qeema ...................................................Half Kg
{Machine ka Nikla Hua Ho jab ap Qeema bnawayein to sath he mashin se he usay kahein jis s eqeema banwa rahe hon aik adad piyaz chilka utar ekr dho ker 1 lehsan ki gathi k joye chilkay utar lein aik adrak darmiyane size ki chilka utar ker mean sab ajza k chilke utar ekr dholwa ker qeemay k sath piswayein machine se aur last main usya 8 hari mirchein bhi dein k yeh bhi ab qeemay k sath machine s eniklwaye agar Aap khud ghar main bnana chhati hain to qeema bazar se bareek machine ka niklwa ker gahr main sil batay epr hari mirch adrak,lehsan pyaz pees ekr bareek pees ker qeemay main mila lein yeh ho gaya keema tyar :-)]
namak...........................................half chaye ka chamch
{ya jitna aap ko pasand ho }
garam masala............................................... 3 chutki k brabar
oil fry kerne k liye
===========================================
qeemay main namak aur masala mix ker k half hour k liye fridge main rakh dein
{namak check ekrne k liye pehle thora sa amaiza le ekr check kerien lein namak set ho to baqi Tikiya bnaiye ga :-)}
khair qeema lein
ab thora sa qeema lein aur gol sa ball bana lein
ab hatheli epr oil lagaiye aur us ball ko hatheli ki madad se dabayein
k tikiyan ki shakal main aa ajye nunstick taway epr aab ne yeh tikiyan bnani hain ya fryingpein main aap ne oil dlana hai aur tikiyan bana bana ker dhemi aanch epr fry kerte jana hai
suker ker yeh chotin hon gin fiker not :-)
baad main plate main salad k patay rkahein us epr fry ki hui tikiyan
aur salad aur hari chutni k sath srv kerein chahyein to katchup bhi Rakh lein :-)
Salad k liye
Band gobhi................................Bareek KAti Hui Aik cup
Mayyonise.....................................half cup
namak..........................1 chutki
-------------------------------------------------------------------------
in sab ko mix ker lein to Saald tyar :-)
Tip Wohi
Bismilalh Lazmi Parhni Hai
Ab ijazat TC
Fi Aman Allah
hmmm bhot achi sharings hain par BEA aap alag alag thread lagao na inki naam beshak apna hi dal liya karo
aham aik he thread main meri recipies rehne dein ta k kam az kam mujhe maloom ho kya kya share ho gaya aur kya reh gaya
Gajar {Boiled}..............................................Aik Cup Chota Chota kat lein
Matar K Danay{Boiled}................................Aik Cup
Boiled Aaloo...........................Aik Cup Katay Hue
Bangobhi..............................Half Cup Bareek kati hui
Mayyonise........................................aik cup
Cream.............................Half cup {garhi wali leni hai}
{olpher's pakistani laug le sakte hain q k yeh kafi thick hoti hai aur achi bhi}
Namak.................................... Hasb e Zaiqa
{taqreeban 2 chutki lein q k mayyonise main already hai}
kali mirch........................................bareek pisi....................1 chutki
gajar.........................Bareek kati Garnish k liye
aur boiled eggs garnish k liye
-------------------------------------------------------------------------------------------
Sab sabziya siwaye band gobhi k jo ham ne anmak mile pani main boiled ki thin aik surakh wali tokri main dalein k azafi pani nikal jaye
ab aap ne mayyonise aur cream mix ker k is main sab sabziyan gajar bhi dal ekr achay s emix kerna hai aur ikhtyat s ek gajar na tootein
aur srvig dish main dal ker kadukash ki hui gajar se garnish kerien
Darmiyan main ab boiled eggs rkahein aur ap ki salad tyar yeh aap khanay se qabal bhi srv ker skate hain :-)
umeed hai yeh salad bhi apsand aaye gi aap ko yeh actually jab in laws aatay hain khane per tab ham bnatay hain sab ko pasand bhi ati hai aur aksar bhai k office bhi bhijwayi qeema bharay parathas k sath bhi maza deti hai yeh salad :-)
Aur yaad hai na bismillah her lamha parhni hai aur Sar dhanpe rakhna hai :-)
Ab ijazat dein Tc fi aman Allah