Oh Sorry Gajar 1 kilo k bajaye 2 kilo thin actually ikathi gajrein hamaray yahan aati hain so hisab nahi rehta na :-)
As Salam-o-Alaykum
Gajar Ka Halwa
Gajar..................................Kilo
{Cheel ker kadukash ker k surakh wali chani main ya tokri main daal ekr dho lein}
Dudh...................................half KG
Cheeni...................................aik glass
Khoya....................................Half KG
Oil..............................taqreeban half cup
Desi Ghee.........................2 khane k chamch ya 3 :-)
====================================================
ab ap ne aik baray pateelay main gajar aur dudh dal ekr dheemi aanch epr rakh dena hai 30 min tak dheemi aanch per pakana hai per her 5 min baad chamch chala ker uper k gajrein neechay dudh main aur neechayw ali uper aa jayein aise kerna hai
30 min baad aanch taiz ker k dudh baqi bacha khushk kerna hai shakal kuch yun ho gi jab dudh khushk ekrna hai
mukamal taur per dudh behter hai aap packit wala lein aur jo k garha ho :-) pakistan main olpher's ka dudh behtreen hai ho sake to woh use kerein
khair ab jab dudh khushk ho to aap en gajar ungli ki madad se check ekrni hai k gali ya nahi umeed hai gal chuki hoon gi agar ap 1st time bana rhai hain to jab dudh ho to gajrein check ekrien gal agyi hon to dudh khushk kijiye
khair ab aap ne cheeni aur oil dal ekr 15 to 20 min bhunnna hai achi trah jab bhun jaye to last main dese ghee dalein aur 5 min amzeed bhunein ab check ekrein cheeni kam ho to hasb e zarurat add kerein warna ab khoya dal ekr khub mix kerein jab khoya hal ho jaye yaad rahe k half kg khoye ka aadha pakana hai aadha garnish k liye rkahna hai khair jab khoyala halway main hal ho jaye to dish out ekr k khoye se garnish ker k srv kerein
aur yaad hai na Bismmilah her chiz dalte waqt parhni hai aur pak jane epr Rab se is main zaiqa dalne ki darkhawast :-) beshak is k baad aap ki bohat tareefein hon gin :-)
ham ne bachon k liye yeh choti piyali tyar ki thi :-)
Oh Sorry Gajar 1 kilo k bajaye 2 kilo thin actually ikathi gajrein hamaray yahan aati hain so hisab nahi rehta na :-)
Shami Kabab
Chanay ki Daal..........................................aik cup k brabar
{ daal chun ker dho ker pani main bhigo dein half hour k liye}
Qeema.........................................1 Kilo
{Qeema dhone ka tareeka chani surakhon wali main dlaiye aur us main qeema dal ker pani k nichay dhoyein k sara blood nikal jaye baad main kuch der chor dein k sara pani beh jaye}
Garam Masala Powder............................................. 2 Chaye k chamch
Namak....................................................1 chaye ka chamch
Anda..........................................aik adad phenta hua
Oil............................fry kerne k liye
=======================================================
kuker main qeema daal aur namak dal ekr chulhe epr rakhein aur taqreeban 3 glass pani daal ker stem lagayein darmiyani aanch per 10 se 15 min lagayein is dauran umeed hai pani khushk ho jaye ga yad rahe time ka wahan se andaza kerna hai jab seeti bajna shuru ho phir time 10 se 15 min ka hoye ga behetr hai 10 min baad steam hata ker dekh lein pani khushk to nahi ho gaya khair jab pani khushk ho jaye mukamal taur epr aur dal bhi taqreeban gal chuki ho gi
to aap ne isay sil batay per pees lena hai ya batay ki madad se aap ne kisi bartan main main he pees lein isay jab peeste jayein sath sath garam masala thora thora add kerte jaye aise k jitni miqdar likhi ho woh her hisay main mix hota jaye mean amaizay k 4 hisay kewrein gin to aik hisay main half haye ka chamch garam masala dal ker pisna hai samejh gaye na
Sabit masal kuch yun ho ga
aur pisne k baad kuch yun
ab is ki tikiyan bana lijiye
ab jab yeh ban jayein to half hour fridge main rakhein aur phir phente hue anday main deep ekr k anday ak cot ker k ab aap fry kerein dheemi aanch epr jab golden ho jaye shami to aap srving dish main daliye aur paish kerein
aur agar aap isay freez kerna chahti hain to aap aisa kerein k jaise aap ko ham ne chicken pastrie aur samosas freez kerna sikhayein thay same waise freezer main frees kerein aur jab guest k samnay sv kerna ho to jhat pat fry kerne k liye aap same tareeka istemal ho ga anday main deep kerne tak then jab taway epr fry ekrein gin to tab aap ne dono traf s epakne mean golden hone se qabal aur anda pakne se baad main churi ki nok s etak lagayein halkay se k jaldi ban bhi jayein aur drmiyan main se sakht bhi na ho :-)
umeed hai smajh aa gayi ho gi
aur han Bismillah nahi bhulni agar zaiqa aur tareefein chhatin hain :-)
Ab ijazat dijiye
Tc
Fi aman Allah
hmmmm nice sharing BEA
hmmmm nice sharing BEA
u com com
BEA mai aap ki recipes mai se competition k liye share karlon recipe
Machli K Seekh Kabab
Machli K Baray Qatlay.....................................Half KG
{Skin aur Kantay Nikal KEr Qeema Sa Bana Lein}
Pyaz(Breek Kat Lein}.....................................2 Adad
Lehsan PAste...................................1 Chaye Ka Chamch
Namak.........................................Hasb E Zaiqa
Lal Mirch(Bareek Kuti Hui)...................................1 & Half Chaye Ka chamch
Zeera Powder.................................Aik Chaye Ka Chamch
Garam Masala Powder......................................Aik Chaye Ka Chamch
Bread Slices(Yakhni main Bhigo Lein}...............................3 Slices
Hari Mirchein{ Bareek Kat Lein}...........................3 se 4 Adad
Hara Dhaniya {Bareek Kata Hua}.........................Hasb e Zarurat
Ajwain Powder......................................... Aik Chutki K Brabar
Qasoori Methi..................................................1 Khane Ka Chamch
Corn Flour..............................................3 Chaye K chamchay
Tail.................................................Half Cup
Lakri Ki Sticks...........................................Hasb E Zarurat {Pani Main Bhigo Dein}
Machli K Qeemay ko Aik Piyalay Main Nikal Ker Is Main Tumam Masalajaat aur bread k chotay se pcz ker k woh bhi dal dein siwaye oil k sab dal ker achay se mix kerein k bread sahi se mix ho jaye
ab lakri ki sticks ko pani se nikal ker geelay hath ker k machli k amaizay ko sticks per charha lijiye k kabbas ki shakal main a aajye
ab Aap ne kerna yeh hai k agar ap k pass oven hai to 200 C per isay half hours k liye back kerein epr yad rahe trey bhi grece ki hui ho aur kababs k uper bhi oil lagana hai aur agar oven nahi to ap ne in kababs ko tawa per jo k nonstick ho us epr oil dal ker shelow fry kerein dhemi aanch per golden ho todish main nikal lein
ab jab sab kababs tyar hon to aik bartan main in kababs ko rkahein aur aik koila dehka lijiye ab kababs per aik roti ak tukra ya pyaz ka bara sa tukra rakh ker is per dehka hua koila rkah ekr aik katra oil ka koilay epr tapka ker jhat s edhakan rakh dein is trah bar b q wala zaiqa kababs amin aa jaye ga :-)
2 min baad aap ne dhakan hata ke rkoila nikal lena hai ab garam garam isay imli aur tamatr ki chutni k sath srv kerien per yaad rakhiye ga salad nahi bhulna :-)
Aur Tip to ab aap ko yaad ho jani chaiye k Bismillah Her Daffa choti se choti chiz ki daffa bhi parhni hai aur bus
C foods lovers k liye yaqeenan yeh dish share ekr k shikayat ham ne kam ker di hon gi
TC
Fi aman Allah
sure :-) per image soff ho gayi maire account main kuch masla
Khoye Wala Roll
Khoya..........................................Half KG
Cheeni...................................4 Khane K Chamch
{Pisi Hui}
Khuhk Dudh........................................................ .....Half Cup
Kiyura..........................................1 Chaye Ka Chamch
Oil...................................................Aik Khane Ka Chamch
Oil.............................................Aik Khane Ka Chamch
Roll Kerne K Liye
Pisa Bareek Kata Hua...................................Half Cup
=================================================
Nonstick Fring Sauce Pan Main Tail Garam Kerin Cheeni,Khushk Dudh,Kiyura Aur Khoya Aik Sath Dal KEr Paka Lein
5 Min K Liye Thanda Ker Lein,Us K Baad Amaizay Ka Bara Sa Loaf Roll Bana Lein Aur Roll Ko Grs Kiye Hue Pain Main Rakh KEr Fridge Main Thand ahone K Liye rakhein
Thanda Hone Per is per Piste Ka Kot Kerein k Her Janib Pista Lag Jaye AurHasb e Pasand PCZ ker k Srv kijiye Aur Tareefein Paiye :-)
Aur Tip Wohi Bismilah PArhni Hai
TC
Fi aman Allah