U bari achi cook ho nice recipe hai sb ki sb
Keep sharing
Murghi Bonles...............................Half Kg
Sirka.........................................2 Chaye K Chamch
Chiness Salt.........................................Aik Chaye Ka Chamch
Pyaz.............................Do adad
{Slices Kat Lein}
Chaat Masala ...........................Aik Chaye Ka Chamch
Myonnaise................................................... Half Cup
Chili Sauce..............Do Chaye K Chamch
Adrak LEhsan Paste.................................................Aik chaye ka chamch
{mean yeh dono paste mix ker lein aur woh aik chaye ka chamch chahiye}
Soya Sauce....................................do chaye k chamch
Lal Mirch Kuti hui................... aik chaye ka chamch
Garam Masala Powder..............................aik chaye ka chamch
Fozen Parathas...........................aik packit
Namak hasb e zaiqa
Oil.............................Hasb e Zarurat
------------------------------------------------------------------------------------------------
Adrak,lehsan apste,murghi,namak,kui hui lala mirch,sirka,soya sauce dal ekr pakne k liye rakh dein halki aanch epr gosht k galne tak pakayein aur pani khushk ho jaye jo k in masalajat aur khud chicken ka bhi ho ga khushk ho jaye to is main chines namak,garam masala powder,chili sauce chat masala dal ekr bhunein aik chaye ka chamch ab oil bhi dal dein pyaz bhi jo bareek slices main kati thi al dein aur bhunein achay se 5 min dum dein aur ab koila dehka ker chicken k uper roti ka tukra ya pyaz ka sabit tukra rakh ker us epr koila rkahiye aur uper se aik do katray oil tapka ker jhat s edhakan rkah dein yeh amal dhuni k liye hota hai k bar b q wala taste aa ajye ab parathon ko bagair oil ker taway epr saink lein aik paratha lein us epr murghi ka amaiza jo chotay tukron ki surat hoye ga rkahein uper s emayonnaise dalein aur roll kerien chhaein to butter paper main roll ker k lapait dein mazay dar chciken roll paratha tyar hai garam garam srv kijiye salad,katchup and hari chatni k sath
Tc
Fi aman Allah
U bari achi cook ho nice recipe hai sb ki sb
Keep sharing
​
no pics
old recipies ki pics show nahi hon gi becuz maire photobucket k account main kuch masla ho gaya hai
Zafrani Shahi Tukray
Bread slices.............................4 Adad
Pista.............................................6 khane k chamch
{bareek kata hua}
Nariyal Powder.......................................3 Khane K Chamch
Zafran.....................................Aik Chutki
Khoya.......................................1 n Half Cup
Badam.....................................6 Khane k Chamchay
{Bareek Kate Hue}
Cheeni.........................................3/4 Cup
{Chashni K Liye}
Ilaichi.....................................3 Adad
Ghee................................Hasb E Zarurat
==================================================
Sab Se Pehle Cheeni main Ilaichi Aur Half Cup Pani Aur Zafraan Mila Ker Chashni Tyar KEr Lein
Koye Main Badam Aur Pista Mila Lein
Bread K Slices k Kinaray Kaat KEr in per thora thora oil laga ker nonstick fringpan per golden hone tak saink lein
Ab slices ko tokon shape main akt lein is per sheray ki toping kerein shera slices main jazb ho ajye
ab is k baad is per khoya wala mixer phela dein aur 30 sec k liye garam oven mainr khein is l baad is pe chandi k lga ekr khubsurti k sath dish main rakhein aur chhayein to thori s eceam se garnish ker k srv kerein Aur tareefein payein
Aur tip to ab yad ho gi :-)
Tc fi aman Allah
Sarson ka saag
Jo ham ne bnaya jis miqdar main us ki tarkeeb ham bta rahe hain
Saag.........................................2 kilo
Batho ya palak................................half KG
{batho mile jaye to palak nahi dlani batho na mile to palak dalni hai}
Katwanay ka kaan Walida s ekarwa lein Q K yeh to abhi tak hame Khud nahi aaya :-(
hari mirchein.............................................8 Adad
bareek kuti hui
Namak................................aik chaye ka chamch
Desi ghee.................................hasb e zarurat
Khushk aata...................................4 se 5 khane k chamch
---------------------------------------------------------------------------------
kuker main kata hua saag jo k achi trah s edhula ho batho ya palak daal ker namak dal dein aur ab kuti hui hari mirchein bhi aur 2 glass pani dal ker steam laga dien 2 glass kafi hai kune k sag ka apna pani bhi ho ga
15 se 20 min baad check ekrien saag k chotay kate hue danthal bhi gal gaye hon to
bus ab aa jati hai bari atay ki yeh saag ko mulaim kerta hai bus ata daliye Aur mix keriye
aur ab Allah ka naam le ekr ghota lagaiye saag k mulaim hone tak jab 5,10 min achay s eghota laga lein to ab desi ghe Aadhi Doi {pakanay wala chamch} dal dein yani 3 se 4 khane k chamch ho ga dal ekr phir ghota lagayein k achay s emulaim ghula hua sag ho
jab ghota sahi se lag jaye to jab srv kerna ho to ap ne 3 khane k chamch fringpan main dlane hain aur aik doi {pakanay k chamch k brabar} sag dal ker us main mix ker k garam ekr k dish out kerna hai
aur desi ghee walay phulkon k sath srv ker dein
aur tip hamesha ki trah wohi hai :-)
ab ijaat dein Tc
fi aman Allah
hmmmmmmmmm v nice sharing kasmy
hmmm nice sharings BEA
thankew
zaberdast yaaarrrrr
u tu bari mahir cook ho
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....