Murghi Bonles...............................Half Kg
Sirka.........................................2 Chaye K Chamch
Chiness Salt.........................................Aik Chaye Ka Chamch
Pyaz.............................Do adad
{Slices Kat Lein}
Chaat Masala ...........................Aik Chaye Ka Chamch
Myonnaise................................................... Half Cup
Chili Sauce..............Do Chaye K Chamch
Adrak LEhsan Paste.................................................Aik chaye ka chamch
{mean yeh dono paste mix ker lein aur woh aik chaye ka chamch chahiye}
Soya Sauce....................................do chaye k chamch
Lal Mirch Kuti hui................... aik chaye ka chamch
Garam Masala Powder..............................aik chaye ka chamch
Fozen Parathas...........................aik packit
Namak hasb e zaiqa
Oil.............................Hasb e Zarurat
------------------------------------------------------------------------------------------------
Adrak,lehsan apste,murghi,namak,kui hui lala mirch,sirka,soya sauce dal ekr pakne k liye rakh dein halki aanch epr gosht k galne tak pakayein aur pani khushk ho jaye jo k in masalajat aur khud chicken ka bhi ho ga khushk ho jaye to is main chines namak,garam masala powder,chili sauce chat masala dal ekr bhunein aik chaye ka chamch ab oil bhi dal dein pyaz bhi jo bareek slices main kati thi al dein aur bhunein achay se 5 min dum dein aur ab koila dehka ker chicken k uper roti ka tukra ya pyaz ka sabit tukra rakh ker us epr koila rkahiye aur uper se aik do katray oil tapka ker jhat s edhakan rkah dein yeh amal dhuni k liye hota hai k bar b q wala taste aa ajye ab parathon ko bagair oil ker taway epr saink lein aik paratha lein us epr murghi ka amaiza jo chotay tukron ki surat hoye ga rkahein uper s emayonnaise dalein aur roll kerien chhaein to butter paper main roll ker k lapait dein mazay dar chciken roll paratha tyar hai garam garam srv kijiye salad,katchup and hari chatni k sath
Tc
Fi aman Allah