ankhon se mere is liye lali nahi jati
yadon se koi raat jo khali nahi jati

ab umer na mausam na wo raste ke wo palte
is dil ki magar kham khiali nahi jati

mange tu agar jaan bhi hans ke thujhe de dein
teri too koi baat bhi tali nahi jati

aye koi aa ker ye tere dard sanbhale
hum se to ye jageer sanbhali nahi jati

malum hamein bhi hein boht se tere qisye
per baat teri hum se uchali nahi jati

hamraha tere phool khilati thi jo dil mein
ab sham wohi dard se khali nahi jati

hum jaan se jain ge tabhi baat bane gi
tum se too koi rah nikali nahi jati