mohabbat aus ki soorat
pyaasi pankhari ke hont ko seraab kerti hai
gulon ki aasteenon mein anokhe rung berti hai
sehar ke jhatpate mein gungunaati, muskuraati , jagmagaati hai
mohabbat ke dinon mein dasht bhi mehsoos hota hai
kisi fidous ki soorat
mohabbat aus ki soorat
mohabbat abr ki soorat
dilon ki sar zameen pe ghir ke aati aur barasti hai
chaman ka zarra zarra jhoomta hai , muskuraata hai
azal ki be namoo matti mein sabza sar uthata hai
mohabbat un ko bhi aabaad aur shaadaab kerti hai
jo dil hain qabr ki soorat
mohabbat abr ki soorat
mohabbat aag ki soorat
bujhe seenon mein jalti hai to dil bedaar hote hain
mohabbat ki tapish mein kuch ajab asraar hote hain
ke jitna yeh bharakti hai, aroos e jaan mahakti hai
dilon ke saahilon per jamaa hoti aur bikherti hai
mohabbat jhaag ki soorat
mohabbat aag ki soorat
mohabbat khuaab ki soorat
nigaahon mein uterti hai kisi mehtaab ki soorat
sitaare aarzu ke is terha se jagmagaate hain
ke pehchaani nahi jaati dil e be taab ki soorat
mohabbat ke shajar per khuaab ke panchi uterte hain
to shaakhein jaag uthti hain
thake haare sitaare jab zameen se baat kerte hain
to kab ki muntazir aankhon mein shammein jaag uthti hain
mohabbat in mein jalti hai chiraagh e aab ki soorat
mohabbat khuaab ki soorat
mohabbat dard ki soorat
guzishta mosamon ka istaara ban ke rehti hai
shabaan e hijr mein roshan sitaara ban ke rehti hai
mundeiron per chiraaghon ki luein jab thertharaati hai
nagar mein na umeedi ki hawaayein sansanaati hai
gali mein jab koi aahat koi saaya nahi rehta
dukhe dil ke liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
ghamon ke bojh se jab tootne lagte hain shaane to
yeh un pe haath rakhti hai
kisi hamdard ki soorat
guzer jaate hain saare qaafle jab dil ki basti se
faza mein teirti hai deir tak yeh
gurd ki soorat
mohabbat dard ki soorat