Results 1 to 8 of 8

Thread: mohabbat dard ki soorat

  1. #1
    Join Date
    Feb 2009
    Location
    City Of Light
    Posts
    26,767
    Mentioned
    144 Post(s)
    Tagged
    10310 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    snow mohabbat dard ki soorat

    mohabbat aus ki soorat
    pyaasi pankhari ke hont ko seraab kerti hai
    gulon ki aasteenon mein anokhe rung berti hai
    sehar ke jhatpate mein gungunaati, muskuraati , jagmagaati hai
    mohabbat ke dinon mein dasht bhi mehsoos hota hai
    kisi fidous ki soorat
    mohabbat aus ki soorat
    mohabbat abr ki soorat
    dilon ki sar zameen pe ghir ke aati aur barasti hai
    chaman ka zarra zarra jhoomta hai , muskuraata hai
    azal ki be namoo matti mein sabza sar uthata hai
    mohabbat un ko bhi aabaad aur shaadaab kerti hai
    jo dil hain qabr ki soorat
    mohabbat abr ki soorat
    mohabbat aag ki soorat
    bujhe seenon mein jalti hai to dil bedaar hote hain
    mohabbat ki tapish mein kuch ajab asraar hote hain
    ke jitna yeh bharakti hai, aroos e jaan mahakti hai
    dilon ke saahilon per jamaa hoti aur bikherti hai
    mohabbat jhaag ki soorat
    mohabbat aag ki soorat
    mohabbat khuaab ki soorat
    nigaahon mein uterti hai kisi mehtaab ki soorat
    sitaare aarzu ke is terha se jagmagaate hain
    ke pehchaani nahi jaati dil e be taab ki soorat
    mohabbat ke shajar per khuaab ke panchi uterte hain
    to shaakhein jaag uthti hain
    thake haare sitaare jab zameen se baat kerte hain
    to kab ki muntazir aankhon mein shammein jaag uthti hain
    mohabbat in mein jalti hai chiraagh e aab ki soorat
    mohabbat khuaab ki soorat
    mohabbat dard ki soorat
    guzishta mosamon ka istaara ban ke rehti hai
    shabaan e hijr mein roshan sitaara ban ke rehti hai
    mundeiron per chiraaghon ki luein jab thertharaati hai
    nagar mein na umeedi ki hawaayein sansanaati hai
    gali mein jab koi aahat koi saaya nahi rehta
    dukhe dil ke liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
    ghamon ke bojh se jab tootne lagte hain shaane to
    yeh un pe haath rakhti hai
    kisi hamdard ki soorat
    guzer jaate hain saare qaafle jab dil ki basti se
    faza mein teirti hai deir tak yeh
    gurd ki soorat
    mohabbat dard ki soorat





    3297731y763i7owcz zps9ed156a3 - mohabbat dard ki soorat

    MAY OUR COUNTRY PROGRESS IN EVERYWHERE AND IN EVERYTHING SO THAT THE WHOLE WORLD SHOULD HAVE PROUD ON US
    PAKISTAN ZINDABAD











  2. #2
    Join Date
    Jun 2010
    Location
    Jatoi
    Posts
    59,925
    Mentioned
    201 Post(s)
    Tagged
    9827 Thread(s)
    Rep Power
    21474910

    Default Re: mohabbat dard ki soorat

    /up





    تیری انگلیاں میرے جسم میںیونہی لمس بن کے گڑی رہیں
    کف کوزه گر میری مان لےمجھے چاک سے نہ اتارنا

  3. #3
    Join Date
    Sep 2010
    Location
    Mystic falls
    Age
    36
    Posts
    52,044
    Mentioned
    326 Post(s)
    Tagged
    10829 Thread(s)
    Rep Power
    21474903

    Default Re: mohabbat dard ki soorat

    bohat zabardast

    eq2hdk - mohabbat dard ki soorat

  4. #4
    *jamshed*'s Avatar
    *jamshed* is offline کچھ یادیں ،کچھ باتیں
    Join Date
    Oct 2010
    Location
    every heart
    Posts
    14,585
    Mentioned
    138 Post(s)
    Tagged
    8346 Thread(s)
    Rep Power
    21474865

    Default Re: mohabbat dard ki soorat

    zabardast

  5. #5
    Join Date
    Mar 2010
    Location
    ممہ کہ دل میں
    Posts
    40,298
    Mentioned
    32 Post(s)
    Tagged
    4710 Thread(s)
    Rep Power
    21474891

    Default Re: mohabbat dard ki soorat

    Super......

  6. #6
    Join Date
    Jan 2011
    Location
    pakistan
    Posts
    9,091
    Mentioned
    95 Post(s)
    Tagged
    8378 Thread(s)
    Rep Power
    429520

    Default Re: mohabbat dard ki soorat

    zabardast..............


  7. #7
    Hidden words's Avatar
    Hidden words is offline "-•(-• sтαү мιηε •-)•-"
    Join Date
    Nov 2011
    Location
    Kisi ki Ankhon Aur Dil Mein .......:P
    Posts
    56,916
    Mentioned
    322 Post(s)
    Tagged
    10949 Thread(s)
    Rep Power
    21474906

    Default Re: mohabbat dard ki soorat

    bohaat zbrdast intkhaab mujhay bohaat pasnd ye
    suno hworiginal - mohabbat dard ki soorat
    575280tvjrzkx7ho zps19409030 - mohabbat dard ki sooratღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ 575280tvjrzkx7ho zps19409030 - mohabbat dard ki soorat

  8. #8
    Join Date
    Dec 2010
    Location
    Jinzhou, Liaoning, China, Madinah Saudi Arabia
    Posts
    12,430
    Mentioned
    91 Post(s)
    Tagged
    7849 Thread(s)
    Rep Power
    895529

    Default Re: mohabbat dard ki soorat

    Umdaah

    Sun Yaara Sunn Yaara
    Tere IshQ Daa Cholaa Paaya

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •