hmmmm saheeh kaha ........Haani jee woh mohabbat hi kia jiss main bharosa na ho, aisi mohabbat meri nazar main mohabbat nahin SAMJHOTA hay aur samjhootoon per rishtoon ki bunyaad nahin rakhii jaati,..... kisi bhi rishtay ki bunyaad MOHABBAT say hotii hay kiyonki jitna ziyada aap mohabbat karain gain unta hi bharoosa aap ka qayim hoga aur jitna bharoosa hoga utna hi gehra aur sacha rishta bannay ga....!!! aksar logoon ko aap nay kehtay suna hoga kay yaar mujhay tou apnay aap per bharoosa nahin main auroon per kia bharosa karoon ga.... matlab hum insaan andar hi andar apnay aap ko bhi dhoka dainay say guraaiz nahin kartay...
isi liye sab say pehaly apnay aap say MOHABBAT karna bohat zaroori hay, kiyonki aap woh cheese auroon main kaisay baantain gain jo aap main hi nahin, apnay aap say mohabbat karnay say bharoosa paida hota hay aur aap yehi mohabbat auroon ko day kar auroon per bhi apna bharoosa qayim kar laitay hain..... aur waisay bhi apnay aap say mohabbat karnay waala mohabbat kay haqeeqi ma'ainay say waaqif hota hay aur woh kabhi bhi apna aur auroon kay bharoosa nahin touRta.....
lihaaza rishtay ki bunyaad MOHABBAT hay..... yeh mohabbat hi baaqi sab cheeson ko diloon main paida kartii hay
phir yeh ungliyaan ehsaasaat ko iss screen per bikhairtii jaa rahii hain aur mujhay iss post ki tawaalat ka ehsaas nahin raha, maazrat khush rahyeh
hehe aap b khush rahein......