2507105yt1uoak66a - *.~.Nazm of the day 10th oct 2013.~.*

Ghhata chhai,
Zameen per aasmanon se baha paani,
Faqat aik dard ka jhatka tha,
Faqat mousam ka jhonka tha,
Bichhe phir dard ki chaadar,
Parra phir zard sa mousam,
Andehre ne dhhaka sabza,
Chala jhonka jo sabze main,
To majnoo ne,
Chhurraya shaakh se baazoo,
K shayad aa gaya maali,
Ulajh ker reh gaya daaman,
Gira wo phool Chambeli,
Chhurraya khoob majnoo ne,
Magar uljha phata daaman,
Wo aankhen surmai mousam,
Bohat hairaan hoin yak-dum,
Kahan dhhajiya?
Kahan baazoo?
Kahan daaman?
Kahan jhonka?
Hawa se dar gaya paagal...!!!

2507105yt1uoak66a - *.~.Nazm of the day 10th oct 2013.~.*