Mohabbat Ki Dosri Adhuri Nazm
Mohabbat Zaat Hoti Hai
Mohabbat Zaat Ki Takmeel Hoti Hai
Koi Jungle Mai Jaa Thehrey
Kisi Basti Mai Bas Jaye
Mohabbat Saath Hoti Hai
Mohabbat Khushbooun Ki Ley
Mohabbat Mosamon Ka Dhan
Mohabbat Aabshaaron Ke Nikharte Paaniyon Ka Mann
Mohabbat Jungalon Mai Raqs Karti Morni Ka Tan
Mohabbat Barf Parti Sardiyon Mai Dhoop Banti Hai
Mohabbat Chilchilaatey Garm Sehraaon Mai Thandi Chaaon Ki Manind
Mohabbat Ajnabi Duniya Mai Apne Gaon Ki Manind
Mohabbat Dil
Mohabbat Jaan
Mohabbat Rooh Ka Darmaan
Mohabbat Moorti Hai
Aur Kabhi Jo Dil Ke Mandir Mai Kahin Per Toot Jaye To
Mohabbat Kaanch Ki Guriya
Fizaaon Mai Kisi Ke Haath Se Gar Choot Jaye To
Mohabbat Aabla Hai Karb Ka
Aur Phoot Jaye To
Mohabbat Rogg Hoti Hai
Mohabbat Sogg Hoti Hai
Mohabbat Shaam Hoti Hai
Mohabbat Raat Hoti Hai
Mohabbat Jhilmilaati Aankh Mai Barsaat Hoti Hai
Mohabbat Nend Ki Rut Mai Haseen Khuwabon Ke Raston Par
Sulagtey, Jaan Ko Aate, Rat’jagon Ki Ghaat Hoti Hai
Mohabbat Jeet Hoti Hai
Mohabbat Maat Hoti Hai
Mohabbat Zaat Hoti Hai
(Farhat Abbas Shah)