Der tak baithe hue, dono ne baarish dekhi…​
Wo dikhati thi mujhe bijli ke taaron pe latakti hui boondein.​
Jo taqub mein thi ek dusre ke..​
Aur ek dusre ko chhute hi taaro se tapak jati thi..​
Mujhko ye fikr ke bijli ka current​
chuu gaya nangi kisi taar se toh..​
aag ke lag jane ka bayas hoga.​
Usne kaghaz ki kai kashtiyaan paani mein utaari.​
Aur ye keh ke baha di ke..samander mein milenge…​
Mujhko ye fikr, ke is baar bhi sailab ka paani…​
Kud ke utrega kohsahr se jab..​
tod ke le jayega ye kachhe kinaare..​
Ouk mein bharke wo barsaat ka paani…​
adhbhari jheelon ko tarsaati rahi..​
Wo bohut choti thi, kamsin thi,​
woh masoom bohut thi..​
Aabisharon ke tarannum pe​
kadam rakhti thi…​
aur goonjti thi..​
Aur main umr ke Afkaar mein gumm…​
tajurbe-humraah liye…,​
saath hi saath mein​
behta hua…chalta hua… behta gaya​