Wo Sahir thaa.....os kay ek isharay per bal khati rasiyan sanpon ki tarha dikhti theen.

Magr Sehar Aur maujzay main yeh to faraq hota hai,sehar say rasiyan sanpom ki manind

dorti hoi lagti hain magar sanp ban nahi jatin.Jald ya badeer jadoo ka asar zayil ho jata hai

Aur maujza ASSA ko waqayi asdaha bana dia karta hai.Aisa furqan aata karta hai kay har

shay yun alag alag ho jati hai jesay samundar mai ikatha behta karwa aur meetha pani

Jo kabhi ek doosray mai dakhil nahi ho pata.

Nimra Ahmed kay afsanay Iblees say Iqtibas