~~mEri Passand # 2~~
~~ typed by: Abbas ~~
"Mein ne dekha usey...
Ajnabi si kisi aik mehfil mein meri tarah...
Wo bhi honton pe ik be irada tabasum sajaye hueye
Aik kone mein bethi kabhi apne nakhun...
Kabhi samne neem khali parhe jam-e-mashroob ko
Or kabhi maiz ki arh mein...
Apni nazuk kalai pe bandhi hui wo ghari dekhti thi
Jise aagey chal ker...
Magar yeh to sub baad k waqiye hain
Abhi to usey is takaluf bhari ajnabi bazm mein
Ghaliban...
Meri mojodgi ki khabar, mere hone ka ehsas tak bhi na tha!!
Maizban tha koi ya koi or he mehrban tha!!
K jis ne humein aik dooje k naam
Or in k kinaron se liptey hueye kuch hawale bataye
Kise yeh khabar thi k us sarsari se taruf ka wo
Aik pal, aik aise taluq k tamheed hai
Jo humare liye.....
Magar yeh bhi sub baad ki baat hai...!!!!
____________To phir yun huwa....
Apni apni udasi ki shalon mein liptey dair tak
Hum wahin aik kone ein bethe rahe
Phir kisi ne dinner k liye sub ko awaz di
Or jahan tak mujhe yaad parhta hai, khana
Bohat pur takaluf tha or maizbanon
K husn-e-madarat k sath un k tamul ka bhi tarjuman tha, magar
Wo kisi or he soch mein dair tak
Ik manqash rakabi uthaye istada rahi
Mein ne us k liye
Maiz k samne ik jagah si banayi or us ki taraf
Dostana tabasum se dekha k wo
Aagey barh k rakabi mein kuch daal le!!!
Us ne aadab-e-mehfil mein lipti hui
Muskurahat se mujh ko nawaza magar, aagey nahin aayi...
Aik lamhe ko jab meri us ki nigahein milin
To mujhe yun laga jese wo
Apni un khush numa jheel si aankhon mein
Paili udasi,... Chupatey chupatey bohat thak chuki ho
__________Sabz qehway k dour or Iqbal Bano ki mas'hoor kun
Dilnasheen gaiki se mehkati hui us fiza mein wo yun
Be talu'q si bethi rahi, jese wo us ghari
Wahan pe thi he nahin...
____________Mein ne us se kaha,....
Oh Khuda, yeh to phir baad ki baat hai...
Us ghari to faqat mein ne chaha k us se kahoon
Kuch kahoon, us ko batlaon...
"Aye ajnabi hum nasheen
Is udasi ko kuch dair k wastey bhool ja muskura
Dekh dunia mein ghum k siwa bhi bohat kuch hai, aankhein
Faqat aansoun k liye he nahin khawab bhi
In ki jageer hain!!!
Dekh meri taraf...
Mujh se bhi zindagi ne humesha raqeebon ka sa he
Aik rishta rakha
Mein ne bhi aaj tak apne khawabon ki tabeer dekhi nahin...
Sung-o-Hasht-e-Tamana chune hain sada
Bakhuda koi tameer dekhi nahin!!!
__________Raat dhalne lagi
Or ahista ahista kamre se mehman ghatne lage
Maizbanon k honton k lafz
Alwidai tabasum ki yaksaniyat mein bkharte hueye
Apni garmi se mehroom hote gaye
Or bahir se aate hueye shor ki
Door hoti sadaon k hungaam mein
Maizbanon se kuch baat kerte hueye
Us ne dekha mujhe,,...Us k honton k kone zara kapkapaye
Wo jese kisi neend mein muskurayi
Chali, phir ruki, ruk k dekha mujhe
________Han yehi wo nazar thi
Yehi wo muqadar ba amaan nazar thi
Jo mere liye thi, sirf mere liye thi
K jis mein ulajh ker
Meri zindagi ki,
Mere aane wale shab-o-roz ki
Or mere sare khawabon ki manzil nehan thi
Zaman-o-Makan k sabhi fasley
Aik pal k liye be nishaan ho gaye
Usi aik nazar mein dhoowan ho gaye
Phir na mein tha kahin or, na kuch or tha
Bus azal ta abad aik khushbu rawan thi
Faqat wo_________Wahan tha...!!!
(Amjad Islam Amjad)