Boht Barfaab Mosam HeY
Hawain Barf Rutt Ki Shaal 0rrheY
Band KamreY Main Panaahain Dhondti Hain
YeH Kamra .!!
Jis Main Heater Jal Raha HeY
Aur Badan SaareY Ka Saara Baraf Ki Sill Ban GaYa HeY
Badan Ki Hidtain Ab ik Ghubaar Aalud Khwaahish Ki Tarha Ghum Ho Rahi Hain
Magar Is Munjamid Shab Main Jahaan Par Zehan Sunn Ho
Aur Poorain Be-Hiss-O-Harkat Wahan Par Saansain LaineY
Aur Lahu Ko Garam RakhneY Ki Yahi Surat Nazar AaYi
Keh Tum SeY Phone Peh Baatain Karo'n
Baaton hi Baaton Main Tumhare Arz-O-Rukhsar-O-Lab Aur Barf Pighlati h0wi
AankhoOn Ko Choolon Aur Tumhain Keh Don
Zara Tum Phone Par HoOnton Ko Rakh Do
Main Bhi Rakhta Hon
Tum Apni Garam Saanson SeY Meri Saanson Ko Pighlaao
Tasawur Main MujheY Chhu Lo
Mere Dil Main Utar Aao
Main TanhaaYi KeY Jis Mosam Ki Yakh-Basta Rut'toOn Main Mubtla Hon
Is Gharri Un Ko
Tumhare Arz-O-Rukhsaar Ki Hiddat Hi Pighlaaye To PighlaaYe
Wagarna Phir....... !!!!
KHUDA HAFIZ . . . /
(Noshi gilaani) <