bohat umda tareekey sy moihabbat ko explore kiya gaya hai
cheeko (*jamshed*)
Mohabbat Zindagi Ban Jati Hai
Maanta hun ki zindagi bhi tadpati hai,
Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Zindagi ko to hum jab chahen,
Maut ki oor khud le jaate hain,
Par ek baar jo kar len ishq,
Wo kahaan isko ++++ paate hain.
Ye duniya kitni khudgarz hai,
Ye mohabbat hume batati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Mohabbat ek jaanlewa aadat hai,
Jisme hoti shikwa-shikayat hai,
Par aashiqon k liye to,
Yahi unka khuda aur yahi ibadat hai.
Wo mohabbat hi to hai doost,
Jo jeevan ko haseen banati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Mohabbat hi saathi aur tanhaai hai,
Yahi hoti hansi aur yahi rulaai hai,
Isi me hote kasme wade saare,
Aur isi me hoti bewafai hai.
Wo mohabbat hi hoti hai,
Jab aankhon me koi samati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Mohabbat me sab majboor hote hain,
Kabhi paas to kabhi door hote hain,
Par job hi ho jaye samaa,
Wo ishq ke nashe me choor hote hain.
Jab yaaden zannat ban jaati hain,
To wo mohabbat kehlati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Jab koi bediyon ko payal kar jaati hai,
Har jhalak uski,kayal kar jati hai.
Jab hota uska mehfil me aana,
Uski har ada hume bas"ghayal"kar jati hai.
Wo mohabbat ki daastan hai ki,
Har saans me kisi ki khusboo aati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Maanta hun ki zindagi bhi tadpati hai,
Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Last edited by ~HaAni~; 02-12-2013 at 09:51 PM.