waqi bari umda poetry lekhi gayi hai sari... parh kar ach laga
cheeko (*jamshed*)
ik waqt tha wo mujh se
mohabat ka izhaar karta tha
apni wafain mere naam karta tha
apne khwab apni zindagi
wo mujh se mansob karta tha
lagon ki parwa chor kar
wo meri parwa karta tha
lakeen ab....
wo ab un sab baton ko
bachpan ki nadani kehta hai
naye safar pe nikl k
wo purane rishton ko
kadmon ki zanjeer samjhta hai
par wo ye kyun nhi samjhta
k us ki nadani kisi k liye
poori zindagi se abarat hai
kisi ki zindagani hai
lakeen abi wo naye safar
pe gamzan hai
roshniyon ki chakachund me
wo kuch samjh nhi pata
par...
ik waqt aisa aye ga
jab wo wapis aye ga
lakeen tab us k liye srf
pachtawe reh jaye gey
aur koi apni zindagi
hamesha k lye haar
k us se munh mor gaye ga
par tab...
wo srf pachtata reh jaye ga
kuch kar nhi paye ga
aur tanha reh jaye ga
tanha reh jaye ga.....
Last edited by ~HaAni~; 02-12-2013 at 10:41 PM.
zabardast