-
Re: Bint E Aadam's Diary
Haan Abhi Bhi,
Jaan Kuch Baaki Hai,
Saans Kuch Baki Hia,
ArMaan Kuch Baaki Hia
Aur In Ashkon Ki, Rawaani Kuch Baaki Hai
HuM SaMay Ke Dariya Mein
Yun Tanha Tanha,
Aankhon Me Ashq Bhare Bhare,
In Dharaon Me Behte Behte,
KhaMosh Dishaon Mein
Kabhi Kidhar Kho Jayein
Kya Unhe Khabar Bhi Hogi Yaa Rab!!!
-
Re: Bint E Aadam's Diary
Main Dil Par SitaM Karungi, TuMhe Bhula Dungi
Marungi Khud Bhi, Tujhe Bhi Kadi Saza Dungi,
Ye Andhera Mere Ghar Ka Hi Kyon Mukaddar Ho?
Main Tere Sheher Ke Saare Diye Bujha Dungi,
Isi Khayal Me Guzri Hai ShaaM-E-Dard Aksar,
Ke Dard Had Se Badhega To Muskura Dungi,
Tu AasMan Ki Soorat Hai, Gir Padega Kabhi,
ZaMeen Hoon Main Bhi Magar Tujhko Aasra Dungi,
Badha Rahi Hia Mere Dukh Nishaniyan Teri,
Main Tere Khat Teri Tasveer Tak Jala Dungi,
Bahut Dino Se Mera Dil Udaas Hai Tanhaiyon Mein
Is Aayne Ko Koi Aks Ab Naya Dungi...
-
-
Re: Bint E Aadam's Diary
GaMon Ko Mujhse Ek Chahat Si Ho Gayi Hai,
Main Udaas Nahi, Udaas Rehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Ye Kaisa Wakt Aya Hai Ke Subah Bhi So Gayi Hai,
Kudrat Se Shayad Roshni Hi Kho Gayi Hia,
Jane Kyon Wo Mujhse Ajnabi Sa Ho Gaya Hai,
Lagta Hai Aisa Ke Phoolon Se Khushbu Hi Kho Gayi Hia,
Ye Kaisi Hawa Mere JisM Ko Chhu Gayi Hai,
Ukhdi Ukhdi Saans Bhi Be-Rubt Ho Gayi Hai,
Kyon Zindagi Ki Raat Itni Taweel Ho Gayi Hai,
Mujhse Shayad Pyar Ki Bhool Ho Gayi Hai,
Ab To Duniya Bahut Khush Ho Gayi Hai,
Saans To Chal Rahi Hai Lekin Rooh Saath Chhod Gayi Hia...
-
-
-
Re: Bint E Aadam's Diary
Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Ab Uski Marzi Ke Wo Khizan Ko Bahar Likh De,
Bahar Ko Intezar Likh De,
Safar Ki Khwahish Ko Wehmon Ke Azaab Se Hamkinaar Likh De,
Wafa Ke Raaston Par Chalne Walon Ki Kismatonme Gubaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Hawa Ki Marzi Ke Wasal Mausam Me Hijr Ko Hissedaar Likh De,
Mohabbaton Ke Guzarne Wali Raaton Ko Na-Paidaar Likh De,
Shajar Ko Kam Sayadaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Jo Aagaya Hai,
Ab Uski Marzi Ke Wo Hamare Diye Bujha Kar,
Shabon Ko Ba-Ikhtiyaar Kar Ke Seher Ko Be-Aitbaar Likh De,
Hawa Ko Likhna Sikhane Walo,
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai...
-
Re: Bint E Aadam's Diary
Pyaar Ke Deep Jalane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,
Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,
Hijar Ke Gehre Zakham Mile To Mujhko Kuch Ehsaas Hua,
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,
Jaan Se Pyare Logonse Bhi Kuch Kuch Parda Lazim Hai,
Saari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,
Khwabon Me Bhi Anmol Milan Ke Sapne Dekhte Rehte Hai,
Nindon Mein Muskurane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,
Iss Jhuthi Nagri Mein Humne Yehi Hamesha Dekha Hai,
Sachi Baat Batanewale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,
Pyar Jinhein Ho Jaye Unko Chain Bhala Kab Mil Paata Hai,
Shab Bhar AshQ Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,
Apni Zaat Ke Ujde Gulshan Se Wo Pyar Kahan Karte Hai,
Auron Ko Mehkane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai,
Us Ke IshQ Me Bheeg Ke Hum Ko Ye Ehsaas Hua,
Dil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai...
-
Re: Bint E Aadam's Diary
Tere Gale Me Jo Baahon Ko Daal Rakhte Hai,
Tujhe Manane Ka Kaisa Kamaal Rakhte Hai,
Tujhe Khabar Hai Tujhe Sochne Ki Khatir Hum,
Bahut Se Kaam MuQaddar Pe Taal Rakhte Hai,
Kio Bhi Faisla Hum Soch Kar Nahi Karte,
Tumhare Naam Ka Sikka Uchhal Rakthe Hai,
Tumhare Baad Yeh Aadat Si Ho Gayi Apni,
Bikharte Sookhte Patte Sambhal Rakhte Hai,
Khushi Si Milti Hai Khudko Aziyatein De Kar,
So Jaan Bujh Ke Dilko Nidhaal Rakhte Hai,
Kabhi Kabhi Wo Mujhe Has Ke Dekh Lete Hai,
Kabhi Kabhi Mera Behad Khayal Rakhte Hai,
Tumhare Hijar Me Ye Haal Hogaya Apna,
Kisika Khat Ho Usse Bhi Sambhal Rakhte Hai,
Khushi Mile To Tere Baad Khush Nahi Hote,
Hum Apni Aankh Me Har Dal Malaal Rakhte Hia,
Zamane Bhar Se Bacha Kar Wo Apni Panaah Mein,
Mere Wajood Ke Tukde Sambhal Rakhte Hai,
Kuch Is Liye Bhi To Behaal Ho Gaye Hum Log,
Tumhari Yaad Ka Behad Khayal Rakhte Hia...
-
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules