Samundar Puchhta Hai Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate,
Wohi Dono Jo Bhigi Ret Par
Ek Dusre Ka Haath Thaame Dur Tak
Kabhi Haste Kabhi Kuch Gungunate
Ya Kabhi Chup Chap Baithe Door Ulfat Ki Godh Mein,
Dhalta Hua Suraj Dekhte,
Aansu Bahate Laut Jaate!!!
Samundar Puchhta Hai Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate,
Jo Aate The To Apne Sath Kitne Khwab Laate The,
Kabhi Saahil Se Dheron Sipiyan Chunte The,
Nange Paanv Paani Me Chale Aate The,
Bhigi Ret Se Nanhe Gharonde Bhi Banate The,
Aur Unmein Sipiyan, Rangeen Se Patther Yun Sajate The,
Ke Jaise Aaj Ke Jugnu Se Lamhe,
Aane Wale Kal Ki Mutthi Me Chhupate The!!!
Samundar Puchta Hai Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate,
Magar Samundar Ne Khiza Ki Siskiyan Leti Hui
Ek Shaam Ko Wo Naujawano Ko Nahi Dekha,
Jo Der Tak Tanha Sare Saahil Raha Baithta
Phri Usne Dher Sare Khat
Bahut Se Phool Sukhe Aur Tasveerein
Aur Apne Aakhri Aansu
Kar Diye Samundar Ke Hawale!!!