shurkiya G
mairi diary main jo hai woh mujhe khud likhna parta hai janab g so bardasht kerein kuch urdu main hain meri designed epr us epr aik aur forum ka link hai jo shaid yahan ki owner or mod ko naguwar guzre
shurkiya G
sare collection achi hai.
chalo hum farz kartay hain
chalo hum farz kartay hain
wohi batain jo duniya main nahi hoti
chalo hum farz kartay hain
kay har suu noor phaila hai
na din main chaya sunnata
na raaton main andhera hai
na suraj shab main sota hain
na din main chand khota hai
hai har dil roshni say pur
aur aankhon main ujalay hain
chalo hum farz kartay hain
kay har mosam baharan hai
khizaab main phool khiltay hain
nigahain rag say mahati hain
guloon ki khushbuoon say
sab nizaray muattar hain
parinday chahchatay hain
khushi kay geet gatay hain
chalo hum farz kartay hain
kay har dil main muhabbat hai
kaheen jaghray nahi hotay
na barish dukh ki hoti hai
na aandhi gham ki chalti hai
na nafrat phaans banti hai
hain sabhi chehron pe muskanain
kaheen jaghray nahi hotay
chalo hum farz kartay hain
kay gham khushion say bahtar hain
chalo humfarz kartay hain
ye duniya tum say bahtar hai
zara tahro.....!!!!!!!!
magar hum farz kiyun kar lain
yakeen mujh ko batata hai
hakeekat to hakeekat hai
main sab kuch jaan sakta hoon
na suraj shab main chamkay ga
na din main chand niklay ga
khizan main gul nahi khiltay
ye nafrat mar nahi sakti
na gham khushiyon say bahtar hain
na duniya tum say bahtar hai
hai duniya ki hakeekat kia
fakat aik tum hi achay ho
jahano say zamano say
maknoon la maknoon say
ye sab kuch hai wohi jo
isi duniya main hota hai
to phir hum farz kiyun kar lain
fakat ik tum hi achay ho
kari dhoop ka jo safar yaad aaya
taira saaye ka wo shajar yaad aaya
makeen thay jahan par hansi say khushi say
mujhay yaad aaya wo ghar yaad aaya
usay bhoolnay ka kiya to hay wadaa
karoongi main kya wo agar yaad aaya
basa hi raha tassavur mai mairay
jidhar bhi gayi main udhar yaad aaya
mairi waihshaton ko jo barhata hi raha
wo tanhaaiyon ka safar yaar aaya
nikaltay hi wo chaand ka aasmaan par
wo aana taira baam par yaad aaya
khuda say maangnay lagi to
duaaon ka apni asar yaad aaya
mujhay dard ki baarishon mai baha kar
wo raihna taira baikhabar yaad aaya
main bhooli rahi jisay umar saari
wohi mushkilon mai magar yaad aaya
kabhi sil na paaye mairay zakham naheed
mujhay koi shaam-o-sahar yaad aaya
bara kathin hay raasta jo aasako to saath do
ye zindagi ka faasla mita sako to saath do
baray faraib khaao gay baray sitam uthaao gay
ye umar bhar ka saath hay nibah sako to saath do
jo tum kaho to ye dil to kiya main jaan bhi karoon fida
jo main kahoon to aik nazar luta sako to saath do
hazaar imtihaan aur hazaar aazmaayishain
hazaar dukha hazaar ghar utha sako to saath do
ye zindagi yahan khushi ghamon k saath hay
rula sako to saath do hansa sako to saath do
roona bhi jo chahain to wooh roonay nahin deeta
wooh shaks to palkain bhi bhigoonay nahin deeta
wooh rooz rulaata hay hamaain khuaab main aaker
soona bhi chahain to soonay nahin deeta
yeeh kis k isharay pay umaad aaye hain badal
hay kon jo barish kabhi hoonay nahin deeta
aata hay khayaloon main maaray kon yeeh akser
jo mujh ko kisii or ka hoonay nahin deeta
is der say k toor kay aansoo na baahain
bachoon ko mitti kay khiloonay nahin deeta
aik shaks hay hay aaisa meeri basti main abhi tak
jo boojh akalay mujhay dhoonay nahin deeta
main hoon k baahata hoon teeri yaad main aansoo
too hay k ashkoon ko piroonay nahin deeta
wooh chehra ajab hay jissay paaker main abhi tak
khoona bhi chahoon to wooh khoonay nahin deeta
thaamay huay lehroo ki husn-e-baag koi too
saahil ko samader main daboonay nahin deeta
Ek baar kar k aaitabaar likh do,
Kitna hai mujh say pyaar likh do,
Kat'ti nahi ye zindagi ab teray bin,
Kitna or karun intezar likh do,
Taras rahay hein bari muddat say,
Iss baar apni mohabat ka izhaar likh do,
Deewaanay ho jaaein jisay parh k hum,
Kuch aisa tum meray yaar likh do,
Ziyada nahin likh saktay to matt likho tum,
Mohabbat bharay lafz do chaar likh do,
Ek baar likho mohabat hai mujhay tum say,
Phir yehi jumla baar baar likh do...!
~<AANKHAIN>
Jab Ye Jhukti Hai To Dunya Ki Har Shay Apne Andar Samait Leti Hai
Jab Ye Dekhti Hai To Samander Ki Gehraion Se Moti Nikal Leti Hai
Jab Ye Muskurati Hai To Dunya Ki Tamam Masumiat Apne Andar Jazb Kr Leti Hai
Jab Roti Hai To Arsh Ko Hila Deti HaiJab Band Hoti Hai To Dunya Ko Rula Deti Hai