zabardast................
Aa kisi sham, kisi yaad ki dehleez pe aa
Umr guzri hai tujhe daikhe hoye, behlaye hoye
Yaad hai?
Hum tujhe dil maante thay
Tere har nakhre ki farmaish par
Ik jeevan ki tamanaon ki beenayi se hum daikhte thaktay hi na thay
Sochte thay
Aik chota sa naya ghar
Muhabat ki fiza
Hum donon
Aur kisi baat pe takiyon se larai apni
Phir larai mein kabhi hanste hoye ro parna
Aur kabhi rotay hoye hans parna
Aut thak har kay gir parne ka masoom khushi bakhsh khayal
Yaad hai?
Hum tujhe such jaante thay
Raat hans parti thi besakhta darshan se tere
Din teri doori se ro parta tha
Yaad hai?
Hum tujhe jaan kehte thay
Teri khamoshi se hum mar jate
Teri awaz se jee uthatay thay
Tujh ko choo laine se ik zindagi aa jati thi shiryanon mein
Tham laine se koi shehar sa bas jata tha veeranon mein
Yaad hai?
Hum tujhe milne kay liye
Waqt se pehle pohanch jate thay
Aur mulaqat kay baad
Hum bohat dair se ghar atay to kehte kay humein kuch na kaho
Hum bohat door se ghar aye hain
Issqadar door se aye hain kay shaid hi koi aa paye
Yaad hai?
Hum tujhe bhagwan samajhte thay magar kufar se dar jate thay
Tere chin jane ka dar theek se rakhta tha musalman humein
AA kisi sham, kisi yaad ki dehleez pe aa
Tere bhoole hoye raaste pe liye phirta tha eman humein
Aur kehta tha kay pehchan humein
Yaad hai?
Hum tujhe eman kaha karte thay
(Farhat Abbas Shah)
superb
Ú©Ûاں اتنی سزائیں تھیں بھلا اس زندگانی میں
Ûزاروں گھر Ûوئے روشن جو میرا دل جلا Ù…Øسنؔ