-
Chalo sahil pey ja ker
Gulab’on kin kanwari pati’yon per shabnami moti
Chamak uthtey hein lakhtey ko
Magar phir bhujh bi jatey hein
Key dasht-e-arzo ki rait ankh’on mein khatakti hai
Chalo shil pey ja ker….
Ro pehli chand ki kiran’on ko muthi bech band ker key
Hawa’on sey bhi saat’on sur churatey hein
Chalo mitti ka ik chota sa dono ghar banatey hein
Ghari bhar ko sahi par khul key dono muskuratey hein
Jo likhey ja chukey hein pathar’on per khushk pat’on per
Wo mah-o-sal gintey hein
Chalo sahil pey ja ker apni palko’on sey
Sunehra jal buntey hein
…
-
Muhabbat mein kabhi dorahey ka imkan nahi hota..
Ye hoti hai to hoti hai
Nahi hoti to jitna bhi jatan ker lo,nahi hoti
Koi acha agar lag jaye to sab khami’yan is ki
Achanak khobi’yon ki ourhni mein chup si jati hein
Zamana lakh samjhaye, sambhal jao
Samat aur basarat ko sujhai kuch nahi deta
Samajh ata hai us lamhey
Key jab daman mein lakh’on chyed ho ja’ein
Kabotar key par’on key sath liptey
Sab ayaa’n jab bheyd ho jain
Muhabbat mein kabhi dorahey ka imkan nahi hota..
Ye hoti hai to hoti hai
Nahi hoti to jitna bhi jatan ker lo,nahi hoti
…
-
Gulab’on ko kabhi chuna kabhi khushbo ban jana
Aur ankh’on key mundair’on per
Chamaktey jugno’on ko wasal ki tasweer dikhlana
Aur is mein gum sa ho jana
Agarchey khawab tha lekin hum’ein tabeer lagta tha
…
-
Aik sapna hasee’n tar dekha
Ye jaha’n dil nashee’n tar dekha
Chand hum ney zameen per paya tha
Khod ko arsh-e-bare’n pey paya tha
Wo haqeqat tha aik sapna sa
Ghair ho key bhi apna apna sa
Is ka lehja tha dhema dhema sa
Ankh’on ankh’on mein baat kehta tha
Is ki ankh’ein bhi khawab jesi thi’ein
Khob sorat sarab jesi thi’ein
Wo wafa ka yakee’n delata raha
Wadey karta raha, bhulata raha
Phir achanak pata chala hum ko
Hum sey kuch wasta nahi us ko
Hum ney bhanwrey ko jana perwana
Ye to tha us ka mashgala, jana
You’n wo ankh’on mein bo gaya gham ko
Aik pachtawa dey gaya hum ko
…
-
To tum ney teh ker liya hai jana’n!
Key ab munasib ye hi hai key manzil ki khawahish ko
Mita hi dal’ein
Zamaney ki bhi ye hi khushi hai
Isi rawish mein zindagi hai
Suno! zamaney ko dosh denay ki rasam farsoda ho chuki hai
Tum apney dil sey bhi kalam ker key poch lena
Key is ki adarsh kiya hai’en?
Abhi zamaney ney tum sey manzil ki aas cheni
To kal ye tum sey kahey ga rasta hi chor do tum
Kahey ga chehray sey apni ankh’on ko nochlo tum
Kahey ga pathar key bot mein dharkan talash ker do
To kiya karo gey??
Chalo ye na kahey to itna hi tum sey keh dey
Key sans lena fazol hai ab
Key tum is rayazat ko bhol jao
Tum apni sans’on ko qatal kesay karo gey bolo?
Suno! zamaney ko dosh denay ki rasam farsoda ho chuki hai
tum asal mein wo sipahi ho, ain larney key waqt jis ko
khayal aye
key jang karney key sab tarekay hein yad us ko
wo sarey hathiyar ley ker aya hai sath apney
magar wo jaldi mein hosla ghar bhol aya
khayal rakhna’
asas jewan ki manzil’on sey lagan hai jana’n!
jo tum ney is ko ganwa diya to geo gey kesay?
…
-
Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar
Jis ki manzil thi ujra hua sagar
Surmai sham thi jis key char’on taraf
Jis mein manzar judai key thay saf ba saf
Wasal tha sar ba-kaf
Ban gaya kirchi’yan man ka nazuk sadaf
Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar..?
Sang rez’on ki barish hoi thi jaha’n
Aur komal jazbey be-hadaf ban gaye
Paimali ney in ko lahoo ker diya
Ba-wazo ker diya…sur-kharo ker diya
Aaj bhi jo musafir gaya is taraf
Us nay paya nahi wapsi ka nisha’n
Is ko dhonda falaq ney yahan sey waha’n
Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar..?
…
-
Sahil per wo dekh rahi thi
Mit’ti banti rait ki lehar’ein
Rukti, chalti, bal khati aur thaki thaki si
Aur samandar aj bhi bilkul wesa hi tha
Hera’n hera’n thehra thehra
Tanhai key karb mein doba
Uljha uljha, piyasa piyasa
Shayad isey yaad aai phir sey
Ik kahani,
Jis mei ik choti si gurriya
Aik jazeray per rehti thi
Char’on aur sanata sa
Gurriya khod sey baat’ein kerti
Aksar in baat’on per hasti, aksar rooti
Kabhi kabhi wo thak si jati
Ik din soraj jaga to herat sey dekha
Gurriya ka chota sa ghironda
Dour dour tak kahi’n nahi tha
Mit’ti banti rait ki lehar’ein aur samandar
Souch rahi thi
Sagar ziyada gehra hai ya….?
Yak dam hoq si uthi man mein
Aur wo boli
Dil ka cheyt bohat gehra hai
…
-
To tum pat-jahr key pat’on ki sada’ein roz suntey ho?
Sada’ein mat kaho in ko, karah’ein hein
Karah’on mein chupey ansoo hein aur in mein laho dil ka
Magar tum ko kisi bhi dil sey kiya lena
Chalo pat-jhar key patt’on ki sada’ein sun to lein tum ney
Magar jis dil ko pat-jhar ker diya tum ney
Bena sochey, bena samjhey, bena janey
Tumh’ein is ‘zard patey’ ki sada’ein ki’yon nahi aati
Tum is ka qatal ker key bhi abhi tak shad bethay ho
Tumh’ein apney rawaiye per’ tumh’ein is doghley pan per herat nahi hoti?
To herat hai
To tum pat-jahr key pat’on ki sada’ein roz suntey ho?
…
-
Ye tum ney kia kiya?
Pathar key bot mein dharkan’on ko khojna chaha
Ye tum ney dil ki dharkan mein
Paraya geet likh dala
Khod apney hi hath sey apney hi mathay ko
Sehai sey kiya kala
Muhabbat is jaha’n ki shey nahi
Mein ney kaha bhi tha
Ab is shey ki tijarat ho rahi hai jis taraf dekho
Meri baat’on per ab tum ho wishwas to aa gaya to ho ga
Chalo ashq’on sey sarey sarey khawab dho dalo
Suno!ab jo tumhara hath mangey aaj sey tum is key ho jao
Muhabbat bhol jao tum…Muhabbat bhol jao tum
…
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules