Kamaaal
Ana jab tak.
Fana k hath par bait nhi karti.
Nimaz e ishq se dil ki jabeen mehroom rehti he.
Nigahen aik chehre k siwa kuch dekhna chahen.
To sadiyon tak phir ankhon par ata ka dard nhi khulta.
Kisi manzar k andar dusra.
Manzar nhi khulta.
K ye rasta wo he jis par.
Wafa ki khak min jab hijar k ansu utarte hen.
To harf e be-hunar ko dard ki soghat milti he.
Dua e shoq ki wariftgi ko.
Baryabi ki faqat ik rat milti he.
Magr kis ko khabar tab tak.
Talab hi wasl ki madoom ho jaye.
Fana ka ism e aazam rooh ko malum ho jaye.
Kamaaal
thanku
nice
کہاں اتنی سزائیں تھیں بھلا اس زندگانی میں
ہزاروں گھر ہوئے روشن جو میرا دل جلا محسنؔ