Results 1 to 2 of 2

Thread: kya main zinda HoOn

  1. #1
    Join Date
    Dec 2013
    Location
    gujrat
    Posts
    1,423
    Mentioned
    13 Post(s)
    Tagged
    640 Thread(s)
    Rep Power
    15045

    Default kya main zinda HoOn

    Jab Dard Puranay Hoo Baithay..
    Jab `Yaad ka Jugnu`Raakh Huwa
    Jab Aankh Main Aansoo Burrf Huway
    Jab Zakhm Sey Dill Maanoos Huwa
    Jab Tees ko Chubhna Bhool Giya
    Jab Kashti Ka Khuda Na Khuda Huwa
    Tab Mujh Peh khula Main Zinda Hoon!!!
    Phir Dill ko Dharhakna Yaad Aaya!!!

    Jab Qaarb ki Lambi Rahoon Main
    Ahsaas kay Baal Safaid Huway
    Ya Sooch ki Sarma Dhoopoon Main
    Alaam kaa Mevah khushk Huwa
    Jab Aankhain 'Bey Sailaab'Huien
    Jab Neendain Andhi Hoo Baithin
    Jab khawabain Bhi 'Bey khawab' Huien
    Jab Chaand Chahrah Bey Dardi kaa
    jab Tanhaii ka Seena Bhii
    Ser Rakhnay ki Aaghoosh Laga
    Jab Rait Peh Likhi Yaadon koo
    Bey Mehar Huwa Ney Cheen Liya
    Jab Hoosh ki kachi Deewaarain
    Tasweeron Sey Aazad Huien
    Jab 'Yaad Ruttain' Bey Dad Huien
    Tab mujh Peh khula Main Zinda Hoon!!!
    Phir Dill ko Dharakna Yaad Aaya!!!




    Tab Aankhain kuch Aabaad Huien
    Jab Mujh Peh khula Main Zinda Hoon...
    Ahsaas kaa Bachpan Jaag Para
    Phir Jazbay Bey Taqweem Huway!!
    Phir Waqt Ney kuch Angrhaii Lii..
    Phir Sooch ki Qabar Sey Dhool Urri
    Phir Piyas ka Barzakh Bhool Giya!
    Ik Hijar Sey kia Aazad Huway?
    100 Hijar Naye Iejaad Huway!!
    Phir ikk Nazar Siyyad Bani
    Ik Nazar ka TaAirR Saidd Huwa
    Phir Ashk Main Darya Qaid Huwa!!
    Phir Dharkan Main Bhonchal Paray
    Phir Ishq ka Joogi Galliyoon Main...
    Taqdeer Kay Saanp Utha Laya!!



    Phir Hosh Ka Jungle Sabz Huwa
    Phir `Shouq_E_Darinda` jaag Utha..
    Phir Zulff kay Teywar Shaam Banay
    Us Shaam Main Phir Mehtaab Charha
    Phir Hont kii Larzish, Geet Bani..
    Phir Saans kaa Naam Saba Thehra!!
    Phir Sher,Shaur Ka Wirrd Hua..
    Phir Zanjeerain,Zaiwer Thehrien..
    Phir Taqreerain Inaam huien
    Phir Khoon sey Likhay Jazbon kii
    Kuch Tehreerain Neelaam Huien!!
    Phir Dard "ZULAIKHA" Ban Baitha..
    Phir Qurb ka karb Jawaan Huwa
    Phir Mujh peh Khula Main Zinda hoon!!!!




    Kuch Wasl Shabaien `Shabb khaiz`Huien
    Kuch Hijar kii Nabzain Teez Huien
    Jab Qaid ko Taaza Umer Mili..
    Uss Qaidi Umer kay Bakhtoon Ney..
    Ik Shaam Sahuur Sey Pooch Lia
    Mehjuur Hii Rehna Tha...Tou Hamain
    Woh Pichla Hijar Hii kaafi Tha!!
    Garr Qaid Hii JaA` Apnani Thi..
    Kioun Pichlay Jaal Ko Chora Tha??
    Kis Ahed Peh Pinjra Tora Tha??
    Jab Jaal Teri Qamzori Thay...
    Siyyad ko Kioun Badnaam kia??
    Ik Soch Raha hoon Muddat Sey..
    Kiuon Mujh Peh Khula Main Zinda Hoon??
    Kioun Dill Ko Dharakna Yaad Aaya??
    9jegbl - kya main zinda HoOn

  2. #2
    *jamshed*'s Avatar
    *jamshed* is offline کچھ یادیں ،کچھ باتیں
    Join Date
    Oct 2010
    Location
    every heart
    Posts
    14,585
    Mentioned
    138 Post(s)
    Tagged
    8346 Thread(s)
    Rep Power
    21474865

    Default

    nice
    کہاں اتنی سزائیں تھیں بھلا اس زندگانی میں
    ہزاروں گھر ہوئے روشن جو میرا دل جلا محسنؔ


Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •