Aslam Alaikum !
Pakistan k bary mai kal ki news ne mje kafi afsurda kiya .....Hope you know it but let me share!
G. Ayyub k dor mai kiye gaye Sindh taas moahdy k mutabik jo 3 mashraqi darya (Satluj, Ravi,biyas) Pakistan k hissay main aye. Kuch arsa pehly India ne azli bad-ehdi ka muzahra krty hoay khufia tor per apni range main aik tunnel bnayi jo Sutlej ka pani darya e ganga mai dalti or is raasty main dam bnany ka projevt shoro kiya... Pakistan apna ye case insaf k liye International Court of justice le kr gaya magar bad kismati se hum kal ye case har chuky hain... Q k India k pass logic tha k Darya ka ye pani Pakistan se huzar kr samundar mai ja girta hai yani wo isy istemal mai nhi la rahy q k humary saalon purany dam bnany k mansuby ab tk iltwa ka shikar hain lehaza india is pani ko dams bna ker istemal mai laye ga lehaza ye faisla un k haq main hoa.... Or hum yahan be-khabri ki neend so rahy hain or wahan wo ICJ se ye allowance b le chuky hain k jese chahain Sutlej ka pani istemal krain or chahain to Pakistan ki traf supply band kr dain
Or hmary wukla ne zehmat gwara nhi ki apne haq mai kuch bolny ki.....:'(
Secondly, humary politicians ne pori qoom ko ullo bnaya hoa hai, her aik apna nya drama paish kr k masoom awam k jazbat k sath shughal aarayi krta hai.....Or hum apas mai parties pe larty rehty hain, koi kisi ka haleef ro kisi ka hareef hmary zehn muntashir kr rakhe hain in gande politicians ne!
PTI k ser barah janab Imran khan ne NATO supply band kerwany ka shor barpa ker rakha hai or darra e khaibar se iski transport band kerwany ka azm show kia ja raha hai.... ap zra naqsha utha ker dekhain.... Pakistan mai NATO supply afghanistan tk pohnchany ka aik nhi 5 raasty hain i.e Darra e Khaibar, Gomal, Tochi, Kundhar or zhob. Aik rasty se supply band b krdi jaye to baqi 4 raasty mojod hain or hmain bawaqof bnaya ja raha hai..... Or NATO supply ruk nhi skty q k ye moahda janab zardari sahb ne Uncle amrica se boht pehly kr rakha tha or is k arbon rupy wasool kiye jaty hain....is k ilawa shamali wazeerastan mai drone hamlon k liye b b aisa hi moahida sign kia gaya jis ki 5 sala muddat 2015 mai khatam ho gi or koi b political leader is baat se bekhabar nhi hai balky chief justice inhain yad duhani krwaty rehty hain.