Results 1 to 3 of 3

Thread: Behind the curton............!

  1. #1
    Join Date
    Oct 2013
    Location
    Limits
    Posts
    6,236
    Mentioned
    718 Post(s)
    Tagged
    5714 Thread(s)
    Rep Power
    1939206

    Default Behind the curton............!

    Aslam Alaikum !

    Pakistan k bary mai kal ki news ne mje kafi afsurda kiya .....Hope you know it but let me share!
    G. Ayyub k dor mai kiye gaye Sindh taas moahdy k mutabik jo 3 mashraqi darya (Satluj, Ravi,biyas) Pakistan k hissay main aye. Kuch arsa pehly India ne azli bad-ehdi ka muzahra krty hoay khufia tor per apni range main aik tunnel bnayi jo Sutlej ka pani darya e ganga mai dalti or is raasty main dam bnany ka projevt shoro kiya... Pakistan apna ye case insaf k liye International Court of justice le kr gaya magar bad kismati se hum kal ye case har chuky hain... Q k India k pass logic tha k Darya ka ye pani Pakistan se huzar kr samundar mai ja girta hai yani wo isy istemal mai nhi la rahy q k humary saalon purany dam bnany k mansuby ab tk iltwa ka shikar hain lehaza india is pani ko dams bna ker istemal mai laye ga lehaza ye faisla un k haq main hoa.... Or hum yahan be-khabri ki neend so rahy hain or wahan wo ICJ se ye allowance b le chuky hain k jese chahain Sutlej ka pani istemal krain or chahain to Pakistan ki traf supply band kr dain
    Or hmary wukla ne zehmat gwara nhi ki apne haq mai kuch bolny ki.....:'(

    Secondly, humary politicians ne pori qoom ko ullo bnaya hoa hai, her aik apna nya drama paish kr k masoom awam k jazbat k sath shughal aarayi krta hai.....Or hum apas mai parties pe larty rehty hain, koi kisi ka haleef ro kisi ka hareef hmary zehn muntashir kr rakhe hain in gande politicians ne!

    555px Indus riversvg - Behind the curton............!

    PTI k ser barah janab Imran khan ne NATO supply band kerwany ka shor barpa ker rakha hai or darra e khaibar se iski transport band kerwany ka azm show kia ja raha hai.... ap zra naqsha utha ker dekhain.... Pakistan mai NATO supply afghanistan tk pohnchany ka aik nhi 5 raasty hain i.e Darra e Khaibar, Gomal, Tochi, Kundhar or zhob. Aik rasty se supply band b krdi jaye to baqi 4 raasty mojod hain or hmain bawaqof bnaya ja raha hai..... Or NATO supply ruk nhi skty q k ye moahda janab zardari sahb ne Uncle amrica se boht pehly kr rakha tha or is k arbon rupy wasool kiye jaty hain....is k ilawa shamali wazeerastan mai drone hamlon k liye b b aisa hi moahida sign kia gaya jis ki 5 sala muddat 2015 mai khatam ho gi or koi b political leader is baat se bekhabar nhi hai balky chief justice inhain yad duhani krwaty rehty hain.
    Last edited by Arosa Hya; 24-12-2013 at 06:22 PM.

    ,,,وہی تو سب سے زیادہ ہے نُکتہ چِیں میرا
    ..!!!‏جو مُسکرا کے ہمیشہ گلے لگائے مجھے

  2. #2
    Join Date
    Sep 2013
    Location
    Karachi, Pakistan
    Posts
    7,579
    Mentioned
    553 Post(s)
    Tagged
    5446 Thread(s)
    Rep Power
    1088797

    Default

    Walaikum Assalaam @Arosa Hya;

    Thank you for bringing up this topic, and you are right such depressing news always sadden me as well, and as being a Pakistani we are unfortunate that our leadership is not taking any 'apprropirate action' to defend or rectify such situations.

    Some facts I would like post over your post:
    Regarding the Damm:
    1. Pakistani Hukumat pichlay 12 saal say damm banaanay kay mansoobay bana rahii hay, magar iss main koi khaas kaam nahin hua.
    2. Decision yeh hay kay Pakistan INDIA kay banayay Damm ka istimaal nahin kar sakta not for energy purpose, magar INDIA iss damm ka aadha paani (estimated half) Pakistan ko khaiti baaRi waghaira aur peenay kay isitmaal kay liye day ga.
    3. INDIA iss damm ki tameer kay baad 1500 Mega Watt power istimaal karay ga aur iss ki saving millions main ho gi, as per a rough estimated we can save 40 Crore Rs. by generating 1 Mega watt and you can imagine how beneficial this damm was for Pakistan interest)

    Regarding NATO Supply:
    1. NATO supply kay 2 major ways hain Darra-e-Khabir to Bagram (Afganishtan) via Torkham jo kay darra-e-khaibar say bohat qareeb hay... NATO supply BAGRAM main jahan ISAF (International Security Assistant Force) ke Head quarter hay jiss main duniya kay 28 mumalik ki forces hain aur head of the command USA hay ko jaata hay jo kay sab say qareeb ka raasta hay aur bohat hi economical bhi hay.... jiss ko banndd karnay ki imran khan nay demand kii hay, which is obviously a right decision...

    doosra raasta jo sab say ziyda economical hosakta hay woh hay Balochistan CHAMAN to Afghanistan JALAABAD, laikin proper infrastructure na honay ki waja say yeh rasta kaafi difficult hay aur kam hi istimaal hota hay.

    Baaqi jiin ilaaqon ka aap nay zikar kia hay, they are very far are very difficult route and is not economical and SAFE for NATO supply.
    2. Pakistan ko coalition fund kay naam per 1 1/2 (daiD) Arrab (Billions) diyee jaatay hain, iss ki teesri qist jo kay December main milni thii yaani 40 Crore rupees abhi tak nahin mili, Imran Khan kay NATO supply bannd karnay ki waja say.... I guess it will be paid out in January 2014.

    3. Pakistan ka USA kay saath 'Permission of Drone Attach', General Parveez Musharraf kay dour main in 2001 sign hua tha, Asif zardari nay issay carry-on kia and now Nawaz Government will also do so.
    a. Muhaiday kay mutabik this agreement will be automatically renewed.
    b. However, if USA feels that these attacks are not necessary anymore they can terminate the contract.
    c. However, USA has used a term of LSA (Limited Surgical Attacks) in the agreement, yaani khatam nahin hongain balkay kamm kardiya jaayain gain.

    May ALLAH get us a better and genuine leader who protects our NATIONS interest rather than being SELFISH and keep his pocket fills with USA funds and public money. AMEEN

    Khush rahyeh and dont be sad, keep high hopes and think positive, its good to be informative then to be ignorant

    Fi amaan ALLAH

  3. #3
    Join Date
    Oct 2013
    Location
    Limits
    Posts
    6,236
    Mentioned
    718 Post(s)
    Tagged
    5714 Thread(s)
    Rep Power
    1939206

    Default

    Quote Originally Posted by thefire1 View Post

    Ameen Jazak ALLAH
    thanks a lot for exchanging ur knowledge..........we should know the realities to understand things

    ,,,وہی تو سب سے زیادہ ہے نُکتہ چِیں میرا
    ..!!!‏جو مُسکرا کے ہمیشہ گلے لگائے مجھے

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •