to yeh sawaalaat/muqaabila sirf laRkiyoN ke liye hai kiuN k maHbooba kaa koii zikr-e-Khair nahiiN hai...
ham laRkoN ne kia Khataa kii hai?
Happy New year
Sawal Yeh Hai k
Mehbob (Lover) Ko App Kaise Define Karey Gai ?
Mehbob Kaisa Hota Hai Ya Kiasa Hona Chahye ..
Us Main Kiya Khobiyan Honi Chahye ...
Jo Khobiyan Ap APney Mehbob Main Dhond Rahey Hain..
Kia wo app main khud bhi honi chahye ya Sirf Mehbob main he honi chahye ?
Umid hai Sawal Mushkil nai lagey ga
Rules:
Ek member ek hi baar share karay ga
Same aur edit sharing accept nhi hogi
Last date 20/1/2014 hai
Winner 50% poll aur 50% admins decide karen gy.
to yeh sawaalaat/muqaabila sirf laRkiyoN ke liye hai kiuN k maHbooba kaa koii zikr-e-Khair nahiiN hai...
ham laRkoN ne kia Khataa kii hai?
one quartet of [1 of 4 wings]
The FIRST & ONLY School that i ever attended
Syedna Saifuddin Taahir High School
Aligarh Muslim University
ALIGARH, India
Mehboob Aisa Ho K Jis K Hotay Howay aap Ko Kisi Aur Ki Zarorat Na Mehsoos H
Jo Aap Se Mohabbat Karay Tou Aap Ko Duniya Ki Nafraton Ki Bhi Parwah Na Rahay Agar Aap Hunsain To Woh Muskuraye Agar Aap Ghamgeen Hon To Woh Aap Ki Himmat Barhaye. Aap Rothna Chahain To Aap Ko Waja hi Na Milay Rothne Ki.
Mujhe Main Bhi Wohi Khobiyan Hain Jo Mere Mehboob Main Hain Magar Itni Nahin Hain...
Ab Is Se Ziyadah Mujhe Nahin Aata Mohboob Ko Samajhne K Liye Ehsaas Hain Mere Pass Magar Batanay Ko Alfaz Nahi
Mehboob ... Yeh bazahir to Mehaz aik lafz hai magar is k ma'anai ki wu'ston ko daikha jaye to Insan thak jaye magar phir bhi isay Mukammal tor par define nahin kia ja sakta, Mehboob Wo Hota hai Jo dost bhi ho, Ghamgusaar bhi ho. Jisay daikhnay se Insan ki aankhain thandi hun, Jisau Sun'nay se Insan kye. sama'at raahat paaye, Jo Mohabbat k Maamlay main shabnam ki tarha thanda ho aur agar kabhi Baat aap kiz aat ki aa jaye to aap ko tahaffuz denay ki khaatir, Duniya k liye Shola-Jawala ban jaye. Mukhtasir Yeh k Mehboob Wo shahkhs Hota hai Jis k honay se Har cheez main rang bhar jayain aur jis k Na honay se Sab be-rang!!
Jo Khobiyan Ap APney Mehbob Main Dhond Rahey Hain..
Kia wo app main khud bhi honi chahye ya Sirf Mehbob main he honi chahye ?
Is ka jawab to yeh hai k Agar insaan main bhi wohi khoobian mukammal toar par mojood hun to Doosray Insaan(mehboob) ki kashish hi khatam ho jaye. Insan ki fitrat hai k wo usi cheez ki taraf lapakta hai jo us k paas na ho, so yehi rule yahan bhi apply hota hai. Aisa nai hai k aap main koi aik khoobi bhi na ho aur aap tamam khoobiyon ki demand mehboob ki zaat se hi karain, Kuch baatain zaroor honi chahiyain k rishtay nibhanay k liye iski zaroorat hoti hai jaisay k ehsaas, dar-guzar etc. Laikin agar mehboob aur mehab ki sab aadtain aik jaisi ho jayain to Repulsion hi ho gi (According To physics, Same Charges repel each other) So that's my point
دل اگر بے نقاب ھوتے
تو سوچو..! کتنے Ùساد ھوتے
Walaikum Assalaam @naz; and Assalaam-O-alaikum SDians,
Abhi abhi dekha iss thread ko, yeh rahii meri entry
Mehboob kay asal maainay hain (beloved) yaani jo hum ko sab say ziyada mehboob hoo, ab yeh zaroori tou nahin kay jo hum ko sab say ziyada mehboob hoo uss ko hum bhi utnay hi mehboob hoon..!
Kis main kia khobiyan honi chayeh, kia achayian honi chayeh, yeh sab mohabbat main ahmiyat nahin rakhtii, koi bhi perfect nahin hota, mehboob ko tou uss ki tamam burayion aur tamam achaiyon kay saath qubool kia jaata hay, agar apnii pasand main yeh sab add karna paRay tou log order per mehboob na tayyar karwa lain Aur jahan baat Mehboob aur habib kii hotii hay wahan har burayii, har ghaltii per aankhain bannd karr lii jaatin hain, bashart-ye-kay jazbat sachay hoon, aur mehboob sacha ho!!!