Hum ney tu khair tujh se shikayat kabhi naa ki
aisa nahin k dil ney baghawat kabhi naa ki
kis haal main hain tere satyee howe ye log
tu ney poochney ki bhi zehmat kabhi naa ki
mehsoos kaya kary ga woh oroon k dard ko
jis ney khud apney aap se ulfat kabhi naa kii
chaha hai main ney jiss ko barii shidatoon k saath
iss tarah uss ney mujhy se muhabat kabhii naa kii
her dastan terii bohat ghor se sunii
lakin bayan apnii shikayat kabhi naa kii
ek khawab tha jo apnii shaboon per raha muheet
kaya khawab tha?kisi se wazahat kabhii naa kii
ek aag thii k jalty rahy jis main umer bher
ek dard tha k jis main khayanat kabhii naa kii
Last edited by Hidden words; 05-01-2014 at 01:37 AM.
ღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ
/up
wah umda
bhot khob je
​
​
Bohat khoob, poori ghazal hi achii lagii, magar yeh 2 sha'air apnay aap say bohat qareeb lagay, thanks for sharing, khush rahyeh
mehsoos kaya kary ga woh oroon k dard ko
jis ney khud apney aap se ulfat kabhi naa kii
ek aag thii k jalty rahy jis main umer bher
ek dard tha k jis main khayanat kabhii naa kii
bht umda gazal n presentation/up
wah wah bohat kamaal ghazal hai
bohat khoobsorat presentation
Zabardast
ap sab ka bohaat shukriya
ღ∞ ι ωιll αlωαуѕ ¢нσσѕє уσυ ∞ღ