Dear SDians
Aaj aik nayay silsilay ka aaghaz kar raha hoon, main photographer nahin laikain ghoomnay phirnay kay shouq nay photographer bana dia (woh gaana hay like main shaayar tou nahin ) anyways, main iss SERIES main unn sab places ki pictures share karoon ga jahan main visit kar chukka hoon, please do not hesitate to ask me the details of these places... I will be more than happy to provide you the informaiton.
Sab say pehlay main shuroo kar raha hoon ISTANBUL TURKEY say... TURKEY aik boaht hi khoobsurat country hay aur ISTANBUL uss ka capital.... Istanbul is also famous as the 'cultural capital of Europe'... Istabul main bohat see ghoomnay phirnay ki jagayain hain, aaj main aap ko jiss jaga ki sayar karwaanay jaa raha hoon ussay hum 'BLUE MOSQUE' kay naam say jaantay hain...
Saltanat-e-Usmania ka baadshah iss masjid main namaaz ada kia karta tha, aur yeh masjid SINAN (architect) nay design kii hay... Jab main nay yahan visit kia tou mousam bohat mazaydaar tha, I mean hawa main sardii thii laikin mujhay kuch khaas sardii mehsoos nahin hotii
ENJOY