chal mere saath hii chal ai merii jaan-e-Gazal
in samaajon ke banaaye huye bandhan se nikal, chal
ham vahaan jaaye jahaan pyaar pe pahare na lagen
dil kii daulat pe jahaan koi lutere na lagen
kab hai badalaa ye zamaanaa, tuu zamaane ko badal, chal
pyaar sachchaa ho to raahen bhii nikal aatii hain
bijaliyaan arsh se Khud raastaa dikhalaatii hain
tuu bhii bijalii kii tarah Gham ke andheron se nikal, chal
apne milne pe jahaan koi bhii unglii na uuthe
apanii chaahat pe jahaan koi dushman na hanse
chherr de pyaar se tuu saaz-e-mohabbat pe ghazal, chal
piichhe mat dekh na shaamil ho gunaahagaaron men
saamane dekh ki manzil hai terii taaron men
baat bantii hai agar dil men iraade hon atal, chal
chal mere saath hi chal...................
By Hasrat Jaipuri