Bohat khoob.
September 20, 2012 : Arosa Hya
â–‚ â–ƒ â–… â–† â–ˆ "ANA"..."EGO"..."MAIN" â–ˆ â–† â–… â–ƒ â–‚
Ana .... jise english main "Ego" kehte hain...
Ana arabic main "MAIN" k liye istamal hota hai...
Ana parast ko egoistic kehte hain...
Ana kise kehte hain ???
ANA ka mafhoom :
.."Main"..
Aik aisa "MAIN" jis k ilawa ap kuch nhi dekh skte...
Or ANA k is "MAIN" ka daira sirf apki zaat k gird hmayil hota hai,,
ye "MAIN" pe shoro ho ker "MAIN" pe khtm ho jata hai...
Main,
Meri zaat,
Meri khwahishat,
Mere khayalat,
Meri duniya,
Meri khushiyan,
Meri mohabbatain,
Meri ahmiyat,
Mera kalaam,
Meri mushkilat,
Mere ahsasat,
Meri zindagi,
Mere jazbat,
Meri zaat Or bas "MAIN"....!!!
Ghaz k ap jb is ana k hasar main ate hain to sirf apne bare main sochte hain apko kisi dosre insan k ahsasat ka andaza nhi ho pata...
ANA se "ZID" paida hoti hai Or jahan zid aa jati hai wahan ap dosron se kully ghafil ho jate hain...
Ye "MAIN" apki ankhon pe aisi patti band deti hai k phir apko rasta pata b ho to b ap mazil ki talash main bhatak jate hain...
Bar Bar batak jate hain...
Jahan "MAIN" aa jata hai, wahan aapki "Aajzi" madoom ho jati hai Or ap main ksis b kisam ka fakhar (arrogent) paida ho jata hai Or apko pta b nhi hota k ap kb khuda ki chadar khainch rahe hain...!!!
Ye "MAIN" apko hr rishte, hr ehsas se btadreej dor kr deta hai Or ap bas apni zaat k aseer ho kr reh jate hain...
OR apko us waQt pata chalta hai
jb "MAIN" ki patti se bandi ankhon main ap thokr lagne se gir jate hain,
Ya jb hr cheez ap se dor bhagne lgti hai to khud ahsasi apko wapis le ati hai
ya phir jub Khuda apko HaQeeQat dikhane lgta hai K tu natwan banda hote hoay kis she pe itrata hai ???
Ya phir kuch aise b hote hain jo is bandi patti main aik jaga sakin ho jate hain take thokr se bach skain or isi tra Qayim rahain !!!
ANA zid hai, nafi hai insaniyat ki, jazbat ki....!!
Or ye ANA....hamin insan hote hoay zaib nhi deta...jo apna tehreer shuda kismat ka saman liye ik arsay e mukhtaasir k liye ayaa !!
—
Everyone talks about his life experiences and knowledge So you may differ to my opinion!
,,,ÙˆÛÛŒ تو سب سے Ø²ÛŒØ§Ø¯Û ÛÛ’ Ù†ÙÚ©ØªÛ Ú†Ùیں میرا
..!!!â€Ø¬Ùˆ Ù…Ùسکرا Ú©Û’ ÛÙ…ÛŒØ´Û Ú¯Ù„Û’ لگائے مجھے
Bohat khoob.
acha likha haior ANA ko acha define be kiya hai
mazeed sharing ka Intizaar rahey gaa
umda tahreer![]()
acha likha hai ana k bare men.
Bohat Acha Likha Hai!
Keep Sharing!
Thanks to all of you !![]()
![]()
,,,ÙˆÛÛŒ تو سب سے Ø²ÛŒØ§Ø¯Û ÛÛ’ Ù†ÙÚ©ØªÛ Ú†Ùیں میرا
..!!!â€Ø¬Ùˆ Ù…Ùسکرا Ú©Û’ ÛÙ…ÛŒØ´Û Ú¯Ù„Û’ لگائے مجھے