Assalaam-O-alaikum SDians

Chalain kuch Istanbul ki puraani galiyoon ki sayar ho jaayay, Grand bazar kay saath ki kachii aur patlii galiyon main ghoomtay huway iss khoobsurat masjid main namaaz ada kii....

Masjid ka naam hay RUSTUM PASHA MASJID. Iss masjid ko Sultanat-e-Usmania kay Wazeer Rustum Pasha ki yaad main unn kii wafaat kay baad tameer kia gaya.. Rustum Pasha (Sulaiman the magnificient) kay damaad bhi thay!

Yeh hay masjid ki entrance

IMG 7716 - From the CAMERA of the ~*thefire1*~ (Rustam Pasha Masjid-Turkey)
IMG 7706 - From the CAMERA of the ~*thefire1*~ (Rustam Pasha Masjid-Turkey)

Masjid ka andoorni manzar.
IMG 7707 - From the CAMERA of the ~*thefire1*~ (Rustam Pasha Masjid-Turkey)

Majid kay gunbad per khoobsurat naqsh nigaari..
IMG 7709 - From the CAMERA of the ~*thefire1*~ (Rustam Pasha Masjid-Turkey)

Chinese Blue ceramic, uss dour main iss kii bohat demand thii aur naqsh nigaari main bhi bohat dilkash lagtay hain.
IMG 7713 - From the CAMERA of the ~*thefire1*~ (Rustam Pasha Masjid-Turkey)
IMG 7712 - From the CAMERA of the ~*thefire1*~ (Rustam Pasha Masjid-Turkey)

Masjid kay andar say bahar ka manzar, patlii galiyan aur bazaar.
IMG 7715 - From the CAMERA of the ~*thefire1*~ (Rustam Pasha Masjid-Turkey)

Iss masjid ko bhi Mimar Sinan nay design kia tha.