-
~!!~ Today Achii Baat ~!!~ 29th Jan 2014 ~!!~
Assalam O Aliakum
* Waldain k Aadab *
Farman-e-Hujjat-ul-Islam Imam Muhammad Bin Muhammad Ghazali Shafae:
(Baitay ko chahiye k) Waldain ki baat tawajjo se sunay, Maa Baap jab kharay hoon to tazeeman Unke liye khara ho jae, jab woh kisi kaam ka hukum dain to foran baja lae, Un Donon k khanay peenay ka intezam w insiram kare aur naram dili se Unke liye aajzi ka bazu bichae, woh agar koi baat baar baar kahen to Unse ukta na jae, Unke sath bhalai kare to Unper ehsan na jatlae, woh koi kaam kahen to usay pura karne main kisi qisam ki shart na lagae, Unki taraf haqarat ki nigah se na dekhay aur na hi kisi muamlay main Unki nafarmani kare.
(Aadab-e-Deen, Page 52)
-
-
-
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules